Hmara Kya Hoga

(Farhat Pervez, Islamabad)

Hmara Kya Hoga Yeh Sawal Kisi Na To Kisi Mazhabi Peshwa Ka Ha Or Na Hi Kisi Talib Ki Manchalay Groh Ka Ek Doosray Se.Yeh Sawal To Ek Zishaoor Shaks Ka Ha Jo Mahaz Kuch Dair K Liay Apny Ird Gird K Logo Per Or Khod Per Nazar Dalny K Bad Yeh Sawal Sochta Ha Magar Zamanay K Rang Dhang Dekh Kr Doobara Khod Ko Apni Mamoolat Main Uljha Leta Ha .Haqeeqat Yeh Ha K Hm Sb Betartibi Or Budhali Ki Taraf Is Tarah Barh Rhay Han K Is Ka Undaza Lagana Namumkin Ha.Is Ki Ek Choti Si Missal School Bus Or Van Main Bathnay Walay Bachay Han Bachay Wahi Krty Han Jis Ki Tarbiat Unhain Di Jati Ha.Waldain Un K School Janay Or Ilm Hasil Krny Ko Bohat Ahmiat Dety Han Magar Is Bat Ka Khyal Nai Krty K Aya Hmara Bacha Ek Tahzib Yafta Shehri Bunnay Ki Salahiat Rukhta Ha Ya Nai.Bat Agar School Van Ki Ki Jay To Apni Seat Hasil Krnay K Liay School Van Main Dhuky Day Kr Charhty Or Apny Doosto Or Bhai Behno K Liay Jaga Rakhty Han Jb K Bhoolay Bhaly Ya Kamzor Bachay Is Main Nakam Ho Jaty Han.Bazahir Yeh Ek Am Bat Ha Magar Haqeeqat Main Yeh Ek Almia Ha K Hmaray Bachon Main Baz Janwaron Ki Khsoosiat Parwan Char Rahi Han ,Baz Janwar Bhi Ek Doosry Ka Khyal Rakhty Han Maar Kuch Janwar Jasay K Kuta Bili Cheeson Ko Bant Kr Nai Lr Kr Hasil Krty Han,Kya Yahi Tarbiat Hmari Mazhabi Iqdar Ka Hissa Ha,Agar Aisa Nai To Hm Bahar K Mumalik Main Ja Kr Kasay Mohazib Ho Jaty Han? ,Kun Jhan Jaga Milay Baith Jty Han ? Kun Qatar Main Kharay Hoty Han? Haqeeqat Yeh Ha K Hm Ko Idaron Main Behtar Taleem K Hsool K Liay Koshish Krny Se Ziada Apny Bacho Ko Mohazib Bnany K Liay Koshish Krna Hogi Is K Liay Koi Tarbiat Gah Bhejny Ki Zaroorat Nai Bachay To Hm Se Seehty Han Wo Taqleed Ki Salahiat Rakhty Han Jasa Un K Samny Ap Ka Tarze Amal Ho Ga Wasay Hi Un Ka Rade Amal Hoga,Hmain Khod Ko Badalna Ho Ga Apny Bachon Ko Mahazib Bnany K Liay Or Dunia Main Ek Mohazib Qom Kehlany K Liay. Aj Agar Hm Nay Yeh Sawal Khod Se Na Kia K Hmara Kya Hoga? To Yahi Sawali Mohazib Ka Fard Hmaray Baray Main Karega K Inka Kia Hoga?

Farhat Pervez
About the Author: Farhat Pervez Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.