Akir Kar Elan Ho Gaya Elction 11 May Ko Ho gay
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Sader-E-Pakistan Asif Ali
Zardari Ne Samri Phar Sign Kardiya Aur National Assembly Samat Charo 4th Subhaii
Assembliya Dissolved Ho Gai Aur Elction Comissioner Ne Kakzaat Na Mazdagi Jama
Karanay Ki Date 25 March Se 31 March Tak Ka Elan Kardiya Is Phar M.Q.M Ke Quaid
Altaf Hussain Ne Kakzat Na Mazdagi Jama Karane Ki Date Main Tossiya Ki Request
Kardi Elction Comissner Se Aur Ab Apni Hakomat Ke 5 Saal Mukammal Karne Ke Bad
Yahi Loge Ek Bar Phir Awam Ke Darwazo Phar Karay Hain Vote Lenay Ke Lia Aur Awam
Ki Fala Bahabod Aur Masahil Ko Hal Karne K Phir Se Boland Bala Daway Kar Raha
Hai Aur Awam Ke Vote Se Again Iqtidar Main Anay Ke Khuwab Apni Palkoo Phar Saja
Raha Hai Aur Phir Se Iqtidar Ke Mazay Lootna Chatay Hai Qaireen Se Mera Ek Sawal
Hai K Kiya Ya Awam Phir Se Inhi Logo Seyasi Partyon Ko Apna Vote De Kar Phir Se
Iqtidar Main La Kar Inhay Esh O Ayiyashi Karana Chati Hai Aur Kud Awam Isi Tarha
Taba O Barbad Zulom Aur Sitam Barbariyat Ka Shikar Rehana Chati Hai Kiya Ya Awam
Sir Utha Kar Jina Nahi Chati To Yaad Rahay Pichlay 40 50 Saalo Se In Hukmirano
Ne Awam Se Zinda Rehanay Ke Bunyadi Haqooq Bi Cheen Lia Aur Is Awam Phar Zindagi
Tang Se Tang Tar Kardi Gai Aur Pakistan Ke Tamam Awam Buzrogo Genration Ko 60
Saal Ka Talak Tajarba Ho Chuka Hai Kiya Ab Ya Awam Phir Se 11 May 2013 Ko Apna
Vote Inhi Seyasi Partyon P.P.P Aur P.M.L.N Ko Degi To Phir Is Mulk Aur Awam Ka
Allha Hi Hafiz Hai 11 May Ko Awam Apne Vote Ka Soch Sumj Aur Consider Karky
Istimal Karen Aur New Politice Partyon Ko Azmaye.