Long March Ki Bala Kis Karwat Baithe Gi.

(Atique Laghari, Hyderabad)

Wakeelon Ke Long March Ki Be Sawad Khichri Mein Siyasi Parties Ne Mirch Masalha Daal Kar Bahut Hi Chat Patti Bana Diya Hay, Long March Theek Usi Date Ko Ailan Kiya Gaya Tha Jis Din Sacked CJ Ch. Iftikhar Ko Bartaraf Kiya Gaya Tha Lekin Ye March 12 March Tak Extend Kar Diya Gaya Yaqeenan Is Ki Waja 12 Rabi-Ul-Awal Thi. Aj Ham Is Hone Waley Long March Per Zara Tafseeli Jaiza Lengey, Ke Is Long March Ki Kamiyabi Ke Liyey Wakeelon Ne Kiya Intizamat Kiyey Hain Aur Govt. (PPP) Ne Is Soorat-E-Hall Se Nimatney Ke Liye Kiya Plan Banaya Hay.

Muaziz Qareen Wukla Tehreek Ko Kam O Besh 2 Saal Mukamil Ho Gayey Hain Aur Is Ne Bare Dau Pechon Ka Muqabila Bhi Kiya Hay. Is Sarey Arsey Mein 60 Mein Se 54 Judge Behal Ho Chukey Hain, Aur 3 Retire Ho Chukey Hain, Ab Is Tehreek Ko Restoration For Judiciary Na Kaha Jaey To Behter Hoga, Ye Sirf Aur Sirf Iftikhar Chaudhry Ki Restoration Ki Tehreek Reh Gayee Hay, Pichle Saal Jo Wukla Ne Long March Kiya Tha Wo Ek Lihaz Se Bahut Kamiyab Thehra Tha To Doosri Taraf Asif Ali Zardari Ne Apni Hikmat Amli Se Is Ko Resultless Bana Diya Tha, Jis Ki Waja Se Wkeelon Mein Thori Se Ikhtilaf Ki Hawa Bhi Chali Thi. Lekin Maujooda Situation Zara Mukhtalif Dikhai Deti Hay, Is Baar Itna Azadana Mahol Shayed Wukla Ko Na Diya Jaey Jitna Pehle Diya Gaya Tha Aur Shayed Is Baar Ye Tehreek Koi Nateeja Hasil Karne Mein Bhi Kamiyab Ho Jaey. Democracy Mein Koi Muzahira, Ya Koi March Ya Ihtijaj Awam Ya Civil Society Ka Haq Hota Hay Lekin Agar Baat Dharne Ki Hogi To Yaqeenan Us Mein Tor Phor Bhi Dekhi Jaey Gi, Ye Dharna Aisi Jaga Diya Jar Raha Hay Jahan, Parliament, President House Aur Supreme Court Jaisi Hasas Buildings Maujood Hain, Aur Agar Wahan Par Maujood Lakhon Logon Ke Beech Mein Koi Pakistan Dushman Anasir Ki Maujoodgi Ko Kaise Parkha Ja Sake Ga. Agar Dekha Jaey To Maujooda Situation Dehshatgardi Ke Liye Idiol Hay, Jaisa Ke Ham Dekh Chuke Hain Ke Lahore Ki Condition Ka Dehshatgardon Ne Kaise Use Kiya, Yaeenan Dehshatgar Tola Wo Mulki Taliban Hon Ya Kisi Doosre Mulk Ke Terrorist Hon Wo Is Saari Soorat-E-Hall Ka Faida Utha Sakte Hain. Is Waqt Zaroorat Is Amar Ki Hay Ke Tamam Siyasi Aur Civil Society Aisa Koi Mauqa Terrorists Ka Faraham Na Kare Jis Se Koi Kaumi Nuqsan Ho Jaey.

Is Long March Ko Rokney Ke Liye President Asif Ali Zardari Ne Ek Ordinance Nikala Tha Mobile Courts Ka Lekin Prime Minister Ne Is Nazuk Soorat-E-Hall Ko Dekhte Huwe Assembly Ke Floor Se President Ko Ye Ordinance Ko Wapas Lene Ki Sifarish Di Aur Ye Ordinance Wapas Liya Gaya Hay. Is Ek Ache Qadam Se PPP Ki Saakh Jo Girti Ja Rahi Thi Ko Sahara Mila Hay. Ab Baat Hay Siyasi Parties Ki Shirkat Ki To Ye Poora Pakistan Janta Hay Ke Street Power Pakistan Mein Sirf PPP, MQM Aur Jamait-E-Islami Ke Pass Hay. Aur In Jamaiton Mein Se Sirf Jamait-E-Islami Is Long March Mein Hisa Le Rahi Hay, Jo Yaqeenan Govt. Ke Liye Mushkil Soorat-E-Hall Hay. Pakistan Ke Teen Provinces Sind, Pakhtoonkhawa Aur Balochistan Se Koi Bara Kafila Is Long March Mein Shirkat Nahi Kare Ga, Aur Shayed Wahan PPP Ki Govt Koi Khas Action Na Le, Lekin Jamait-E-Islami Aur Nawaz League Jis Ka Asar Central Punjab Aur Potahar Ke Ilaqey Mein Hay Wahan Par Govt. Ke Liye Mushkilat Ho Sakti Hain. Govt. Janti Hay Ke Nawaz League Ka Vote Bank Punjab Mein Ziyada Hay Lkin Us Ka Tanzeemi Dhancha Bahut Kamzor Hay, Aur Worker Jo Ke Public Ko Bahir Nikalta Hay Us Ka Bahut Fuqdaan Hay Nawaz League Mein, Nawaz League Ke Voters Ko Thora Threat Kiya Gaya Ya Kuch Giriftariyan Kee Gayeen To Shayed Nawaz League Ka Worker Bahut Kam Tadad Mein Is Long March Mein Hisa Banega. Lekin Jamait-E-Islami Is Long March Ki Asal Rooh Hay Jis Ka Har Voter Hi Worker Hay Wo Mazahimat Kar Sakta Hay, Jail Bhi Ja Sakta Hay Aur Tear Gas Ya Lathi Charge Ko Face Kar Sakta Hay, Ye Yaqeenan Govt. Ke Liye Ek Chalange Hay, Isi Waja Se Musheer-E-Dakhla Ne Ameer JI, Qazi Hussain Ahmed Se Mulaqat Ki Aur Un Ko Request Ki Ke Wo Is Long March Mein Shirkat Na Karien.

Ye Kehna Mushkil Nahi Hay Ke Ye Long March Asal Mein Qazi Sahib Ka Long March Hay Na Ke Nawaz League Ka. Lekin Ye Zaroor Kehna Chahoon Ga Is Long March Se Koi Tabdeeli Aye Ya Na Aye, CJ Behal Hon Ya Na Hon Lekin Pakistan Ki Salamti Dau Par Laga Di Gayee Hay Aur Is Ki Saari Zimewari Sirf Hukumat Par Nahi Balke Har Pakistani Pe Ho Gi.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 50722 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More