Hazrat Sahbzada Abdul Hakeem R.A.A(qilah sangni shareef)

(zeenia, pindi)

Swaneh Umri
Janab Hazrat Sahbzada Sahib Ka Taluq Iraq Ke Shehr Baghdad Se Tha.Apka Taluq Bunyadi Tor Par Mazhbi Gharane Se Tha.Isi Shoq Or Lagan Ki Waja Se Ap Baghdad Se Iran Aye.Is K Bad Hindustan Tashreef Laye.Apki Mulaqat Hazrat Baba Ji Mureed Khan Almaroof Miya Haji Baga Sher Sarkar Se Howi.Un Se Apko Zahri O Batni Bait Ka Sharf Hasil Hwa.Or Wohi Se Apko Wilayat Ka Darja Hasil Hwa.Apko Kibla Murshad Sarkar Ne Is Mukam Par Pohnchaya Jo Kisi Kisi Ko Naseeb Howa.

Ap Apne Murshad Sarkar K Manzoor E Nazar Mureed They.Ap Ne Apni Rehayish Ke Lye Gaon Chakarhali Shareef Ko Muntakhb Kiya.Or Mukhtlif Ilaqon Mai Chila Kashi Shuru Kar Di.

Yon To Bohat Mukam Hain Lekin Kila Sangni Wali Jaga Ko Ap Ne Bohat Zyada Pasand Kiya.Chonke Is Waqt Kilah Ka Namo Nishan Na Tha.Wahan Ap Chila Kashi Kiya Karte They.Apki Zahiri Banawat Aisi Thi Or Khush Poshak Bhi They Jo B Apko Dekhta To Dekhta Reh Jata.Log Apki Zyarat K Lye Joq Dar Joq Chakarhalì Shareef Atey.Kehte Hain Koi Kitna B Bemar Ap Ke Pas Aa Jata To Ap Apne Pas Se Aik Chutki Khak Hi Usey Detey To Wo Bilkul Thek Ho Jata.Ap Or B Logu Ki Har Mushkil K Lye Allah Pak Se Dua Karte To Wo Hal Ho Jati.Apka Taluq Hazrat Ghazi Kalandar Badsha Se B Tha.Ap Aksar Wahan Hazri Detey They.Jab Kilah Sangni Wala Waqia Howa.Us Waqt Ap Wahan Mojood They.Ap Ne Dogra Hakomat Se Farmaya.Ye Kilah Tm Banao Lekin Rahu Ga Main Ye Faqeer Ki Jaga Hai.Ye Keh Kar Ap Chakarhali Hijrat Kar Gae.Yahan Ap Ne Deen Ki Tableegh Shuru Kar Di.Fiqa Or Hadees Par Jame Kutab Tasneef Kien.Jo Aj B Farsi Zuban Main Hamare Pas Hain.Kuch Arsa Bad Ap Ne Is Dar E Fani Se Rehlat Farmayi.Or Chakarhali Shareef Main Ap Ko Dafan Kiya Gya.Taqreeban 5 Saal Bad Ap Ne Apne Farzind Jo Apne Walid Sahb Ki Tarah Bohat Barhe Darwaish Howe.Un Ka Nam Hazrat Sahbzada Seyad Muhamad Sahib Almaroof Sakhi Sarkar Tha Ko Rat Khwb Mai Aye Or Farmay Mujhe Yahan Se Kilah Sangni Le Chalo.Is Waqt Kilah Khali Ho Chuka Tha.Idhar Dosri Taraf Ap Ko Bohat Man-Ne Wale Sui Cheemyan Ke Cheema Qom K Logon Ko Bhi Rat Khwb Mai Irshad Farmaya Ke Mujhe Yahan Se Nikal Kar Kilah Sangni Le Chalo.Wo Log Dosre Din Ap Ke Sahibzada K Pas Aye Or Apna Khwab Sunaya Ap Ne B Apna Khwab Sunaya.Phr Sab Ne Soch Chakarhali Ke Log To Hamy Baba Ji Ko Sangni Nai Le Jane Dain Ge Kaise Le Jayin Ham?Rat Phr Khwab Mai Ap Aye Or Ap Ne Farmaya Tm Chakarhali K Aik Ghar Mai Kundi Lagao Ge Sab Gharu Mai Lag Jayin Gi Tab Tm Log Mujhe Kilah Sangni Le Jana.Subha Ko Ye Khwb Sab Ne Aik Dosre Se Biyan Kiya Or Faisla Kiya K Rat Ko Baba Ji Ko Kilah Sangni Muntakal Karain Ge.

Rat Ko Aik Gar Mai Kundi Lagane Se Sab Gharu Mai Kundayan Lag Gain Or Ap Sahbzada Sahib Or Cheema Ke Logu Ne Kabar Mubark Ko Khola.Ap Wahan Mojood Na They.Log Ghabra Gae.Lekin Hazrat Farzind Ne Intazar Karne Ko Kaha.Thorhi Dair Bad Dekha To Ap Tashreef Farma They.Or Is Halat Mai K Apki Reish Mubark Par Pani Ki Bondain Saf Dikhayin Di.Apka Sindooq Kabar Se Nikal Kar Kabar Ko Dobara Band Kiya Gya.Or Kilah Sangni Le Aye Wahan Apko Kabar Tyar Hone Tak Aik Din Rakha Gya Ap Usi Tarah They Jaise 5 Sal Pehle Hayat Mai Howa Karte They Yahan Boht Se Logu Ne Apka Deedar Kiya.Apke Farman Ke Mutabak Apko Kilah Sangni Mai Aik Bar Phr Janaza Parh K Dafan Kiya Gya.Jahan Apka Mazar E Mubark Aqeedat Mandu Ke Dilu Ko Munawar Or Kalbi Sakoon Faraham Karta Hai.Ye Swane Umri Mukhtasar Tehreer Ki Gai Hai Waise To Ap Pe Kitab B Likhi Ja Sakti Hai.Aik Or Bat Apka Luqb Baba Chere Wala B Hai Qk Boht Zyada Ibadat Se Ap K Sar Mai Sorakh Ho Gae The Or Sangni Wale Ye B Kehte Hain K Ap Ne Pani K Andar Chila Kashi Ki Thi Jis Se Machlyon Ne Ap K Sar Ka Mas Thorha Kha Lia Tha Jis Se Ap K Sar Mai Cheer Parh Gya Tha.Jis Se Nehayat Hi Khubsorat Khushbu Ati Thi. Is Lye Ap Ki Kabar K Pas Ap K Sar K Peeche Bhi Sorakh Rakha Gya Hai Jis Mai Se Aj Tak Khushbu Ati Hai.Is Lye Ham Inain Baba Cheere Wala B Kehte Hain.

Akhir Main Sangni Shareef K Bare Main Batati Chalu Ye Gaon Gujarkhan Se 25km K Fasle Pe Hai.Tehsil Gujarkhan Ka Akhri Gaon Hai.Or Sar Sabz Paharhon Mai Kilah Sangni Hai.

zeenia
About the Author: zeenia Read More Articles by zeenia: 4 Articles with 221171 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.