Dharna Hukumat K Khilaf Ya Jhumooriyat K Khilaf
Aj kal har Akhbar aur har News 
Chanel par sirf Dhrne ki bat ki ja rahi hay, Ye Dharna Wukla Brothery ki taraf 
se Ailan kiya gaya hay lekin ab tak is dharne ko, Imran Khan, Kazi Hussain 
Ahmed, Mehmood Khan Achakzai Aur Ab Miyan Nawaz Shareef Saheb ki Mukamal himayat 
hasil hay. Ye Dharna Ba Zahir to Chaudry Iftikhar (Saked CJ) ki Bahali ke liye 
diya jar aha hay lekin pas parda is main kuch aur awamil shamil hain. Asal Mein 
Start mein Ye Tehreek Khalistan Wukla ki taraf se huwee thi aur is mein civil 
society bhi shamil hoti thi lekin ab ye mukamal taur pe ye ab siyasi ho gayee 
hay, ab Wukla ke leader ba qaida taur pe siyasi parties se madad ki appeal bhi 
karte hain. Wukla ko patta tak nahi ke un ki tehreek hi-jack ho chuki hay aur 
apne azym hasil karne ki koshish ki ja rahi hay. Ye is baat se sabit kiya ja 
sakta hay ke CJ (Saked) ka Taluk Balochistan se hay lekin Tehreek ka Mehwar 
Punjab Hay. Miyan Saheb to wo kar rahey hain jo un ko karma chahiye un ko koi 
sarokar nahi ke CJ restore hota hay ya nahi wo apni Siyasi Dukan ka image barha 
rahey hain. Miyan Sb ke Past ka zikar agar na kiya jaey to bat samajh mein nahi 
ayegi, Miyan Saheb Ek Sanatkaar Hain Siyasat mein un ko Asia Ke Model Dectator 
General Zia ne Introduce karwaya aur 1982 mein un ko Punjab ka Wazeer-e-Khazana 
Banwaya aur 1985 mein wo Chief minister Punjab Ban Gaey aur Ek Dectator ke saath 
kam kiya 1988 mein Dobara CM Punjab bane aur 1990 mein Mulk ke Prime Minister 
bane 1997 mein dobara PM bane aur 1999 mein un ki Hukumat khatam kar di gayee 
lekin is aakhri daur mein miyan sahib ne kuch aise karname anjam diye jin ka 
zikar karna zaroori samjhoon ga, sab se pehle unhoon ne 13th ammentment kar di 
aur kul ke malik huwey, Aitomic dhamake kiye ye do bare positive cheezen thi 
lekin, un ka Supreme court pe hamla karwana, SIND Govt, ko suspend karna 
President, se Halat ko kasheeda Karna , Supreme court ke chief justice se 
bigarna, Army Chief se ikhtilaf waghera waghaira.
Ab agar un ke sarey introduction ke baad un ka Musharaf ke khilaf hona, jab wo 
khud ek General ke supporter rahey hain, Adliya ke ehtram aur Azadi ki bat karna 
jab ke wo khud Supreme court pe hamla karwa chukka hain, Punjab Hukumat ke 
Mandet ki baat karna jab wo khud Sind ki Hukumat ke saath aisa kar chuke hain, 
Zardari ko agreement ka tana dena jab ke wo khud apne agreement se mukar gaye 
the Ye sab us ki siyasat ko sabit karne ke liye kafi hay. Lekin hamarey aj ke 
journalist hazrat jo ek envelop ke liye kuch bhi sabit kar dete hain wo daleel 
dete hain ke CJ ne pehle PCO pe halaf liya tha baad mein inkar kar diya to 
pichley paap dhul gaye hain, aur Miyan sahib ne hi ab jo stand liya hay us se un 
ke pichle paap bhi dhul chuke hain, agar ye paap nahi dhul sakte to sirf Asif 
Zardari ke nahi dhul saktey kiyoon ke Zardari sahib us party se taluk rakhtey 
hain jis ko kabhi bhi Establishment ba shamool Media ne kabhi bhi sahi nahi 
samjha, Mohtarma BB Shaheed ne Democracy ke liye apni jaan de di, Musharaf se 
wordi utarwai, democracy ke liye apni jaan ka nazrana diya aur Zardari ne bikhri 
aur bhipri qaum ko samet kar yakja kiya General se is qaum ki jan churai lekin 
un ke paap nahi dhul saktey aisa hi sochna hay hamari azad media ka.
Hamari media ke bare mein kuch na likhna ziyadti hogi, Bari development huwee 
hay media mein ek Admi se na insaafi huwee to poora media yak zaban huwa Farah 
dogar jis ko koi nahi janta tha us ko itna famous kar diya, lekin IRO-2002 jaisa 
Kala kanoon jo Musharaf ne Labour aur employees ke khilaf lagaya tha, PPP ki 
Govt ne jab ye bill khatam karwaya to Nawaz League ne us ki mukhalfit ki, aisa 
kanoon jis se 3 crore mehnat kashoon ko khushi naseeb huwee lekin hamari media 
ne ek khabar tak nahi di, sone pe suhaga keh len ke 7700 employees ko restore 
kiya to Maroof TV chanel ne Ek Ghante ka poora program kiya ke ye ghalat huwa 
hay.
Ab atey hain asal subject pe, ooper diye huwey sari baton se ye andaza lagana 
mushkil nahi ke PPP ki Govt. ke liyey churiyan tez ki ja rahi hain, asal mein ye 
Long March aur dharna Hukumat ke khilaf nahi balke Jhumooriyat ke khilaf hay, 
kiyoon ke Arbab-e-Akhtiyar is waqt koi interception ke mode mein nahi hay aur 
President apni assembly nahi desolve Karen ge aur yaqeenan halaat itne kharab 
honge ke wahi purana formula fit aye ga na ham aur na tum, aur koi teesra pir 
hoga iqtedar mein Zardari hoga Jail mein aur Miyan Saheb honge Jehaaz mein. Aur 
is qaum ko jo pehle hi mehengai aur bad amni mein ghiri huwee hai ek aur 10 
years ek dictator ke bardasht karne honge. Is sab se bachne ke liye dono bari 
parties ko mil baith kar koi acha solution nikalna chahiye jo dono ke liye 
qabil-e-qabool ho. Isi tareeqe se is qaum ko aane wali museebat se door rakha ja 
sakta hay.