Election Ka Mozu' Pehli Baar "Karkardgi"
(Ather Ali Wasim, Karachi)
Agar Civil Aur Military
Bureaucracy Pakistani Syasat Mn Bil-Wasta Ya Bila-Wasta Baar Baar Mudakhilat Na
Kerti To Ye Bohut Pehlay Ho Jana Tha Keh Election Mn Wohi Party Kamyaab Hoti Jo
Achhi Karkardgi Dekhati. . . . . . Duaen Dain K Baar Baar Ki Thokrain Khanay K
Baad Benazir Bhutto Aur Mian Nawaz Sharif Ne Apni Jila-Watni K Doraan London Mn
Baith Ker "Misaaq-E Jamhooriyat" Sign Kia Aur Jis K Nateejay Mn PPP Ki Hakoomat
Ne 5 Years Pooray Kye, Aur Iss Martaba On K Paas Koi Excuse (Jawaaz) Na Raha Aur
Qoum Main Itna Badnaam Ho Gaye K Aanay Walay Election Mn Apni Kharaab Karkardgi
K Ba'is Baray Pemanay Per Rejection Ki Simt Barh Rahay Hain. . . . . . Pehli
Martaba Pakistan Ki Civil Society, Electronic Media, Aur Adlia Nay Awaam Ki
Aksariyat Ko Ye Sochnay Per Majboor Ker Deya Hay K Ab Vote Ka Faisla Brotheri,
Qoumiyat, Firqa Wariyat, Ya Lissaniyat K Bajaye Siyasi Partyon Ki Karkardgi Per
Karo. . . . . . Misaaq-E-Jamhuriyat Per Signature Kernay Wali Doosri Jamaat PML-N
Bhi Pareshan Hy K Us Nay 5 Saal Mn Punjab Mn Power Mn Honay K Bawajood Wo
Karkardgi Nie Dekhai K Jis Say Khud Per Tanqeed Ko Radd Ker Sakti, Wo Local
Bodies Ka Nizam Bahaal Na Ker Saki, Rishwat Aur Zulm Se Bharpoor "Thana Culture"
Mn Koi Tabdeeli Nie La Saki. . . . . . Logon Ka Shaoor Filhaal Bohat Baray
Pemanay Per To Bedaar Nie Hua, Lekin Ghar Ghar TV K News Channels Ne Is Hadd Tak
Bedaar Ker Diya Hay K Hakoomat Mn Reh Ker Status-Kou Na Tornay Wali Parties K
Bajaye Inqilaab Ka Naara Buland Kernay Wali Parties Ki Acceptance (Qabooliyat)
Barh Rie Hay. . . . . . Aglay 15/20 Din Mn 'Guzishta Karkardgi" Ka Jin Sabiq
Hukmiran Partion Ko Mazeed Pareeshan Kare Ga.