Hope of future
(Mohsin Rashid Khan Baloch, karachi)
Pakistani Siyasat Jhoot Faraib
Lasaniat Or Dhoka Bazi K Siwa Kuch Nahi. Agar Lafz Siyasat Ko Dekha Jaye To Ye
Malum Hoga K Duniya Bhar Mein Ye Lafz Hamesha Manfi Mainon Mein Istimal Kiya
Jata Hy. Lekin Hmari Awam Ny Aisa Smajh Rakha Hy K Jese Sirf Aik Hmare Mulk K
Siyasat Daan Hi Ganday Hon Or Us K Ilawa Baqi Tmam Duniya K Siyasat Daan Ache
Hain. Jb K Haqeeqat Is K Bar Aks Hy. Duniya Bhar Mein Tmam Jaga Siyasat Daan
Jhoot Faraib Or Dhoka Baazi K Manshoor Py Hi Kaar Farma Nazar Aate Hain. Lekin
Pakistani Awaam Ka Siyasat Ko Bura Smajhna Shayad Mulk K Mafad Mein Hi Hy. Is K
Haq Mein Dalail K Liye Hi Mein Aaj Is Column Ko Likh Raha Hun.
Corrupt Hona Shayad Aam Awam K
Liye Buri Baat Ho Lekin Shayad Dunya Ki Siyasat K Lihaz Sy Ye Koi Itni
Khatarnaak Baat Nahi. Haan Albatta Siyasat Mein Lasaniat Ka Istimal Aik Aisi
Cheez Hy Jis Sy Mulk Ki Bunyadain Hil Jati Hain. Afsos K Sath Pakistan Mein Tmam
Siyasi Rehnuma Wo Ubhre Jinhon Ny Siyasat Mein Lasaniat Ka Istimal Kiya. Ap 1970
Sy Shuru Kijiye Jb Pakistan Mein Pehle General Elections Huwe Us Elections Mein
Awaam K Bari Taadad Mein Vote Hasil Krne Wali Dono Jamatain Ppp Or Awami League
Pakistan K Makhsus Hisson K Haquq Ki Baat Krne Wali Jamatain Thi Dono Mein Sy
Kisi Ny Mukamal Pakistan Mein Tabdeeli Ka Naara Na Lgaya. Bhutto Sahab Ny Sirf
Maghribi Pakistan K Huquq Ki Baat Ki Or Sheikh Mujeeb Sahab Ny Sirf Mashriqi
Pakistan Ki Baat Ki Nateeja Pakistan Do Lakht Ho Gaya Sirf Lasaniat K Naaron Ki
Waja Sy. Ab Aage Barhain To Pata Chalta Hy K Bhutto Sahab K Dor Mein ANP Ny
Pakhtunon K Huquq Ki Bat Kr K Hakumat Qaim Ki Jo Ahista Ahista Pakistan K Wajud
Ko Khatraat Lahaq Huwe Kyun K Baat Greater Pakhtunistan Ki Janib Barhne Lagi
Yahan Tk K Bhutto Sahab Ny ANP Ko Kaladam Krwa Diya Jis Sy Pakhtunkhawa Mein
Nafrat Barhi. Is K Bad Bhutto Sahab Ny Sindh Mein Jo Sindhi Raaj Naafiz Kr Rakha
Tha Us K Khilaf Karachi Mein Mahajir Quom Ki Awaz Muhajir Quomi Movement Ki
Surat Mein Nazar Aayi Or MQM K Name Sy Aik Nayi Siyasi Party Ka Qayam Amal Mein
Aaya Or Afsos Is Ki Bunyad Bhi Lasaniat Hi Thi. Zia Ul Haq K Dor K Ikhtitam Py
Hakumat PPP Ko Mili Or Us K Khilaf Punjab Mein Nawaz Sharif Ny Awaz Buland Ki Or
Punjabi Quom Ko Apni Siyasat K Liye Istimal Kiya Or Punjab Mein Sindh K Khilaf
Jazbat Barkaye Or Ye Taasur Qaim Krne Ki Koshish Ki K Agar Punjabi Quom Ny
Sindhi Hukmranon K Khilaf Buland Na Ki To Punjab K Huquq Ka Tahafuz Na Ho Saky
Ga Or Jaag Punjabi Jaag Ka Naara Lgaya Afsos Is Bar Bhi Nayi Party Ki Bunyad
Lasaniat Bani. 90 Ki Dihai Inhi PPP Or PML N K Jhagron Mein Guzri. In Parties K
Ilawa Aik Or Quwat Jo Pakistani Siyasat Mein Hamesha Mutaharik Rahi Wo Hmari
Mazhabi Siyasi Jamaton Ki Thi Lekin Afsos Humein Ye Shauba Bhi Hamesha Fiqh
Parasti Ka Shikar Nazar Aata Hy. Koi Bhi Deeni Jamat Mukamal Umat Ki Bat Krti
Nzar Nahi Aati Hr Koi Apne Fiqh Ka Raag Alapta Nazar Aata Hy. Pervez Musharraf
Sahab K Dorr Ko Hum Pakistan Ki Tarikh Ka Nuqta E Tabdeeli Girdaan Skte Hain
Chun K Is Dorr Mein Azad Zaraye Ablagh Ka Qayam Amal Mein Aaya Or Aahista
Aahista Tmam Hukmranon K Chehray Awam K Samne Aane Lage Jis Mein Foji Or Civil
Dono Hukmran Shamil Thay. Awam Ka Shaoor Ujagar Hony Laga Khalq E Khuda Ko Zuban
Mili Or Muashray Py Jo Jamhood Taari Tha Wo Khtam Honay Laga. Zamane K Andaaz
Kisi Ny Sahi Kaha Badalne Lagay Or Logon K Sochne K Bhi Shayad. Aisa Hi Kuch
Siyasat K Maidaan Mein Bhi Hony Laga Or Aik Nayi Awaz Pakistani Siyasat Mein
Imran Khan K Name Sy Buland Hui. Qareen E Karam Imran Khan Ki Aik Sift Un Ko
Mazi Or Haal K Tmam Siyasat Danon Sy Alag Krti Hy Wo Un Ka Pakistan Khudmukhtar
Or Bawaqar Ka Naara. Ye Wo Naara Hy Jo Ap Ko Kisi Siyasat Daan Ki Siyasat K
Aaghaz Mein Nzar Nahi Aaye Ga K Koi Aisa Shakhs Ho Jo Puray Pakistan Ki Baat
Kary Kisi Khas Ilaqe Khas Fiqh Ki Baat Na Kare. Mere Khayal Mein Ye Wo Inqlaab
Hy Jo Pakistani Siyasat Mein Imran Khan Laa Chuke Hain. Imran Khan Ki Party Is
Waqt Wo Wahid Party Hy Jis Ka Naara Pakistan Mein Insaf Qaim Krna Hy Bjae Kisi
Khas Ilaqe K Huquq K Liye Kaam Krna. Un Ki Party Or Followers Mein Imam Masjid
Bhi Hy Or Muqtadi Bhi Mard Hain Or Auratain Bhi Sindhi Hain Or Punjabi Bhi
Pakhtun Hain Or Baloch Bhi Shiya Hain Or Ahle Hadees Bhi Barelvi Hy To Deoband
Bhi Gilgiti Hy To Kashmiri Bhi Mahajir Hy To Saraiki Bhi Or Sb Sy Barh Kr Sb K
Sb Pakistani Hain. To Agar Mjhe Kehna Ho K Pakistan Ki Wo Kon Si Siyasi Jamat Hy
Jis Mein Sb Sy Zyada Pakistani Hain To Mjhe Kehna Pary Ga K PTI. Kyun K Baqi
Jamaton Mein To Kisi Mein Sindhi Hain Kisi Mein Punjabi Kisi Mein Pakhtun Kisi
Mein Muhajir Lekin Afsos In Sb Jamaton Mein Pakistanion Ki Boht Kami Hy. Mere
Qarain Is Liye Meri Ap Sy Ye Darkhawast Hogi K Ap Is Falsafay Ko Awam Mein Aam
Krain K Is Waqt Hmain Sb Sy Zyada Zarurat Awam Mein Yakjehti Ki Hy To Lehaza
Hmain Unhain Hi Support Krna Chahiye Jo Hmain Yakja Karain Na K Maazi Mein
Taqseem Krne Walon Mein Shamil Rahe Hon. Aage Faisla Ap Ka Apna Hy.