Kya Mei Muslimaan Hoon

(Imtiaz Rajar, Hyderabad)

Roz Ki Tarha Wo Aaj Bhy Mere Ghar Pe Aaya Aur Gupshup Karne Laga .Gupshup Doran Us Ne Eik Ajeeb Sawal Poocha K "Kya Tum Muslimaan Ho" Mei Ne Muskra Key Kaha "Beshak Mei Musiman Hu",Usne Phir Sawal Kia Kia Key "Tum Muslimaan Ho", Mene Phir Jawab Diya Key Mei Muslimaan Hoo Tumhei Pata Hai Key Mai Namaaz Parhta Ho, Quran Parhta Hu, Islami Kitabeei Parhta Hu, Ramzan Mei Rozei Bhy Rakhta Hu Aur Islam Key Deegar Farz Bhi Ada Karta Hu. Us Ne Mera Jawab Suna Or Kaha Key Namaz Parhne Aur Roze Rakhne Se Kia Tum Muslimaan Ban Gae, Wo Kuch Der Key Liye Khamosh Hogya Aur Phir Bola Key Kia Yeh Hota Hai Musliaan Jo Dosrey Muslimaan Pe Zulim Kare Ya Zulim Key Against Awaaz Na Uthae. Kia Eik Musilaan Ki Yeh Khoobiyan Byan Ki Gae Hai Quran Mei, Muslimaan Kahte Ho Tum Ab Bhi Apna Aap Ko. Wo Ye Kah Kar Chala Gya Aur Mujhe Sochney Par Majboor Kar Gya. Lekin Kuch Der Baad Phir Mei Dunia Key Kaamoon Mei Lag Gya.

Imtiaz Rajar
About the Author: Imtiaz Rajar Read More Articles by Imtiaz Rajar: 40 Articles with 54135 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.