"Agar Aap Rastey Pe Ja Rahe Ho
Aur Aap Ko Manzil Nazar Na Aae To Samjho Key Aap Ghalat Raaste Pe Ja Rahe
Ho...." Yeh Alfaz Meine Kaha Parhe They ...Shayad Bhut Pehle Aur Meri Yaad Ka
Hisa Ban Gae...Mujhe Jab Bhi Koi Manzil Na Pata Hua Nazar Aata Hai ...Mujhe Yeh
Lafz Yaad Aate Hai.....Aaj Bhi Alafz Mujhe Eik Song Sunne K Baad Yaad Aae Yeh
Song Atif Aur String Ne Gaya Hai....2007 Se Le Kar Ab Tak Logoon Ki Thinking Mei
Changing Aa Chuky Hai Ab Log Pakistan Ko Badalna Chahte Hain Aur Bhut Se To
Manzil Ki Tarf Nikal Bhi Chuke Hain ........Lekin Manzil "Change" Kahei Door Tak
Nazar Nahi Aarhy Hai......Aakhir Kar Kia Waja Hai.......Hum Ne Jab Mahsooos Kia
Key Humei Pakistan Ko Badlna Hai To Hum Nikal Kharre Hue...Meine Bhi Aisa
Mahsoos Kia Aur Meine Than Li Key Mei Change Mei Ahm Kirdar Ada Karoon Ga........Us
K Baad Mei Ne Jo Ghalat Dekha Use Ghalat Kaha Aur Mobile Key Zariye Logoon Ko
Awareness Dene Ky Koshish Ki......Lekin Aaj 1 Saal Guzarne Ki Baad Bhi Haalat
Wohi Hain...Kuch Nahi Badla....Q Key Mera Rasta Sahi Nahi Tha.....Mei Tanqeed
Aur Mobile Aur Naaroon Key Zaraiya Change Lana Chah Raha Tha....Mei Practical
Nahi Kar Raha Tha.....Mujhe Agar Change Karna Tha To Pehle Apne Department Aur
Apna Idara Sahi Karna Tha .....Hum Sub Ko Apne Department Mei Honesty Laana Hogi..........
Hum Ko Police Aur Degar Depatment Behtar Banane Hogi...Humei Khud Lead Karna
Hoga ......Warna Change Mumkin Nahi.