Awaam Bewakoof Hain
(Muhammad Ahsan Lakhani, Karachi)
Ek Shehar Main Ek Jadoogar Ka Raaj Tha Woh
Jhoote Jadoo Kar K Awaam Ko Bewakoof Banata Or Awaam Us K Jadoo Ko Karishmay
Samajh Kar Usay Poojti Or Apna Sab Kuch Tann Mann Dhann Is Pe Nichawar Karti Thi
Bohat Arsay Tak Us Nay Awaam Ko Isi Tarah Bewakoof Banaya Phir Ek Din Is Se Bara
Jadoogar Usi Shehar Main Aaya Jo Is Se Bara Jadoo Karne Laga Ab Awaam Us Ko
Khuda Samajh Kar Usay Poojne Lagi Isi Tarah Is Shehar Ka Maamla Chalta Raha
Chand Jadoogar Tolon Ne Awaam Ki Nafsiyat Samajh Lee Or Nasal Darr Nasal Awaam
Ko Bewakoof Banane Main Mashgool Rahe Jadoogar Jab Boorha Ho Jaata To Apne Betay
Ko Awaam Ki Nafsiyat Samjha Kar Or Jadoo Sikha Kar Agay Kar Deta Awaam Isay
Khuda Samajh Jaati Isi Tarah Silsila Chalta Rehta.
Agar Hum Is Kahani Ko Pakistani Leaders Or Awaam Se Tashbeeh Den To Galat Nahi
Hoga. Pakistan Main B Kuch Isi Tarah Ka Silsila Pichle 65 Barson Se Chalta
Aaraha Hai. Kuch Makhsoos Khandani Tolon Ne Pakistan Or Pakistani Awaam Ki
Nafsiyat Samajh Li Hai, Zulfiqar Bhutto K Baad Benazeer Ab Bilawal, Nawaz Or
Shahbaz K Baad Hamza Or Marium, Chaudry Biradran K Bad Monis Ilahi Or Mufti
Mehmood K Baad Molana Fazal Ur Rehman Or Us K Baad Mujhe Yaqeen Hai Is Ka Beta
Ayega. Yeh Silsila Chalta Rahega Nasal Darr Nasal Q K Yeh Log Pakistani Awaam Ki
Nafsiyat Pehchan Gaye Hain Yeh Jaan Gaye Hain K In K Saath Topi Drame Karo Yeh
Khush Hogi Or Aap Pakistan Main Raaj Karoge In Ko Pata Hai K Pakistan Main Isi
Tarah Arab Wa Kharab Patti Bana Jaa Sakta Hai. Mujhe Yaqeen Hai K In Ki Anay
Wali Nasal In Se B Bari Chor Or Thagg Hogi Yeh Log Computerized Or Parhe Likhe
Chor Honge Jo Ek Click Ya Enter Per Arbon Rupees Ka Ghapla Kardenge Or Kisi Ko
Pata B Nahi Chalega. In Logon Ko Bharpoor Training Di Ja Chuki Hogi Or Bus Yeh
Nasal Be Sabri Se Apni Baari Ka Intazar Kar Rahi Hogi Or Yeh Awaam Bewakoofon Ki
Tarah In K Baap Daadaon Ki Wajah Se In Se Aqeedat B Rakhenge, In Ki Izzat B
Karenge Or In K Khilaf Bolne Walon Ko Gaali Galoch Or Bura Bhala B Kahenge, Darr
Haqeeqat In Ka Qasoor Nahi Awaam Ka Qasoor Hai.
Mujhe Yaqeen Hai Aaj B Yeh Log Apne Baray Baray Shahi Mehlon K Baray Baray
Kamron Main Beth Kar Hanstay Honge Hath Main Bear Or Cig Le Kar Apass Main
Baaten Karte Honge Or Keh Kahay Maarte Honge K Waqai “Awaam Bewakoof Hain”.