Zameer aur Insan
(Faisal Shabbir, Karachi)
Zameer Aise Kayfeat Ka Naam Hai
Jo Insan Ko Boreoun Per Malamat Karti Hai .Aur NAFS Aise Kafeat Ka Naam Hai Jo K
Insan Ko Boreoun Per Khoshamad Karti Hai. ZAMEER Naykeoun K Ly Mishal-E-Rah Hai
.
Jiasa K Aik Mashoor Maqoola Hai K JAISA DAIS WAIESA BHAIS ... Aise Tarh Jaisea
Insan Ka Zameer Ho Ga .Washi Us K Adat -O-Khaysail ,Us Ka Chal Chalan, Us Ka
Andaz-E-Gufatgo, Us Ki Rawait Houn Ge. Yeh Sb Kuch Us K Zameer Ki Aksai Karti
Hain.
Jis Tarh Zahir Aur Batin Main Farq NAFS Hai .Bil Kul Is Tarh Naki Aur Badi Main
Farq ZAMEER Hai.
Zameer Nafs K Khelaf Seesa Pali Dewar Hai Us Usy Boreoun Ki Dalal Main Girny Sy
Bachati Hai.
ALLAM MUHAMMAD IQBAL B Sari Zindagi Muslims K Zameer Ko Jagany Main Lagay Rhy .
Is Haqeqt Sy Koi Na Ashna Nae Jis Koom Ka Zameer Zinda Ho Usy Ezat, Shoraht
Azmat Aur Baam-E-Falak Tk Pounchny Tk Duniya Ka Bara Sy Bara FIROUN Aur Door-E-Ibrahm
Ka Namrood B Nae Rook Sakta....
Zameer K Baghair Insan Janwroun Sy B Bad Tr Hai.Duniya Main Paia Karda Fasad
NAFS Ki Hi Karstani Hai. Is Ly Zameer Hi Aise Dhal Hai Bacha Sakti Hai.
Zameer Aik Aise Shama Hai Jo Shab-E-Zulmayt Main Chalny Waloun Raheoun K Ly KHZR
Ka Kam Daiti Hai.
Zameer Aik Aisa Shajr-E-Sia Dar Hai Jo Insan Ko Nafsani Khaweshat Ki Kari Dhoop
Sy Bachany K Ly Kafi Hai ..
ZAMEER Aik Asia Noor Hai Jis K Chamakny Sy Boreoun Ki Shab-E-Tareek Apny Anjam
Ko Pounchti Hai.
Zameer Aik Aise Saba Hai Jo Insan Ko Abr-E-Rehmat Ki Naveed Sunati Hai. Yh Aik
Aise Qout Hai Jis Ka Samna Karty Hoy Duniya Ki Sari Qouaten Heech Jati Hai.
Is Ly INSAN K Pas Doulat , Ezat,Shourat, Azmat Aur Jah-O-Jalal Ki Bajay ZINDA
ZAMEER Ka Hona Zrori Hai.......
Asslamo Alikum......