Pakistan Ki Economic Condition

(Atique Laghari, Hyderabad)

Duniya Is Waqt Shadeed Mali Buhraan Ka Shikar Hay, America, Japan, India, China Aur Pakistan Samait Sari Duniya Mein Stock Markets Crash Kar Gayee Hain Aur Mehegai Aur Berozgari Mein Khatarnak Had Tak Izaafa Ho Gaya Hay. Is Zaman Mein Pakistan Ki Economics Par Bhi Bahut Manfi Asraat Parey Hain. Aj Main Is Article Ke Waseeley Pakistan Ki Maujooda Economic Condition Aur Kiye Gayey Islahat Aur Mustaqbil Qareeb Mein Honey Waley Fawaid Aur Nuqsanat Ka Jaiza Lene Ki Koshish Karoon Ga.

September And October-2008 Mein Pakistan Ke Default Ka Khatra Barh Gaya Aur Govt. Ne Apne Doston Se Madad Ki Appeal Ki Lekin Saudi Arab, UAE, Aur China Jaise Doston Neb Hi Ham Ko IMF Ki Jholi Mein Dhakel Diya Aur Apni Doobti Economics Ko Bachaney Ke Liye Govt Ko Karwi Conditions Bhi Accept Karni Pari, Is Tarah Ab Pakistan Ke Reserves Par Kuch Behter Nataij Ana Start Huwe Hain, Jo Doller 61 Rupees Se 84 Rupees Tak Bari Tezi Se Pahoncha Thaw O Aj Kal Kam Hokar 80 Rupees Taka A Gaya Hay Aur Us Mein Rukaou Bhi Aya Hay, Lekin Is Ko Mazeed Kam Karne Ki Zaroorat Hay, Currency Ke Devaluation Ki Waja Se Pakistan Ka Karza 2000 Billion Barh Gaya Hay.

Pakistan Ki Economics Basically Agriculture Aur Manufacturing Based Hay, Ham Sab Se Ziyada Petrolium Masnooat Mein Dollor Waste Kartey Hain, Oil Ki Demand Pichley 10 Saloon Mein 100 % Tak Barh Gayee Hay Aur Is Saal Petrolium Ki Masnooat Ki Prices Bhi Asman Se Baatien Karne Lagi Thi, Well Prices To International Level Pe Barhi Thi Lekin Past Mein Shaukat Aziz Ki Policies Ki Waja Se Banking Sector Ke Zareeye Leasing Systems Pe Beshumar Gariyan Di Gayee Thi Jo Buniyadi Waja Thi. Agriculture Sector Jo Hamari Economics Ki Backbone Hay Us Mein Ham Ko Wheat Ki Crop Ka Kam Hona , Afghanistan Mein Smugle Hona Aur Start Mein Apni Gandam Sastey Damon Bech Dena Aur Pir Mehenge Damon Khareedne Ki Waja Se 2 Billion Dollors Ka Nuqsan Huwa. Doosri Bari Waja International Market Mein Maujooda Buhran Ki Waja Se Textile Ke Section Mein Maang Kam Hona Bhi Ek Waja Rahi, Kiyoon Ke Pakistan Apni Total Export Ka 50% Textile Ke Section Mein Karta Hay, In Asbab Ki Waja Se Hamara Tijarti Khasara Bahot Barh Gaya, Energy Sector Ke Crises Ki Waja Se Production Bhi Bahot Kam Huwee. Ye To Ho Gaya Thora View Hamari Economics Ka, Ab Dekhtey Hain Hukumat Ne Kiya Fauri Iqdamat Kiyey Hain Is Soorat-E-Hal Se Nimatne Ke Liye.

Maujooda Hukoomat Ne Pehla Qadam Ye Uthaya Ke Qareeb 300 Items Jo Taeesh Ke Liye Use Hote They Un Per Impot Duty 100% Tak Barha Di Ta Ke Import Ki Hausla Shikni Ki Jaey.

Banking Sector Ko Leasing Ki Gariyoon Par Intrest Rate Barhane Ka Hukam Diya Ta Ke Kam Se Kam Gariyan Import Ho Saken Aur Local Level Par Bhi Un Ki Production Kam Ho Sakey Ta Ke Petrolium Masnooat Ki Demand Mein Kami Aa Sakey.

Textile Sector Mein Export Duty 3.79% Kam Kar Di, Mirza Akhtiyar Baig Ko Textile Ka Advisor Banaya Jo Bahot Hi Talented Aur Energetic Hain Aur Round The Clock Textile Section Ki Behtry Aur Taraki Ke Liye Koshan Hain. Is Ke Saath Europe Mein New Markets Tak Reach Karne Ke Liye Bhi Iqdamat Kiye Gaye Hain. Jis Se Yaqeenan Behtri Ki Soorat Hall Behter Honey Ki Tawaqa Hay. Textile Ke Section Ki Behtri Ke Liye Jo Sab Se Bari Rukawat Hay Wo Hay Power Sector Ki Waja Se Aur Us Ki Bahali Ke Liye Bhi Mumkin Had Tak Koshish Ki Ja Rahi Hay, Wind Power Aur Coal Power Se Energy Produce Karne Ke Liye Long Term Mansoobon Pe Tezi Se Kaam Kiya Jar Aha Hay, Aur Maujooda Soorathaal Se Nimatne Ke Liyey Ipps Se Agreement Kiye Ja Rahey Hain, China Aur Itran Se 2100 Megawatt Bijli Rent Pe Lene Ke Liye Bhi Agreament Kiye Gaye Hain, Aur Hydro Power Section Mein Maujood Units Ko Upgrade Kiya Ja Raha Hay Aur Unki Paidawari Salahiyat Bhi Barhai Ja Rahi Hay Aur France Aur China Ki Madad Se 1800 Megawatt Ke Itemic Power Reactyor Bhi Banaye Ja Rahey Hain. In Sare Iqdamat Se Andaza Lagaya Ja Sakta Hay Ke December-2009 Tak Ham Load Shedding Aur Bijli Ka Shortfall Control Kar Len Ge Jis Se Yaqeenan Hamari Industry Ko Faida Hoga Aur Hamari Production Increase Hon Gi. Ab Ham Baat Karen Gey Industries Koraw Material Supply Karne Wale Agricultural Sector Ki.

Dialy Jang Ki Tawasat Se Maine Mirza Akhtiyar Baig Sb Ko Ek E-Mail Kiya Tha, Mujhe Us Ka Koi Jawab Nahi Aya Lekin Jo Sifarshat Maine Di Thi Un Pe Amal Kiya Gaya Hay Jis Se Pakistan Ke Tijarti Kahsarey Ko Kam Karne Mein Kafi Madad Miley Gi. Cotton Sector Mein Rates Ko Barhana Farmers Ko Asan Loans Dena DAP, Aur Urea Chemicals Mein Subsidy Dena Cotton Sector Mein Ahdaf Hasil Karne Ke Liye Madadgar Sabit Huwe. Rice Ki Paidawar Mein 23 Lakh Tons Ka Izaafa Huwa. Sugar Industry Ke Liye Bhi Jo Iqdamat Kiye Gaye Hain Jis Ke Tahet Sugar Industries Ko Hidayat Di Gayee Hai Ke Wo Farmers Ko Beghair Sood, Seed Aur Khaad Faraham Karey Ta Ke Farmer Sugar Cane Ki Ziyada Kasht Karey Aur Sugar Cane Ke Rates 67 Rupees Se Barhakar 100 Rupees Kar Diya Gaya Hay. In Ikdamat Ka Result Yaqeenan Next Year Ham Ko Miley Ga. Sab Se Ziyada Ham Ko Floor Section Mein Takleef Uthni Pari Thi, Jis Ki Waja International Markets Aur Maqami Markets Ki Prices Different Ki Waja Se Huwee Thi, Local Market Mein Wheat 510 Rupees Per 40 Kg Thi Aur International Market Mein Ye Price 1300 Rupees Per 40 Kg Thi, Jis Se Hamari Wheat Afghanistan Smuggle Ho Rahi Thi Aur Farmer Low Price Ki Waja Se Aur Ikhrajat Ziyada Hone Ki Waja Se Wheat Crop Ko Importance Nahi Dete The Aur Jab Bhi Govt Support Price Announce Karti Thi To 50% Se Ziyada Crop Market Mein Chali Jati Thi Aur Is Ka Faida Farmer Ke Bajaey Investors / Brokers Ko Hota Tha, Majooda Govt. Ne Intihai Danishmandana Faisla Kiya Aur Crop Ki Cultivation Se Pehley Supportive Price Announce Ki Aur DAP Khaad Pe Rs.3100 Per Bag Subsidy Di Aur Nateeja Ye Nikla Ke Wheat Ki Kaasht 9% Ziyada Huwee Hay Aur Seed Australia Se Import Kiye Gaye Hain Jis Se Per Hector Average Bhi Ziyada Milne Ki Twaqa Hay, Aur Alhamdullilah Expect Kiya Jar Aha Hay Ke Is Saal Hamari Wheat Production 65 Lakh Millon Matric Ton Hone Ka Imkan Hay Aur Ye Hamari Use Se Bahot Ziyada Hogi Is Se Hamara Import Ka Paisa Bache Ga Aur Export Ka Paisa Bhi Aye Ga Jis Se Tijarti Khasara Kam Karne Mein Madad Mile Gi. Farmers Ko Rates Ziyada Dene Se Double Faida Hoga Jis Se Production Bhi Barh Gayee Aur Afghnisat Smuggle Hone Ka Khidsha Bhi Kam Ho Gaya Hay. Govt. Ko Wheat Ki Support Price International Rates Ke Barabar Karni Chahiyey Jis Se Hamara 70% Pakistani Jo Agriculture Se Wabista Hay Wok Hush Haal Hoga Aur Smuggling Bhi Ruk Jaey Gi. Leki Yahan Ye Amar Zaroori Hay Ke Awam Ko Relief Den Eke Liye Govt Ko Mehengi Gandam Khareed Kar Awam Ko Subsidy Deni Hogi Ta Ke Ghareeb Awam Jo Pehle Hi Mehengai Se Preshan Ho Us Par Mazeed Bojh Nahi Dala Jaey, Jo Wo Bardasht Na Kar Sakey.
 

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 50714 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More