Karachi Bomb Dhamaka Aur Asi Jamoriyat
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Aaj 3 March Ki Sham Karachi Abbas Town Main
Chand Minit Ke Waqfay Se 2nd Bomb Dhamaky Huwy Jis Main Mutadid Insani Jano Ke
Sath Gharo Aur Amlak Ko Shadid Nuksan Huway 40 Se Zahid Afrad Jainbaq Aur 150 Se
Zahid Afrad Zakmi Hai Aur Mutadid Afrad Ki Halat Tashwish Nak Aur Mutadid Afrad
Malby Talay Dabay Huway Hai Aur Imdadi Kam Jari Hai Dhamaky Ki Shedad Is Qadar
Tez Thi Ke 500 Se 700 Tak Ka Area Mutasir Huwa 200 Falets Amne Samne Ke Buri
Tarha Tabhai Ka Shikar La Tadad Shops Hotels Mukamal Taba Aur Barbad Ho Gay Yahi
Nahi Mutadid Gharo Ke Andar Tak Ki Amlak Taba Ho Gai 40 Se Zahid Gharo Main
Safay Matam Buj Gaii 10 12 Afrad Ka Roz Marna Is Sheher Ka Muqadar Ban Chuka
Hain Aur Phaly Hi Kai Barso Se Ya Sheher Lahu Lahu Hai Aur Mazid Lahu Laan Kiya
Ja Rha Hai Tinka Tinka Jama Kar Ke Apna Ashiyana Banne Walo Ka Sub Kuch Tehas
Nehas Ho Gay Is Sheher Ki Masom Awam Phly Hi Target Ciling Ka Shikar Roads
Galiyun Main Mehafoz Nhi Hai Hai Aur Ab In Ke Ashiyanay Amlak Bi Mehafoz Nahi
Raha Hakomat Aur Intizamia To Nakam Hai Hi Aur Sindh Intizamia To Aaj Sharmila
Farooqi Ki Engajmnt Ko V.I.P Dene Main Magan Thi Aur Sheher Quaid Ki Masom Awam
Ka Koi Pursan-E-Hal Nahi Aur Awam Ko Mukamal Deshat Gardo Ke Reham O Karam Par
Chor Raka Hai Na Jane Karachi Ki Awam Kis Juroom Ki Saza Bugat Rahi Hai Aur Is
Awam Ka Qasoor Kiya Hai Hukomat Aur Establishment Deshat Gardo Ka Tamam Bio Deta
Jante Huway Bi Behas Bani Beti Hai Aur Apni 5 Sala Nakam Hakomat Ke Geet Gati
Rehti Hai Kiya Jamoriyat Asi Hoti Hai Jis Me Main Awam Ke Jan O Mal Ka Thafoz Na
Ho Aur Jis Jamoriyat Main Awam Kuttay Billi Ki Tarha Marti Raha Aur Jamoriyat Ke
Name Par Awam Ko Goliyan Bomb Dhamaky Aur Mout Milti Raha Aur Awam Dhoray Azab
Zulom O Sitam Main Mumtila Raha Aur Hakomat Jomriyat Ka Raag Gati Raha Aaj Humhe
Sub Ko Mil Beth Kar Sochna Hoga Aaj Ya Aag Samne Wale Ghar Main Lagi Hai To
Yakinan Kal Ya Aag Mere Apne Ghar Main Bi Lag Sakti Hai Magr Hum Sub Kuch Jante
Huway Bi Aaj Hum Kud Bebas Aur Majbor Ban Chukay Hai Aur Bat Bs Itni Se Hai K
Galtiya Sara Sar Kud Hamari Apni Hai Aaj Humhe Sochne Aur Sumjne Ki Ashad
Zarorat Hai.4march