Salam Sare Hum Watano Ko Mere
Dosto Kuch Din Pehle Lahore Main Buhaat Afsoosnak Wakia Pesh Aya Jis Main Aik
Masoom Bachi Doctors Ki Ghaflat Se Zindagi Haar Gaye.Aik Pyare Se Masoom Bachi
Jo Apne Waldein Ki Buhaat Aziz Thi Is Ka Andaza Woh Hi Log Laga Saktey Hai Jin
Ke Sath Yeh Waqia Pesh Aya Aik Pyari Si Masoom Bachi Jis Ka Hath I Mean Hand
Finger Jo Kisi Waja Se Coffe Se Ya Garam Pani Baharhaal Is Masoom Ka Haath Jaal
Gaya Waldein Bachi Ko Hospital Lekar Aye Takey Unki Bachi Unki Ladli Jaldi
Sehaatyaab Hooker Dobara Ghar Ki Ronaq Bane Magar Unko Kiya Pata Tha Key Unki
Apni Ladli Doctor Ki Ghaflat Se Zindagi Haar Jayegi Tu Doctors Ne Treatment
Shorow Kia Is Massoom Ko Injection Diya Gaya Lekan Medicine Ne Reaction Kardiya
Lekan Doctors Ke Behassi Dekhe Us Masoom Ke Jaan Khatre Main Agaye Reaction Ki
Waja Sey Lekan Doctors Ne Apne Tajarbe Jare Rakhe Lekan Jab Masoom Zindagi Har
Gaye Ya Har Ne Wali Thi Tu Doctor Ne Dosre Hospital Lejane Ko Recommed Kiya Yeh
Sub Lahore Ke Top Class Hospital Main Hoya Us Ke Waldein Us Masoom Ko Lekar
Dosre Hospital Pohche Lekan Doctors Ne Bataye Key Bachi Aik Hour Pehle Zindagi
Ki Jang Har Chuki Hai Yeh Hai Hamare Pashay Ya Insaniyat Ki Dushmaan Doctors Ki
Behasi Agar Doctors Ko Pata Hi Tha Key Bacchi Ki Halat Critical Hai Tu Isi Time
Dosre Hospital Shift Kardiya Jata Hosakta Tha Ke Us Masoom Ki Zindagi Baach Jati
Lekan Doctor Jo Apne Hospitals Ka Bill Jo Banna Tha So Unho Ne Wohi Kiya Chaihye
Is Se Kisi Ki Jaan Chale Jaye Koi Baat Nahi Bus Paisa Ana Chaihye Is Se Kisi Ki
Jaan Kiyu Na Chale Jaye Agar Unki Jaga Koi High Standard Personality Hoti Tu
Pura Hospital Aur Pure Lahore Ke High Standard Ki Medicines Aur Doctors Hazir Ho
Jatey Lekan Agar Koi Gharib Ya Aur Koi Aye Tu Is Ki Jaan Ki Koi Kemaat Nahi Main
Yeh Nahi Kehta Sub Doctor Aik Jaisey Hotey Hai Lekan Paisy Ke Liye Dosro Ki
Zindagi Se Khelney Waley Doctors Ne Sare Doctors Ko Sharminda Kiya.
Tu Mere Sare Doctors Se Appeal Hai Key Sare Doctors Aisey Doctors Ke Agianst Jo
Insanayat Per Paisa Kamane Ko Tarjeeh Dete Hai Uth Kharey Ho Takey Ainda Koi
Masoom Apni Zindagi Aisay Logo Ke Hatho Na Hare.