WILAADAT:
Sheikh Ul Islam Muhammad Bin Abdul Wahhab Bin Suleman Tamimi (Rh) 1703 CE / 1115
H Me Ek Chhote Se Shaher Uyayna ( Jo Saudi Arab Ki Daarul Khilafa Riyadh Ke
Shimal Me Hai) Ke Ek Bahut Bade Khaandaanah Ilm Wa Fazal Me Paida Hue,
Waalid Giraami Sheikh Abdul Wahhab (Rh) Jaleel Ul Qadr Aalim Aur Salafi Al
Aqeedah Faqeeh They,
Uloom E Qur'aan, Tafseer, Hadith, Fiqh, Aur Adab E Arabic Me Mumtaz Haisiyat Ke
Maalik Aur Uyayna Ke Qaazi They,
Usi Tarah Jadd E Mujahid Shiekh Sulaimaan (Rh) Bhi Ilmi Lihaaz Se Uyayna Ke
Tamaam Ulema Par Fauqiyat Rakhte They, Haakim E Waqt Ameer Abdullah Bin Ma'mar
Ke Yahan Unki Badi Qadr Thi, Apne Waqt Ke Qazi They, Aur Haakin Unke Mashwarah
Par Faisla Kiya Karta Tha, Aapke Fatawa Aur Faislon Ke Shohrat Dusre Shahron Tak
Bhi Jaana Shuru Ho Gayi Aur Talib E Ilm Door Daraaz Se Uyayna Aane Lage...
TAALEEM WA TARBIYAT:
Sheikh Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Ek Muttaqi Aur Aalimi Khaandaan Ke Chash O
Chiraagh They,
Lihaaza Taqwa Aur Zihaanat Amaanat Daari Wa Fataanat Unhen Wiraasat Me Mili Thi,
Ibtedaai Taaleem Waalid E Giraami Ke Paas Li, Aur Sirf 10 Saal Ki Umar(Age) Me
Hi Qur'aan Paak Hifz Kar Liya,
Dauraan E Taaleem Mutaala Me Inhemaq Aur Quwwat E Hafiza Ka Ye Aalam Tha Ke 20
Saal Ki Umar Tak Sahih Bukhari Wa Muslim Aur Kutub E Sunan Ki Aksar Hadith Hifz
Kar Li Thi,
Tafseer, Hadith Aur Aquaid Ki Kitaabon Me Gahri Dil'chaspi Thi, Sheikhul Islam
Imam Bin Taiymiyyah (Rh) Aur Ibn Qayyim (Rh) Ki Kutub Ka Khusoosi Ahtemaam Karte
They...
SAFAR HAJJ WA TAALEEM:
Hajj E Baitullah Ka Fareeza Ada Karne Ke Liye Makka Mukarrama Rawaana Ho Gaye,
Wahan Se Madeena Munawwara Ka Rukh Kiya Aur Aalim E Shaher Sheikh Abdullah Bin
Ibraaheem Aal E Saif Ki Musaahabat Se Istefaadah Kiya, Unse Sahih Bukhari Wa
Muslim, Dono Ki Shaarhen, Tirmizi, Nisaai, Abu Dawood , Ibn Majah, Musnad Ahmad,
Musnad Imam Shafai, Aur Muwtta Imam Malik, Me Ijaazat Haasil Ki Aur Azeem
Muhaddis Sheikh Muhammad Hayat Sindhi (Rh) Se Aqeedah E Salfiya Ki Taalimaat
Haasil Ki, Unke Elaawa Sheikh Ali Aafandi Wa Deegar Salafi Ulema E Waqt Se
Mustafeed Hue, Phir Basra Ki Tarah Rawaana Ho Gaye Taake Wahan Ke Mashaikh Se
Bhi Kasab E Faiz Kar Saken,
Lihaaza Hadith Aur Lughat Me Sheikh Muhammad Al Ajmovi Se Mustafaiz Hue, Isi
Qayaam Ke Dauraan Un Aham Mubahat Par Qalam Uthaaya Aur Kai Kitaabein Likhi,
Wahan Se Al Zubair, Baghdad Aur Sham Ka Safar Karte Hue " Al Ahsa " Pahunche Aur
Wahan Ke Sheikh Abdullah Bin Abdul Lateef Shafai Se Kasab E Ilm Ke Baad Najd Ke
Gaon " Hurmeela" Chale Gaye Kyonke Aapke Waalid Wahan Muntaqal Ho Chuke They...
NAJD WA HEJAAZ-- DAAWAT SE PAHLE
Wah Tamaam Deeni, Akhlaaqi, Mu'aasharti, Ma'aasi, Aur Siyaasi Bimaariyaan 12wi
Sadi Me Najd Par Musallat Ho Chuki Thi Jo 1200 Saal Pahle Zamaana E Jaahiliyat
Me Paayi Jaati Thi Aur Rasool E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Maaboos
Hue They,
Shirk, Bidat, Wa Khuraafaat Aur Toham Parasti Ka Daur Dorah Tha, Qabaron,
Darakhton Aur Chhattaano Ke Naam Jaanwar Zibaah Kiye Jaate, Unse Muraaden Maangi
Jaatin Aur Araaf, Rammaal, Aur Kaahin Wa Jaadugar Aalim Ul Ghaib Bana Diye Gaye
They,
Log Allah Wa Rasool E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ki Itaat Se Door
Hokar Baaghiyaana Sargarmiyon Me Mulawwis Ho Chuke They, Masjiden Viraan Aur
Mazaar Aabaad They, Unpar Qeemti Kapde Aur Phoolon Ki Chaadaren Chadhaayi Jaati
Thi, Aur Turkey Ki Imaarat Ki Wajah Se Raqs , Sharab Khori Aur Qabaaili
Ta'aassub Shabaab Par They...
AAGHAAZ-E-DAAWAT:
Yahi Wah Haalaat Hain Jis Me Kisi Mujaddid Ki Zarurat Pesh Aati Hai,
Ek Hadith Hai
" Bila'shubah Allah Taala Har Sadi Me Ek Aise Shakhs Ko Maboos Farmaata Rahega
Jo Is Ummat Ke Liye Uske Deen Me Tajdeedi Umoor Sar'anjaam Dega "
(Abu Dawood Kitabul Al Malaaham, Mustadrak Haakim)
Lihaaza Allah Paak Ne Tajdeed Wa Islaah E Ummat Ke Liye Sheikh Muhammad Bin
Abdul Wahhab (Rh) Ko Muntakhab Farmaya Jo Shamsheer E Azam Liye Taaghooti
Taaqaton Aur Ibleesi Saazison Ke Taaro Pod Bikherne Lage..
Islaah Ke Kaam Me Intehaai Hikmat E Ilmi Se Kaam Liya, Kabhi Logon Ko Husn
Sulook Aur Dalail Wa Baraaheen Se Qail Kiya Aur Kabhi Zarurat Taaqat E Shamsheer
Se Aqeeda E Salfiya Ki Tarah Maa'el Kiya...
Dawat E Tawheed Ka Aaghaaz Hurmeela Se Kiya, Bad'aqeedah Log Naraaz Aur Unki
Jaan Ke Dushman Ho Gaye, Magar Aap Ne Poore Azm Wa Istqaamat Se Har Dushwaar
Ghaati Ko Paar Kiya Aur Dawat Jaari Rakhi...
1153 Hijri Me Waalid E Mohtaram Inteqaal Farma Gaye , Aur Sheikh Apne Aabaai
Watan Uyayna Chale Gaye,
Shuru Shuru Me Ameer E Shaher Usman Bin Ahmad Bin Ma'mar Ne Bada Saath Diya
Lekin Phir Baaz Siyaasi Wajuhaat Ki Bina Par Dushman Ho Gaya,
Wahan Se Sheikh Hejaz Chale Gaye, Ameer E Hejaz Imam Muhabbad Bin Saud (Rh) Aur
Aal E Saud Ne Daawat Qubool Ki Aur Bhar'poor Taa'awun Kiya,
Lihaaza Aapne Hejaz Ko Dawat Ka Markaz Bana Liya, Wahin Dars Wa Tadrees Aur
Tasneef Wa Taaleef Shuru Kar Di, Ird Gird Se Taalba Husool E Ilm Ke Liye Aane
Lage, Is Tarah Daawat Aam Ho Gayi, Kyonke Jo Taalba Aate Wah Tawheed Ke
Aalambardaar Bankar Waapas Jaate...
Sheikh Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Aur Imam Muhammad Bin Saud (Rh) Ka Wafaaq
Daawat E Tawheed Ki Tarweej Wa Ishaat Me Bahut Mufeed Saabit Huwa Kyonke Sheikh
Shahab E Ilm Wa Hujjat They Aur Ameer Shahab E Ilm Wa Taaqat,
Dawat E Tawheed Ke Liye Sheikh Ko Ameer Ke Yahan Markaz Mil Gaya Aur Sheikh Ki
Daawat Ki Barkat Se Ameer Ke Paoan (Legs) Mazboot Se Mazboot Ho Gaye,
Allah Ne Apne Deen Ki Khidmat Wa Nusrat Ka Ohda Unhin Sar'zameen Hejaz Par
Mumkin Kar Diya,
Aur Aaj Bhi Aal E Saud Azeem Islami Mulk Saudi Arab Par Hukmaran Hain Aur
Khidmat E Deen Me Tamaam Islami Mumaalik Se Zyaada Sar'garm Hai
WAFAAT:
Sheikh Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Abhi 20 Saal Ki Umar Ko Bhi Na Pahunche
They Ke Daawat E Tawheed Ka Aaghaaz Kar Diya, Jahan Roz Ba'roz Jaan Nisaar
Saathi Badhte Gaye, Wahin Mukhaalifeen Me Bhi Izaafa Hota Chala Gaya, Kai
Shahron Se Hijrat Karni Padi Magar Farogh E Dawat Me Koi Kami Nahi Hone Di Balke
Apne Daawat Ka Kaam Aur Tez Kar Diya Aur Tahreek Ki Shaakhen Zazeera E Arab Ke
Elawa Misr (Egypt) Aur Turkey Tak Badi Munazzam Tak Phail Gayi. Aur Aaj Bhi
Tawheed Ki Daawat Jaari Hai, Aur Hazaaron Ki Tadaad Me Taalba Madeena Se Tawheed
Ka Dars Lekar Jaate Hain Aur Tawheed Ko Aam Karte Hain,
Aap Wah Khush'naseeb Daee Aur Mujaddid They Jinhone Apni Shab Wa Roz Ki Mehnat
Aur Jeddo Jehad Ka Khush'gawaar Nateeja Apni Zindagi Me Hi Dekh Liya..
Aap 70 Saal Tak Tawheed Ki Dawat Dete Rahe, Shawwal 1206 Hijri Me Ek Marz La'haq
Ho Gaya Aur Dhul-Qadah 1206 Ke Aakhiri Din 22 June 1792 Ko Ye Aaftaab E Amal
Nabbe Saal Se Zyaada Muddat Tak Is Jahan Ki Zameen Wa Was'aton Me Roshan Rahne
Aur Ilm Ki Paasbaani Karne Ke Baad Hamesha Ke Liye Maut Ki Waadiyon Me Ghuroob
Hogaya....
INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAAJIUN
IMAM SHOWKANI (RH) KA MARSIYA AUR KHIRAAJ-E-TAHSEEN:
Akaabir Ulema Ne Unki Wafaat Par Marsiye Kahe Aur Unke Kaamon Ko Bayaan Karke
Unhe Zabardast Khiraaj E Tahseen Pesh Kiya,
Shahab E Neelul Awtaar Allama Shaukaani (Rh) Ne Unki Wafaat Par Ek Taweel
Marsiya Kaha, Jinke Chand Ash'haar Ye Hain
" Hosh Karo Aur Gaflat Se Bedaar Ho Jaao,
Beshak Wa Apne Baap Daada Ya Kisi Qabeele Ki Taraf Daawat Na Deta Tha,
Balke Usne Kitabullah Aur Sunnat Ki Taraf Di Jise Hamare Sacche Nabi Rasool E
Akram Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ne Hamara Deen Banaaya,
Ilm Ka Kohe Par Shikwah Aur Raf'aton Ka Markaz Wafaat Pa Gaya,
Wah Naadir E Rozgaar Ulema Ki Mahfil Ka Ma'hoor O Markaz Tha,
Imam E Hidaayat, Halaakat Aafarenon Ko Khatm Karne Waala,
Dushmno Aur Adaawaton Ka Safaaya Karne Waala,
Tashangaan E Ilm Ko Faizaan E Ilm Se Seeraab Karne Waala Apne Maqsad Ko Pa Lene
Waala,
Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Shahab E Azmat Aur Buland Faham Wa Adraak Ka
Maalik Tha,
Uska Aalmi Maqaam Itna Buland Tha Jise Kisi Fakhr Karne Waala Ka Paana Mushkil
Hai,
Tamaam Najd Is Aaftaab E Ilm Se Munawwar Ho Chuka Hai
Usne Manzil E Hidaayat Ko Quwwat E Dalail Se Sar Kiya "
Is Azeez Shakhsiyat Ke Baare Me Likhne Ko Bahut Kuch Hai, Lekin Apni Baat Isi
Par Khatm Karta Hun... Aur Aakhir Me Dua Hai
ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAWFEEQ DE.....AMEEN