Adliya Azad Ho Jaey Gi?

(Atique Laghari, Hyderabad)

Ch. Iftikhar ki Bahali Se Adliya Azad Ho Jaey Gi?

Aj Kal Is Forum Per Sab Se Ziyada Behes, Janibdari Aur Ghair Janibdari Per Ho Rahi Hay. Aj Main Chaudry Iftikhar Ki Bahali Ko Azad Adliya Ke Tanazur Mein Dekhne Ki Koshish Karoon Ga. Aur Hatta AL Imkan Koshish Karoon Ga Ke Mera Article Ghair Janibdar Ho Aur Main Jo Bat Likhoon Wo Daleel Ke Sath Ho. Sab Se Pehle To Main Chaudry Iftikhar Muhammad Chaudry, Aur Un Ke Tamam Sathiyoon Ko Bahali Par Mubarikbad Pesh Karta Hoon. Aur Iska Sara Cradet, Wukla, Civil Society, Nawaz League, Prime Minister Of Pakistan, Aur Army Chief General Kiyani Ko Doon Ga. Is Ke Saath Saath Aj Ek Aur Cheez Ka Bhi Zikar Karna Zaroori Samajhta Hoon, Jaisa Ke Mulk Ke Aksar Tajziya Nigaron Ki Tarah Mera Khayal Bhi Ghalat Nikla Ke Street Power Sirf 3 Siyasi Parties Ke Pass Hay Lekin Aj Ye Baat Wazih Ho Gayee Hay Ke Nawaz League Bhi Ab In Parties Mein Shamil Ho Gayee Hay Jin Ke Pass Street Power Hay. Mera Zati Tajziya Bhi Ghalat Sabit Huwa Hay, Mera Khayal Tha Ke, Ch. Iftikhar Kissi Soorat Bahal Nahi Hon Ge, Lekin Wo Bahal Ho Chuke Hain. Apne Tajziye Maine Halat Ke Tahet Diye The Lekin Million Peoples Ki Tarah Main Bhi Un Ki Bahali Chahta Tha, Aur Yaqeenan Aj Mujhey Is Baat Ki Khushi Bhi Hay. Aj Har Koi Ye Cradet Lene Ki Tag O Wadood Mein Hay. Lekin Main Is Ka Asal Cradet General Kiyani Ko Doon Ga, Jis Ne Apne Asool Qurban Nahi Kiyey Aur Is Ka Aisa Hal Nikala Jis Se Democracy Ko Nuqsan Bhi Nahi Huwa Aur Pakistan Ek Bari Museebat Se Bach Gaya.

Is Bahot Bari Awami Kamiyabi Ke Baad Media Par PPP Aur PML-N, Dono Ne Apni Topon Ko Khamosh Kar Diya Hay. Aur Jazbati Leaders Bhi Media Par Mafahimat Ki Baat Kar Rahey Hain. Yaqeenan Ye Dono Parties Ke Beech Mein (Kiyani Ke Through) Kuch Na Kuch Deal Huwee Hay. Nawz League Aj Ziyada Relax Mein Hay. Chaudry Bahal Ho Gaya, Governor Raj Kuch Dino Mein Khatam Ho Jaey Ga, Adalat Se Disqualify Ka Faisla Bhi Aa Jaey Ga, Pujab Govt. Wapas N-League Ko Mil Jaey Gi. Lekin Mere Chotey Se Dimagh Mein Ye Bat Ghus Nahi Rahi. President Zardari Ne Sab Cheez Qabool Kar Li. Deal Mein Kuch Na Kuch Aisa Hay Jo Abhi Manzar Pe Nahi Aya. Zahir Hay PML-N Ke 5 Mutalbey Hain Aur Jaisa Mera Andaza Hay Sab Ke Sab Govt. Ne Maan Liyey Hain, Chudry Iftikhar Ki Bahali, Governor Raj Ka Khatma, Shareef Brathran Ki Ehliyat, 58-2B Ka Khatima, 17 Tarmeem Ko Undu Karna, Ab Sochna Ye Hay Ke Jo Taqatwar Log Is Masalehat Mein Shamil Huwey The Unhoon Ne PPP Ko Bhi Kuch Na Kuch Zaroor Diya Hoga. Zahir Hay In Tamam Faislon Se Nawaz League Ki Siyasi Position Bahut Strong Ho Jaey Gi. Ab Ye Ham Aney Waley Waqt Pe Chortey Hain Ke PPP Ko In Sab Awamil Ke Badley Kiya Milta Hay.

Ab Baat Kartey Hain Azad Adliya Ki, Kiya Chaudry Iftikhar Ke Bahal Honey Se Sab Kuch Theek Ho Jaey Ga. 150 Judges Jo High Courts Aur Supreme Court Mein Maujood Hain Un Ke Hotey Huwey Iftikhar Chaudry Sb, Ka Kiya Kam Hoga. Kal Media Pe Chaudry Aitzaz Ahson Ne Ek Tajziya Kiya Tha Ke Nawaz Shareef Ke Disqualify Ke Against Jo Review Pitition Hogi Qanoon Ke Mutabiq Wo Wahi Judges Sunein Ge Jinhoon Ne Faisla Diya Hay. Ab Sawal Ye Ata Hay Ke Wo Dono Judges Kiya Apne Diyey Huwey Faisley Ko Ghalat Qarar De Den Ge? Ye Sawal Apni Jaga Maujood Hay. Sadar Zardari Ke Khilaf NRO Ke Khilaf Iftikhar Chaudry Koi Faisla Dene Ki Position Mein Hay? Nawaz League Ne Muhtat Rawaya Apnaya Huwa Hay Lekin Imran Khan Aur Qazi Hussain Ahmed Dono Ab Barmla Keh Rahey Hain Ke Wo NRO Ke Khilaf Supreme Court Jaen Ge. Agar NRO Ko Reject Kar Diya Gaya To Zardari Ko Ghar Jana Hoga Aur Sadar Ka Uhda Rakhne Ke Baad Jitney Kam Kiyey Hain Wo Khatam Ho Jaen Ge. Zahir Hay Pir Iftikhar Chaudry Ki Bahali Bhi Ayeeni Taur Pe Khatam Ho Jaey Gi. Kiyoon Ke Prime Minister Ne Ailan Kiya Hay Aur Summuray Sadar Saheb Ko Bhijwi Hay Aur Sadar Saheb Ki Signature Se Hi Sab Hoga. Ye Sab Cheezen Qabal Az Waqt Hain, Lekin Aney Wala Waqt Kaisey Chalta Hay, Adliya Sach Mein Azad Ho Jaey Gi, Ya Adliya Mein Ikhtilaf Se Koi Naya Crices To Nahi Aye Ga. Main Pakistan Ke Mustaqbil Se Khasa Mutmain Hoon, Lekin Itna Nahi Jitna Muhtaram Imran Khan Sb Hain, Ke Ata, Dal, Chawal, Aur Petrol Sab Sasta Ho Jaey Ga. Main Qataee Taur Pe Is Se Bhi Itefaq Nahi Karta Ke Insaaf Sasta Ho Jaey Ga. Insaaf Mehenga Bhi Miley To Milna Chahiyey Lekin Hamarey Wukla, Bat To Sastey Insaaf Ki Kartey Hain Lekin Agar Tajarba Karna Hay To Kissi Case Ke Silsiley Mein Kissi Wakeel Se Mil Kar Dekhein Patta Lag Jaey Ga, Ke Insaaf Kitna Mehenga Hay.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 50718 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More