Bijli Ka Battareen Bhoran Aur 11 May
(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)
Watan-E-Aziz Main Bijli Ke
Bhoran Ki Suratain Hal Sangeen Se Sangeen Tar Hoti Ja Rahi Hai Is Battareen
Bhoran Ka Agaz Aaj Se 5 Saal Phaly Yani 2008 Main P.P.P Ki Hakomat Qaim Hone
Phar Huwa Sub Jante Hai 18 Feb 2008 Main P.P.P P. Baray Zor O Shor Se Roti Kapra
Makan Ka Nara Laga Kar Iqtidar Par Qabiz Hui Aur Phir P.P.P Ne Awam Ki Zindagi
Ko Urooj Baksha Ya Zawal To Yakinan Jawb Zawal Hoga To Sabiqa Jamoori Hakomat Ne
Awam Ko Roti Kapra Makan Dena To Door Ki Bat Roti Kapra Makan Bi Cheen Lia To
Bat Bijli K Bhoran K Ho Rahi Tha P.P.P Ke Iqtidar Main Ate Hi Media News Papers
Se News Anay Lagi K Mulk Main Bijli Bhoran Shart Faal Itne Hazar Mega Watt Tak
Pouch Gaya Kahi K.E.S.C K Raqam Wajbat Na Milna To Kahi Gus Oil Ka Na Milna Gus
Oil K Bi Battareen Bhoran Ya Silsela Chalte Chalte Puray 5 Saal Beet Gay Ya
Bhoran Katam Hone K Bajae Sangeen Suratain Hal Aqtiyar Kar Gaya Halanky Journel
Musharaf Ke Door-E-Hakomat Main Bijli Ka Bhoran Mehangai Bada Mani Nam Ki Koi
Cheez Hi Nhi Thi Ab Nigra Hakomat Qaim Hai Aur Bijli K Battareen Bhoran Aur
Tawalat Aqtiyar Kar Gaya Yani Time Limit Se Ziyada 24 Hour Main Se 4 Ya 5 Hour
Bijli Mil Rahi Hai Awam Ko Aur Awam Dhoray Azab Ka Shekar Hai Bijli Chalay Gi To
Sub Chalay Ga Wrna Kuch Bi Nahi Ab Jabkay 11 May Bi Bhot Qareeb Hai Aur 11 May
Ko Phir Awam K Apni Qismat Ka Faisla Karna Hai K Inha Ab Tareeqi Main Rehana Hai
Phir Se Ya Ujaalay Main Is Time Awam Sakt Azab Kashma Kash Depration Aur Bijli
Ke Battareen Bhoran Ka Shekar Hain Aur Ab 11 May Ko Ya Awam Kesa Faisla Karti
Hai.