Pak Iran Gas Pipe Line K Sangay Bunyad Ka Agaz

(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)

Pak Iran Gas Pipe Line Mansobay Phr Sabiqa Sader Parvaiz Musharaf Ke Dor Se Pash Rafat Jari Thi Aur Is Mansobay Ki Bunyad Bi Parvaiz Musharaf Hakomat Main Rakhi Gai Thi Lakin Phir Pak Iran Gus Pipe Line Mansoba Tatil Ka Shikar Raha Americi Dabao Ke Pashay Nazar Aur Ab P.P.P Ki Mojoda Hakomat Ne Is Mansobay Ko Hatmi Dor Phar Paya Takmil Tak Puchanay Ke Lia Amli Dor Phr Kam Kiya Aur Haliya Chand Din Phlay Sarder Asif Ali Zardari 2 Roza Sarkari Dooray Kiya Iran Ka Aur 2nd Mulko Ke Saders Ne Is Mansobay Ko Hatmi Shakal Di Aur America Ke Tamam Dabao Aur Tafozat Ko Nazar Andaz Kiya Aur 11 March Ko Sarder-E-Pakistan Asif Ali Zardari Apne Wafad Samait Iran Gay Aur Pak Iran Gus Pipe Line Mansobay Ka Ifteda Agaz Kardia Aur Ab 2nd Saal Bad Pakistan Ko Roz Iran Se 775 M.K Gas Milna Shoro Ho Jae Gi Aur Is Gus Pipe Line Ko Irani Elaqay Aslavi Se Pakistan Main Multan Tak Tosiya Di Jae Gi Iran Se Gas Hasil Karna Pakistan Ki Ashad Zarorat Hai Qk Pakistan Ko Qudrati Wasahil Se Mala Mal Hone Ke Bajwajod Energy Ke Bhoran Ka Samna Hai Aur Irani Sader Ne Pakistan Ko 2000 M.W Bijli Bi Faram Karne Ka Kha Hai Pak Iran Gus Pipe Line Mansobay Se Pak Iran Dosti Ke Ek Aur New Bap Ka Agaz Hota Hai Aur Is Mansobay Se America Aur Iske Hawario Ko Shadid Tashwish Aur Thafozat Hai To Kehna Ya Hai Ke America Aur Iske Hawari Pakistan Ki Taraqi Khushali Main Sub Se Bari Rukawat Hai Aur Yahi Nhi America Aur Iskay Hawari Pak Iran Cheen Dosti Ki Raha Main Bi Sub Se Bari Rukawat Hai Irani Sader Cheeni Sader To Brave Ha Jo America Ke Kisi Dabao Ko Katir Main Nahi Latay Aur Apne Mulki Mafad Main Her Faislay Delary Se Karte Aye Hai Lakin Ab Sader-E-Pakistan Asif Zardari Ki Bravely Qabilay Sataish Hai Jo Inho Ne Is Mansobay Ko Paya Takmil Tak Puchaya Aur Mulki Mafad Main Pak Iran Gus Pipe Line Aur Pak Cheen Gawadar Port Jaise Mansobo Ko Paya Takmil Tak Puchaya.

mohsin noor
About the Author: mohsin noor Read More Articles by mohsin noor: 273 Articles with 261860 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.