SAKHTYAAT,
SAKHT SHIKNI AUR RAAD-E-SAKHT
EAK OMOMI MOTALAH
Maqsood Hasni
Kasur
Pakistan
[email protected]
Sakhtyaat Eak Sehhat’mand Rovaea, Hama Waqt Taraqqi Pazeer Samaji Zororat Aur
Unthak Tehqeq-O-Daryafat Ka Naam Hai. Jo Soch Ko Kisi Zamani-O-Maqani Kuray Tak
Mahdood Rehnay Nahain Deiti. Yah Na’siraf Maloom (Discovered /Daryaft'shuda),
Magar Gher-Ostawar Kuroon Say Bhi Ta’aluq Ostawar Karti Hai. Oon Say Reshtay
Natay Daryaft Kati Hai. Is Ka Daera-E-Kar Yahaan Tak Hi Mahdood Nahain Rehta
Balkah Na’maloom, Magar Gher’daryafat Kuroon Ki Taraf Paish Qadmi Karkany Kay
Hawaloon Ko Ashya-O-Ashkhas Aur Oon Say Mata’alqaat Waghera Ki Jazb-O-Akhz Ki
Salahitoon Say Paivast Karti Hai.Yah Paivastgi Makhsous, Mahdood Aur Paband
Lamhoon Ki Daryafat Tak Mahdood Nahain Rehti Aur Na’hi Tagheyaraat Ki Surat Main
Jamad-O-Sakat Rehti Hai. Is Ka Raad-E-Sakht Ka Halqa, Hamaisha La’mahdood Rehta
Hai.
Kuch Log Sakhat Shekni Ko Sakht Say Inharaf Ka Naam Daitay Ya Samjhtay Hain. Yah
Soch, Sakht Shekni Kay Ziman Main Darust Aur Monasab Nahain. Sakht Shikni
Dar’haqiqat Mojooda Ko Mostard Karkay Aagay Bharnay Ka Naam Hai. Sakht Shikni
Kay Baghair Kisi Na’ay Ki Daryafat Ka Sawal Hi Nahai Othta. Sakht Sihkini Ki
Surat Main Na’maloom Kaenatain Daryafat Ho Kar Kisi Bhi Daal (Signifier) Kay
Sath Bohat Saray Madlool (Signified) Wabasta Ho Jatay Hain.
Koee Daal Gher’lachakdar Nahain Hota. Lachak, Qatray Ko Sumundar Ki Taraf
Marajat Ka Zariya-O-Vasela Hai Ya Is Kay Hawala Say Qatray Ka Sumundar Banna
Hai. Sakht Shikni Say Hi Yah Aaghi Hasal Ho Sakti Hai Kah Qatra Apnay Andar
Sumundar Bunnay Ki Salaheat Aur Johar Rakhta Hai. Daal Ko Gher’lachakdar Qarar
Daina, Aaghi Kay Pehlay Zinay Par Kharay Rehna Hai. Her Zinda Aur Lachak’dar
Soch Az’khud Aaghi Ki Taraf Bharta Hai. Zinda Aur Lachak’dar Soch Ko Daeray Ka
Qaidi Nahain Banaya Ja Sakta Aur Na’hi Yah Osay Kush Aata Hai.Yah Un’ginat
Samaji Reshtoon Main Monsalik Hota Hai.
Issi Bonyad Par Garema Nay Kaha Hai:
“Sakhtyati Nazaam Momkina Insani Reshtoon Kay Goshwaray Par
Mabni Hai”
Dr. Wazi Aagha Is Zimun Main Kehtay Hain:
“Sakhatyaat Nay Shairiyaat (Poetic) Ko Saqafti Dhagoon Ka Jaal
Qarar Dia Hai. Woh Tasneef Ki Lisani Akae Ya Maenvi Akae Tak Mahdood Na Rahi
Balkah Os Kay Andar Saqafti Tanazar Ka Bhi Ahata Kiya.”
Qirat Kay Waqt Sha’ir Ka Vajood Madoom Ho Jata Hai Aur Fiqar Mojoda Taghairaat
Kay Nataij Say Madlool Akhaz Karti Jati Hai Jabkah Vaqo Main Aanay Walay Madlool
Phir Say Naee Tashreh-O-Tafheem Ki Zororat Rehtay Hain. Is Say Rad-E-Sakht
(Deconstruction) Kay Mowaqay Bhar Jatay Hain. Agar In Lamhoon Main Sha’ir Jo
Qari Bhi Hai, Kay Vajood Ko Istaqam Mayessar Rahay Ga To Os Ka Hona Aur Rehna
Qarar-E-Vaqe Sumjha Ja’ay Ga To Daryafaat Ka Amal Rook Ja’ey Ga. Mosannaf Ko
Likhtay Aur Sharay Ko Tashri Kartay Waqt Gher’sha’ori Toor Par Madoom Hona Paray
Ga. Sha’ori Surat Main Aisa Hona Momkin Nahain Kayoon’kah Shair Ya Shakhas Apni
Mojoda Shanakht (Identity) Say Mehroom Hona Kisi Qimat Par Pasand Nahain Karta.
Sha’ori Amal Main Na’ee Tashrihaat, Na’ay Mafaheem Aur Na’ay Wastoon Ki Daryafat
Kay Dar Wa Nahain Hotay.
Mosannaf, Qari Aur Shair Na’siraf Daryaft Kay Aala’kar Hain Balkah Her Daal Kay
Sath In Kay Tavasat Say Na’ya Madlool Nathi Hota Chala Jata Hai. Is Zimman Main
Is Haqiqat Ko Kisi Lamhay Nazar Andaz Nahain Kiya Ja Sakta Kah Jab Tak Mosannaf,
Qari, Aur Shair Daryafat Kay Amal Kay Darmiyan Madoom Nahain Hoon Gay, Naya
Madlool Hath Nahain Lagay Ga. Issi Tara Kisi Daal Kay Pehlay Madlool Os Ki Moot
Say Naya Madlool Samnay Aata Hai. Pehlay Ki Haisiat Ko Gher’lachakdar Aur Os Kay
Majoda Vajod Kay Aitaraaf Ki Surat Main Na’ee Tashreh Ya Phir Na’ay Madlool Ki
Daryaft Ka Koee Hawala Baqi Nahain Rehta. “Mein Hoon” Ki Hat Mo’amlay Ki Dihgar
Ra’vishoon Tak Rasaee Honay Nahain Daiti.
Rovaeay, Asool, Zabtay Aur Tagheraat Kay Vajood–O-Nataej Aur Awamil Ki Nature,
Os Ki Theory Say Mukhtalif Nahain Hoti. Tagheraat Eak Say Hoon, Eak Tarah Say
Hoon, Eak Jaga, Eak Waqt Say Mukhtalif Na Hoon, Ya Hoo’bahoo Phelay Say Hoon,
Say Ziyada Koee Ahmaqana Baat Nahain Ho Sakti. Agar Tagheraat Eak Say Vajood Aur
Eak Say Awamal Kay Sath Jurray Nahain Hotay To Oon Kay Nataej Eak Say Aur Phelay
Say Kayoon’kar Ho Saktay Hain. Aisay Main Naee Tashreh Ki Zororat Ko Kaisay
Nazar’andaz Kiya Ja Sakta Hai.
Mohinjodharo Ki Tehzeeb-O-Safaqat Say Mata'ulaq Pheli Tashrihaat, Mojoda Vasael
Aur Fiqar Ki Roshni Main Bai’maeni Aur La'yaeni Tehri Hain. In Ki Madomi Par
Naee Tashrehaat Ka Taj Mahal Khara Kiya Ja Sakta Hai. Aisay Main Madoom
Tashrihaat Par Inhasar Aur Oon Say Commitment Naee Tashrehaat Ki Rah Ka Bhari
Pathar Ho Gi. “Hai” Or “Hoon” Ki Adam Madomi Ki Surat Main Mahdood Hawalay,
Mukhsous Tashrehaat Ya Phelay Say Mojood Mafaheem Kay Vajood Ko Istahqaam
Mayasar Rahai Ga.
Dhoranay Ya Bar Bar Qirat Ka Matlab Yahhi Hai Kah Phelay Say Inharaf Kiya Ja’ay
Ta’kah Na’ay Hawalay Aur Na’ay Mafaheem Daryaft Hoon. Pheli Ya Kuch Bar Ki Qirat
Say Mafaheem Kay Darwazay Nahain Khultay. Zara Aagay Aur Aagay (Post) Hi Kuch
Hath Lag Sakta Hai. Yah Dar’haqiqat Pehlay Say Mojood Say Inharaf Nahain Balkah
Jo Osay Samjha Giya Ya Kaha Giya, Say Inharaf Aur Os Ki Moot Ka E’lan Hai. Agar
Woh Darusat Hai Aur Aein Wohhi Hai, Jo Hai To Na’ee Tashrehaat Ka Amal Koee
Ma’eni Nahain Rakhta Aur Na’hi Ka’seer-Ul-Ma’eni Ki Falasfi Koee Hasiat Aur
Voqat Rakhti Hai.
Dr Gopi Chand Narag Ka Kehna Hai:
“Agar Phelay Say Tehreer (Adab) Ka Vajood Na Ho To Koee Shair Ya
Mosannaf Kuch Nahain Likh Sakta. Jo Kuch Agloon Nay Likha Her
Fun Para Os Par Azaafa(Na’ay Mafaheem Aur Na’ee Tashreh Ka Naam
Bhi Day Saktay Hain) Hai”
Dhoranay Ka Amal “Jo Hai” Tak Rasaee Ki Tak-O-Doo Hai. Yaeni Jo Ossay Samjha
Giya Woh, Wohhi Nahain Hai Ya Phir Ossay Mojoda, Halaat Aur Zororat Kay Motabaq
Samjhnay Ki Zororat Hai. Ossay Issi Tarah Samjhnay Ki Tashnigi, Jiss Tarah Ki
Woh Hai, Kay Hawala Say Sakhtyaat Kabhi Kisi Tashreh Ya Tafheem Ko Darust Aur
Aakhri Nahain Manti. Woh Mojood Ki Roshni Main Aagay (Post) Nahain Barhti
Kayoon’kah Yah Mojood Ki Tafheem Ho Gi Aur Assal Pas’manzar Main Chala Ja’ay Ga.
Is Tunazar Main Malazah Karain Kah Assal Na’ay Set Up Kay Bhoonwar Main Phanas
Giya Hota Hai.
Sakhatyaat Matan Aur Qiraat Ko Bonyad Main Rekhti Hai. In Donoon Kay Hawala Say
Tashri-O-Tafheem Ka Kaam Aagay Bharta Hai. Kiya Yah Tehreer Kay Vajood Ka Aqrar
Nahain Hai?!
Matan Dar’haqiqat Khamoosh Guftagu Hai.“Khamooshi” Bai’panah Maniviat Ki Hamal
Hoti Hai. Matan Ka Her Lafaz Kisi Na Kisi Culture Say Wabasta Hota Hai. Os
Culture Kay Mojooda Set Up Aur Lisani Nazam Kay Mazaj Say Shanasaee Kay Baad Hi
Mojooda (Na’ee) Tahreh Kay Liay Tana Bana Bonna Ja Sakta Hai. Is Tunazar Main
Matan Ki Zororat Mehsoos Hoti Rahay Gi.
Doran-E- Qirat Is Haqiqat Ko Nazar Andaz Nahain Kiya Ja Sakay Ga Kah Lafaz Os
Culture Kay Mojoda Set Up Ka Hath Thaam Kar Os Set Up Ki Ak’kaeoon Say Wahdat Ki
Taraf Safar Karta Hai Aur Kabhi Wahdat Say Ak’kaeoon Ki Taraf Bhi Phirna Parta
Hai. Her Doo Noeat Kay Safar Na’ee Aaghi Say Nawaztay Hain . “Yah Na’ee Aaghi”
Hi Os Lafaz Ki Mojooda Tashreh-O-Tufheem Hoti Hai. Qirat Kay Liay Kaee Saal Aur
Sadyaan Darkar Hoti Hain. Issi Bonyad Per Dr. Sohail Bukhari Nay Kaha Tha:
“Hazaroon Saal Kisi Zoban Ki Umer Main Koee Haqiqat (Maeni)
Nahain Rakhtay”
Sakhtyaat Mozoeat Say Inkaar Karti Hai. Mozoeat Cheez, Mo,Amaly Ya Phir Matan
Kay Halqay Mahdood Karti Hai. Is Say Siraf Motaliqa Halqay Say Ta’aluq Ostawar
Ho Pata Hai Aur Inhanasar Ki Ongli Pakar Kar Tashreh-O-Tafheem Ka Moamla Karna
Parta Hai. Kiya Yah Zorori Hai Kah Kisi Istalah Ko Kisi Makhsous Lisani Aur
Istalahi Nazam Hi Main Malazah Kiya Ja’ay. Ossay Kaee Dosray Lisani-O-Astalahi
Systems Main Malazah Kiya Ja Sakta Hai. Is Tarah Dihgar Shoba Ha’ay Hayaat Ka
Midan Bhi Kabhi Khali Nahain Raha. Aisa Bhi Hota Hai Kah Ossay Eak Makhsous
Istalahi System Kay Makhsous Halkoon Tak Rakha Jata Hai Ya Phir Mukhsous
Hawaloon Ki Aienak Say Malazah Ki’ya Jata Hai. Sakhtyaat Issay Gumrah’kon Qarar
Daiti Hai Aur Na’hi Mojood Kay Darjay Par Fa’ez Karti Hai.
Sha’ir Kay Kisi Lafaz Ya Istalah Ko Maiz Romani System Say Kayon’kar Jora Ja
Sakta Hai. Is Kay Elava Digar Kaenatoon, Samaji, Masharti, Moashi, Si’yasi,
Nafasyati, Biology, Tasawaf Waghera Say Is Ka Reshta Kayoon Galat Aur La’yaeni
Samjha Ja’ay. Haqiqi Kay Sath Majazi, Alamati Istearati Waghera Koray Bhi To
Mojood Hain. Asteara Eak Alamat Kayoon Nahain Ya Kisi Istearay Kay Liay, Alamati
Korray Ka Darwaza Kayoon Band Rakha Ja’ay. Ya Yah Dikha Ja’ay Kah Mosannaf Nay
Falaan Halaat, Zaroratoon Aur Tagheraat Say Matasar Ho Kar Qalam Othaya.
Mosannaf Likhta Hi Kab Hai Woh To Maiz Eak Aala’kar Hai. Tehreer Nay Khud Ko
Likha Ya Tehreer Khud Ko Likhti Hai. Is Ziman Main Carles Chadoo Ka Kehna Hai:
“Zoban Eak Fa’el Ko Janti Hai (Os Ki) Shakhasiat Ko Nahain”
Qari Jo Sharay Bhi Hai, Mosannaf Kay Halaat Aur Zaroatoon Say La’taluq Hota Hai.
Woh Alag Say Koroon Main Zindgi Gozar Raha Hota Hai. Os Kay Soch Kay Panshi
Mosannaf Kay Korroon Say Bahar Bhi Safar Kar Rahay Hotay Hain Bilkul Issi Tarah
Jis Tarah Mosannaf Apnay Living Set Up Say Bahar Ki Baat Kar Raha Hota Hai. Qari
Aur Mosannaf Jin Korroon Main Zindgi Gozar Rahay Hotay Hain' Oon Main Zehni Toor
Par Adjuest Bhi Hoon, Lazmi Ammar To Nahain. In Ki Fikri Living Kaee Aur
Kaenatoon Main Ho Sakti Hai. Soach Living Korray Say Baher Motahark Hota Hai. Is
Baat Ko Yoon Bhi Kaha Ja Sakta Hai Kah Living Korray Main Os Kay Soach Ka,
Living Korra Qarar Nahain Diya Ja Sakta. “Yahaan” Os Ka Soch Hamaisha Misfit
Rahay Ga. Issi Tanazur Main “Yahaan” Say Aazadi Mil Jati Hai Jabkah “Wahaan”Kay
Motabaq Qirat Amal Main Aa’ay Gi Aur Tashreh Ka Fariza “Wahaan” Kay Matabaq
Anjam Pa’ay Ga. Is (Mojood) Korray Main Oon Ki Moot Ka E’laan Karna Paray Ga.
Qiraat Aur Tashreh Kay Liay “Os” Tak Risaee (Approach) Karna Paray Gi.
Soch Koee Jamad Aur Thous Cheez Nahain. Isay Simaab Ki Tarah Qarar Mayassar
Nahain Aata. Yah Najanay Kin Kin Korroon Say Gozartay Howay La’tadaad Tabdileoon
Say Hum’kinar Ho Kar Maloom Say Na’maloom Ki Taraf Barh Giya Ho. Aisay Main
Qiraat Aur Tashreh–O-Tafheem Kay Liay Unseen Aur Unknown Ki Daryafat Lazam
Tehray Gi. Basurat-E-Dighar Baat Yahaan (Mojood) Say Aagay Na Barh Sakay Gi.
Sakoot Moot Hai Aur Moot Say Hi Na’ee Subh Ka Elaan Hota Hai.
Sakhatyaat Eak Ya Eak Say Ziyada Mafaheem Ki Qael Nahain. Yah Bohat Say Aur
Mukhtalif Noeat Kay Mafaheem Ko Manti Hai. Phir Say, Is Ka Saliqa Aur Chalan
Hai. Kasrat-E-Maeni Ki Hosuli Os Waqt Mumkin Hai Jab Lafaz Ya Shay Kay Ziyada
Say Ziyada Hawalay Reshtay Daryafat Kiay Jaein. Yah Kahain Bahar Ka Amal Nahain
Balkah Takahleeq Kay Apnay Andar Chup Ikhtayar Ki’ay Hota Hai. Daryafat, Chup Ko
Zoban Daiti Hai.
Issi Bonyad Par Lakaan Kehta Hai:
“Yah Daikhna Zaroori Nahain Kah Kirdaroon Ki Takahleeq Kay Waqt
Koon Say Nafasyati Awamal Mohurrak Gardanay Jatay Hain Balkah
Signifiers Ya Daal Ko Talash Karkay Yah Daikhna Chahi’ay Kah Oon Main
Say Koon Say Alamati Maeni Miltay Hain Aur La’shaoor Kay Koon Say
Dabay Howay Awamal Hain Jo Thereer Ka Jama Pehhan Kar
Momkina Madlool Ki Nishan’dahi Kartay Hain.”
Alamat, Jo Dikhaee Par Raha Hai Ya Samjh Manin Aa Raha Hota Hai Woh Nahain Hai,
Ki Namaeinda Hai. Dikhaee Parnay Walay Korray Say Os Ka Siray Say Koee Alaqa Hi
Nahain Hota. Tandway Ki Tarah Os Ki Tangain Oon Korroon Main Bhi Pheli Hoee Hoti
Hain Jo Unseen Aur Unknown Hain. Kiya Tandwey Ki Tangoon Aur Oon Ki Ponch Ko
Tandwey Say Alag Samjhja Ja’ay Ga?
Goya Koee Matan Mahdood Nahain Hota Jitna Kah Omoman Ossay Samjh Liya Jata Hai.
Kisi Culture/ Korray Ki Survival Ka Inhasar Bhi Is Baat Par Hai Kah Ossay
Ird’gird Say Monsalik Rakha Ja’ay. Wahaan Daramad-O-Baramd Ka Silsala Ta’alaq
Aur Reshta Kay Hawala Say Pa’oon Pasarta Hai. Is Hawala Say Lafaz Kay “Kuch
Ma’eni” Kafi Nahain Hotay. Kaseer-Ul-Ma’eni Par Lafaz Ki Hasiat Aur Baqa Ka
Inhasar Hota Hai.
Baaz Halaat Main Lafaz Ka Mukhsous Akaeoon Say Pavast Hona Zarori Ho Jata Hai.
Ta’hum Akaeoon Say Wahdat Ki Taraf Ossay Hajrat Karna Parti Hai. Lafaz Ki Sakht
Main Lachak Tasleem Karnay Ki Surat Main Her Qisam Ka Safar Aasan Aur Mumkin
Hota Hai. Is Hawala Say Bari Wahdat Main Nathi Honay Kay Liay Kaseer-Ul-Mae’noon
Ka Falsafa La’yani Nahain Therta.
Lafaz Tab Istalahi Roop Ikhtayar Karta Hai Aur Insani Baradri Ka Warsa Teharta
Hai Jab Os Kay Istamal Karnay Walay Bakheel Nahain Hotay. Os Lafaz Ki Istalahi
Nazam Aur Insani Zoban Main Adjuestment Os Ki Lachak Paziri Ko Wazay Karti Hai
Aur Yah Bhi Kah Woh Sab Ka Aur Sab Kay Liay Hai. Lafaz Naqash Ko Batoor-E-Misal
Lay Lain Yah Bai’shamar Korroon Main Kisi Na’kisi Hawala Say Motharrak Hai Aur
Bai’shamar Mafaheem Main Ba’yak Waqat Mostamal Hai. Mazeed Mafaheem Say Parhaiz
Nahain Rekhta.
Her Lafaz Kay Sath Bar Bar Dohranay Ka Amal Wabasta Hai Aur Yah Amal Kabhi Aur
Kahein Tehrao Ka Shaaer Nahain Hota. Bekhrao Ki Her Lamhah Suraat Mojood Rehti
Hai.
Dr Wazir Aaga Kay Nazdeek:
“Shairiat Batoor Eak Saqafti System Takhleeq Kay Tar-O-Pood
Main Hi Nahain Balkah Apni Karkardgi Say Takhleeq Ko Surat
Pazeer Bhi Karti Hai. Qari Ka Kaam Takhleeq Kay Partoon Ko
Bari Bari Otarna Aur Shai’riyaat Ki Karkardgi Par Nazar Dalna Hai”
Takhleeq Kay Partoon Ko Bari Bari Otarna, Dohra’ay Janay Ka Amal Hai Jabkah
Shairiyaat Ki Kargozari Par Nazar Dalna Daryaft Karnay Aur Na’ee Tashreh Taak
Rasaee Ki Barabar Aur Motwatar Saee Ka Naam Hai. Yah Sab Tab Momkin Hai Jab
Fiqkar, Amli Aur Fikri Tagheraat Ki Zad Main Rahay Aur Aghi Ki Aaghosh Main
Parwan Charhay. Is Surat-E-Haal Kay Tanazur Main Yah Kehna Bhi Galat Nahain
Lagta Kah Lafaz Tagheraat Ki Zad Main Khud Ko Manwanay Aur Zahir Karnay Kay Liay
Hath Pa’oon Marta Rehta Hai.
Shakhatyaat, Darasal Andar Kay Saqafti Nazam Ki Qa’el Hai. Karochay Kay Matabaq
Dakhal Kharij Main Motaskhkal Hota Hai. Is Baat Ko Yoon Bhi Kaha Ja Sakta Hai
Kah Sab Kuch Batan Main Teh Pata Hai Ya Jo Kuch Dakhal Main Mehsous Karta Hai
Kharij Main Bhi Waisa Hi Mehsous Karta Hai. Galab Meaz Eak Shay Hai. Dakhal Nay
Issay Is Kay Dakhli Aur Khariji Hawaloon Kay Sath Mehsous Kiya Daikha Or Parkha.
Issay Ungint Kaenatoon Say Monsalik Karkay Naam Aur Mafaheem Ata Kiay. Barooni
Tagheraat Ki Surat Main Jo Jaisa Mehsous Kiya, Ossi Kay Matabiq Tashreh-O-Tebeer
Ki. Ta’ham Baqool Dr. Gopi Chand Narang:
“Qiraat (Mehsous Karna, Daikhna Aur Parkhana) Aur Tafa’el Tehzeeb Kay
Andar Aur Tarekh Kay Mehwar Par Hai Maeni Badaltay Rehtay Hain Aur
Koee Qiraat Ya Tashreh Aakhri Waqt Aakhri Nahai Hai.”
Aakhri Tashreh Is Liay Aakhri Nahain Kah Mokhtalif Awamil
Kay Tehht, Andar Kay Mosam Badaltay Rehtay Hain. Dakhal
Kisi Saqafati System Ko Layaeni Keh Kar Nazar Andaz Nahain Karta.”
Lafaz Jab Eak Jaga Aur Eak Kay Chungal Say Azadi Hasal Karta Hai To Saqafti
Tabdili Kay Ba’ess Pehlay Maeni Raad Ho Jatay Hain. Agarcheh In Lumhoon Taak
Pehllay Korray Main Gardash Kar Rahay Hotay Hain Ya Phir Tagheraat Kay
Zeer-E-Assar Ya Kisi Na’ee Tashreh Kay Hawala Say Pehlay Mafaheem Ko Raad Kar
Diya Giya Hota Hai. Na’ee Aur Porani Kaenatoon Main Raad-E-Sakhat Ka Amal
Hamaishah Jari Rehta Hai. Baat Yahaan Par Hi Khatam Nahain Ho Jati. Maktoobi
Tabdiliaan Bhi Waqo Main Aati Rehti Hain.
Taraph Say Tarap, Dowana Say Diwanah, Awal Say Ahwaal, Baad'shah Say Shah, Shah
Say Sheh Waghera Maktobi Deconstruction Ka Onda Namoona Hain.
In Alfaz Ki Mafhoomi Deconstruction Ka Amal Kabhi Bhi Tehrao Ka Shakar Nahain
Howa. Maslan Yah Jumla Bola Jata Hai
“Woh To Baadshah Hai”
Lafaz Baadshah Mukhtalif Saqafti Systems Main Mukhtalif Mafaheem Rahta Hai.
Mafhomi Ikhtalaf Pehlay Mafhoom Ko Raad Karkay Vajood Main Aaya Hai. Bar Bar Ki
Qiraat Phelay Ko Raad Karti Chali Jati Hai. Is Say Na’ain Mafaheem Paida Hotay
Challay Jatay Hain. Muslan:
Baadshah
Hukamraan, Siyasi Nazaam Main Eak Mutliq-Ul-Elan Qowat, Dac’taitar
La’parwah
Bai'niaz, Lalach Aur Tamah Say Aari
Jis Kay Faisilay Haq Par Mabni Na Hoon, Jis Kay Faisaloon Main Towazan Na Ho,
Bai’insaf
Pata Nahain Kis Waqat Meharban Ho Ja’ Ay Aur Kis Waqt Ghazab'naak
Marzi Ka Malak
Kisi Ka Mashwara Na Maannay Wala
Apni Kanay Wala
Haqdaar Ko Mehroom Aur Gher’haq’dar Par Nowazshain Karnay Wala
Najanay Kab Chein Lay Kab Ata Kar Day
Ghazab Karnay Wala
Kaan Ka Kacha
Lae'lag
Bai’intaha Ikhtayaraat Ka Malik
Wali Allah, Sufi, Darwaish, Peer, Faqeer, Guroo
Ram
Allah Ta’aala
Ali, Hussain Bin Ali
Malik, Aaqa
Bant Karnay Wala
Amir Kabeer
Sahib-E-Sarwat
Thanay’dar, Chodhri, Nambardar, Wadaira
Clerk, Santari Baadshah, Taiz’raftar Driver
Pehalwan, Hajaam,
Fooji
Waqt Par Adaegi Na Karnay Wala
Mukar Janay Wala
Wada Khalaf
Bai’sharm, Diheet, Ziddi
Nashaee
Bay’waqoof, Ahmaq
Lafaz Badshah Ki Namokamal Tafheem Paish Ki Gaee Hai. In Tamam Mafaheem Ka
Lugaat Say Koee Ta'aluq Wasta Nahain. Is Nishan (Traces/Sign) Ko Dhoratay Jaein
Aur Bhi Bohat Saray Mafaheem Samnay Aa’ein Gay. Kisi Lamhay Sakhat Shikni Ka
Amal Jamood Ka Shakar Nahain Hota. Is Saray Moamelay Main Shaoori Qowatein
Muthark Nahain Hotein Balkah La’shaoori Qowatein Bhi Kaam Kar Rahi Hoti Hain.
Takhleeq-E-Adab Ka Moamalah Is Say Bar’aqs Nahain Hota. Is Ziman Main Lakaan Ka
Kehna Hai:
“Takhleeq-E-Adab Ki Aamaj’gah La’shaoor Ko Samjha Jata
Hai Kayoonkah Is Main Maqsad, Irada, Ya Sakhyati Zoban
Main Takhleeq Tehrerain Feal Lazam (Intransitive Verb) Main
Lekhi Jati Hain.”
Sakhatyaat Murkziat Ki Qa’el Nahain. Makarziat Ki Moojodgi Main Raad-E-Sakhat Ka
Amal La’yaeni Or Saee-E-La’hasal Kay Siwa Kuch Nahain. Aisi Surat Main Lafaz Ya
Cheez Ko Parwaz Karnay Ya Mukhtalif Hawaloon Kay Zaeqay Hasal Karnay Kay Baad
Markazay Ki Taraf Loot Kar Os Kay Aasuloon Ka Bandi Banna Parta Hai. Lotnay Ka
Yah Amal Kabhi Os Ka Paisha Nahain Choorta. Aisi Surat Main Na’ee Tashrehaat Aur
Na’ay Mafaheem Ki Towaqoo Ki Ja Sakti Hai. Lafz Aazad Reh Kar Punpata Aur
Daryafat Kay Amal Say Gozarta Hai. Lafz “Baadshah” Meaz Sayasi Korray Ka Paband
Nahain, Yahaan Taak Kah Siyasi Korray Main Reh Kar Bhi Kisi Markazay Ko Mehwar
Nahain Banata.
Bari Ajeeb Aur Dilchasap Baat To Yah Hai Kah Sakhatyaat Mosannaf Kay Vajood Ko
Nahain Manti Balkah Shai’riat (Poetic) Aur Lafaz Kay Batan Main Chupi Rooh Ko
Manti Hai. Is Kay Nazdeek Takhliqi Amal Kay Doran Mosannaf Madoom Ho Jata Hai.
Tehreer Khud Ko Likh Rahi Hoti Hai Na’kah Mosannaf Likh Raha Hota Hai.
Sakhatyaat Ka Is Kahay Ka Saboot Khud Thereer Main Mojood Hota Hai. Sha’ir,
Shae,Ri Main Bada-O-Sagar Ki Keh Rah Hota Hai Jabkah Siray Say Meh’khar Hi
Nahain Hota. Momkin Hai Os Nay Sharaab Ko Kabhi Daikha Hi Na Ho. Moamila Bazahir
Meh’khanay Say Jora Giya Hota Hai Laikan Baat Ka Mehkhanay Say Koee Ta’aluq Hi
Nahain Hota. Is Say Yah Natija Akhz Karna Galat Nahain Kah Tehreer Kisi Baray
Ijtama Main Muthurrak Hoti Hai. Yah Sab Tehreer Kay Andar Mojood Hota Hai.
Dr Wazir Aaga Ka Kehna Hai:
“Shairyaat Kods (Code) Aur Kanwanshanaz Par Mushtamil Honay
Kay Baes Pori Insani Saqafat Say Jurri Hoti Hai”
Is Kahay Kay Tanazur Main Tashreh Kay Liay Mosannaf/Sha’ir Kay Mazaaj, Lehja,
Mood, Mahool, Halaat Wagherah Kay Hawalh Say Tashreh Ka Kaam Hona Mumkin Nahain.
Tehreer Ya Kisi Nishan (Sign/Trace) Ko Kisi Murkaziat Say Nathi Karkay Mazeed
Aur Na’ay Nataej Hasal Karna Momkin Nahain Aur Nahi Tashreh-O-Tozeh Ka Amal Jari
Rakha Ja Sakta Hai.
Lafaz Bazaher Bool Rahay Hotay Hain. Is Blolnay Ko Manna, Gomrah’kon Hai. Lafaz
Boltay Hain To Phir Tashreh-O-Tozeh Kasi Aur Kayoon?
Lafaz Apni Asal Main Khamoosh Hotay Hain. In Ki Bar Bar Qiraat Say
Kasrat-E-Ma’eni Ka Jaal Bonna Jata Hai. Qirat Inhain Zoban Daiti Hai. Khamoshi ,
Fixed Mafaheem Say Bala’tar Hoti Hai. Is Moamlay Par Ghoor Kartay Waqt Is Baat
Ko Mad-E-Nazar Rekhna Paray Ga Kah Qari Qiraat Kay Waqt Madoom Ho Jata Hai. Woh
Ijtamaee Saqafat Kay Roop Main Zinda Hota Hai Ya Yoon Keh Lain Kah Woh Ijtamaee
Saqafat Ka Behroop (Lashoori Sata Par) Ikhtayar Kar Chukka Hota Hai.
Qiraat Kay Doraan Jab Lafaz Bolta Hai To Is Kay Mafaheem Is Kay Living Culture
Kay Sath Hi Ijtamaee Culture Kay Hawala Say Daryafat Ho Rahay Hotay Hain.
Mosannaf Jo Likh Raha Hota Hai Is Ka Os Ki Zindgi Say Door Ka Bhi Wasta Nahain
Hota. Issi Tarah Qari Jo Tafheem Daryafat Kar Raha Hota Hai Aur Jin Korroon Say
Moataluq Daryafat Kar Raha Hota Hai In Say Woh Kabhi Monsalik Nahain Raha Hota.
Yah Bhi Momkin Hai Kah Amli Zindgi Main Woh In Ka Shadeed Mokhalif Raha Ho Ya In
Tajarbaat Sa Gozarnay Ka Ossay Kabhi Moqa Hi Na Milla Ho. Shahid’bazi Ya
Shahid’nawazi Say Qari Mata’aluq Hi No Ho Laikin Is Hawala Say Mafaheem Daryafat
Kar Raha Ho. Lafaz Ki Manvi Khamoshi, Tafheem Ka Joher-E-Na’yaab Hai .
Khamooshi Qari Ko Pabandioon Say Aazadi Dalati Hai .Agar Maan Liya Ja’ay Kah
Lafaz Bolta Hai To Qari Madoom Nahain Hota Ta’ham Os Ki Haisiat Koonwain Kay
Mandeek Say Ziyada Nahain Hoti. Is Hawala Say Ijtamaee Saqafat Aur Ijtamaee
Shaoor Ka Her Hawalah Say Baima’eni Ho Jata Hai.
Sakhatyaat Kay Baray Main Yah Kahna Kah Is Main Eak Hi Daal Ko Barbar Dohraya
Jata Hai, Mabni Bar'haq Nahain Hai. Bila'shuba Kisi Eak Nishan Ki Bar Bar Qirat
Amal Main Aati Hai Laikain Is Ki Mojoda Tashreh Ko Mostarad Karkay Kuch Na’ya
Aur Kuch Aur Daryafat Kiya Ja Raha Hota Hai.
Prof Jmeel Aazar Ka Kehna Hai:
“ Adab Assar (Effect) Karta Hai. Batoor-E-Samaji Tashkeel Ki Eak Khud
Mukhtar Satah Kay Adab Haqiqat Ka Aaina Ya Assal Ki Naqal Ya Haqiqat
Ka Masanna (Secondary Reflection) Nahain Balkah (Alag Say) Eak
Samaji Qowat Hai, Jo Apnay Taenat Aur Assrat Kay Sath Apni Hasiat
Rekhti Hai Aur Apnay Bal Aur Apni Qowat Par Qaem Hai”
Is Haqiqat Kay Tonazur Main Yah Kehna Kah Dohranay Ka Amal Photocopy Hai, Say
Matmasal Hai, Darust Baat Nahain. Is Main Jo Nahain Hai Ka Khoj Lagaya Jata Hai.
Kisi Nishan Say Jo Madlool Is Say Pehlay Wabasta Nahain Hota, Jora Jata Hai.
Mazay Ki Baat Yah Hai Kah Wo Madlool Pehlay Say Is Daal Main Mojood Hota Hai
Laikin Daryafat Nahain Ki’ya Giya Hota.
Sakhtyaat Scienci Amal Say Bhi Mamasal Hai. Yah Kisi Qisam Ki Purasrareet Aur
Mavaraeat Ko Nahain Manti. Es Ka Reshta Hamaisha Haqaeq Say Jora Rehta Hai.
Raad-E-Sakhat Kay Waqt Emkanaat Nata Haqaeq Say Jura Rehta Hai. Es Tarah
La’yaeneat Aur Bai’maniviat Es Kay Loghat Say Kharaj Ho Jatay Hain. Sapnain
Bonna Ya Khayali Tasavraat Paish Karma Es Kay Daeray Main Nahain Aata. Yah ”Hai”
Ko, Jo Pehlay Nahain Hai, Say Ostawar Karti Hai. Kisi Nishaan (Sign) Ka Naya
Hawala Aur Naya Mafhoom Daryafat Karna Es Ki Zimadari Main Aati Hai.
Dr Devendara’sar Ka Kehna Hai:
“Her Matan Apni Mukhsous Sakhat Aur Shakal Main Hi Apnay Maeni
Hasal Karta Hai. Yah Sakhat Dosari Sakhtoon Kay Insalak Aur Darriat
Kay Bawajood Jab Taak Apni Infaradiat Aur Khasusiat/Shanakht Qa’em
Rekhti Hai To Is Ka Moamela Issi Sakht Kay Tehaast Karna Hi Mozoon
Ho Ga Kayoon’kah Eak Sakat Ki Tashkeel (Aur La’tashkeel) Kay Liay
Jo Hunnar Aur Alaat Darkar Hotay Hain Zaroori Nahin Kah Wo
Dosari Sakhat Kay Liay Bhi Karamad Hoon.”
Nishan Ki Jo Mojoda Shakal Hai Ya Rahi Ho Gi Os Kay Andar Ko Tatola Ja’ay Ga Is
Kay Matabaq Mafaheem Daryafat Kiay Jaein Gay. Nishaan Nahain To Madlool Keisa?
Phelay Nishaan Phir Madlool.
Sartar Ki Vajodiat Bhi To Yahhi Hai. Vajood Phelay Joher Os Kay Baad. Wo Jaisa
Banta Hai Waisa Hi Hota Hai. Na Os Say Ziyada Na Os Say Kam. Vajood Say Wabasta
Mafaheem Musterd Ho Saktay Hain. Wo Jaisa Banta Ja’ay Ga Waisa Hi Ho Ga.
Eman Kam Ya Ziyada Hota Rehta Hai. Issi Tarah Vajood Say Wabasta Mafaheem Aur
Nazriyaat Bhi Badaltay Rehtay Hain. Goya Vajood Eak Khud Mukhtar Akaee Hai Is
Kay Sath Mansoob Harkat Aur Faeliat Badalti Rehti Hai. Iak Hi Nishaan Aadmi Kay
Sath Chokidar, Kalerk, Tasildar, Ameer, Gareeb, Moqami, Faqeer, Baadshah, Walli,
Nabi, Diyaloo, Karpalo, Kanjous, Rekhwala, Choor, Qatil, Jhuta, Sacha,
Rast’baz,Shitan, Naiak, Jahil, Aalam, Sipahi, Thanai’dar Waghera Hazaroon
Manfi-O-Mosbat Madlool Wabasta Hotay Hain. Nishaan Nay Khud Ko Jaisa Banaya Hota
Hai Wo Waisa Hi Hota Hai. Qirat Kay Doran Qari Madoom Ho Kar Batoor-E-Nishan
Motharrak Hota Hai. Wo Jaisa Khud Ko Banata Hai Waisa Hi Banta Challa Jata Hai.
Jab Haraf'kar Nay Orran Khatolay Ka Tasawar Diya To Bazahar Baimaniviat Aur
La’yaeniat Say Monsalik Tha Laikin Pas-E-Sakhat Nishan Orraan Mojood Tha.
Nishaan Oraan Kabhi Bai’maniviat Aur Madoomi Say Dochar Nahain Howa. Daikhna Yah
Hi Kah Orran Khatolay Ka Nazriah Deitay Waqt Harfkar Tha Ya Madoom Ho Chuka Tha.
Pehli Surat Main (Tha) Orran Khatolay Ka Tasawar Wazay Na Hota Jo Is Kay
Mashahiday Main Nahain Tha. Kayoon Aur Kaisay Vajood Hasal Kar Sakta Tha. Wo
(Mosannaf) Nahain Tha Laikin Tasawer Orran Tha. Tasawar Nay, Vajood Main Aanay
Kay Li’ay Mosannaf Ko Batoor Aala’kar Istaamal Kiya. Yah Bhi Kah Soach Orran
Khatolay Kay Material, Kahla Aur Kaee Is Say Motalaqah Hawaloon Say Jur Gaya
Tha.
Pas-E-Shaoor Ourang-E-Suleman Mojood Tha. Moamlah Zara Aaga Bhara To Pheli
Tashreh Raad Ho Gaee. Nishaan “Orran” Ki Is Kay Baad Bhi Qiraat Hoti Rahay Gi
Aur Is Kay Madlool Badaltay Rahain Gay Kayoon’kah Raad-E-Sakhat Ka Amal
Hamaishah Jari Rehta Hai. Tafeem-O-Tashreh Ka Safar Mojood Say Bala’tar Rehta
Hai. Is Ki Haqiqi Aur Waqa’ee Say Reshtah Ostawar Rehta Hai.
Sakhatyat Agar Mawariat Par Ostawar Hoti To Kab Ki Madoom Ho Kar Naee Maniveat
Say Ostawar Ho Chuki Hoti. Nishaan “Sakhatyat” Batoor-E-Vajood, Mojood Hai
Laikin Is Say Wabasta Mafaheem Badal Rahay Hain Aur Badaltay Rahain Gay.
Aankhain Band Karnay Say Belli Nahain Hoti Is Main Ghalat Ki’ya Hai Band
Aankhoon Kay Hawala Say Sakhatyaat Kehti Hai Kah Belli Nahain Hai. Khulli
Aankhoon Ki Surat Main Belli Hai Aur Yahhi Sahaee Hai. Yah Mafaheem Digar
Korroon Say Reshta Ostawar Honay Kay Sabab Waza Hotay Hain Basurat-E-Digar
Aankhain Mehaz Benaee Ka Aalah Rahay Ga.
Nasar Abbas Naiyar Nay Bari Khubsurat Baat Kahi Hai:
“Sakhatyat Darasl Sakhat Kay Aaqab Main Mojood Reshtoon Kay
Os Nazam Ki Basirat Hai Jissay Ilam-O-Fikar Ki Motnavoo Jehtoon Nay
Mas Kiya (Hota) Hai.”
Nasar Abbas Naiyar Nay Maloom Magar Aadam Vajood Ko Kisi Nishaan Kay Hawala Say
Vajood Dainay Ko Sakhatyaat Say Paivast Kiya Hai . Onhoon Nay Nishaan (Sign) Ki
Haqiqat Ki Wazay Alfaaz Main Tasdeek Ki Hai Jo Sakhat Ko Aham Qarar Dainay Kay
Motradef Hai.
Sachaee Koee Khudsar, Khudkar Aur Khudkafeel Akaee Nahain Hai. Jo Is Ka Zindgi
Kay Doseray Hawaloon Say Reshta Hi Na Ho. Aankhain Band Karna Zindgi Ka Eak
Hawala Zoroor Hai. Is Ka 1856 Say Pehlay Ka Lakhnu, Amli Namunah Hai Jo Nawab
Shoja-Ul-Dolah Ki Shakast Ka Natijah (Cause) Tha. Sakhatyaat Siraf Aankhain Band
Karnay Kay Amal Say Reshtah Kayoon Khatam Karay. Is Nay Bila'imtiyaz (Manfi Aur
Musbat) Puri Diyanat Aur Ravadari Say Ta’alqaat Ko Vosat Daiana Hai. Sakhatyaat
Siraf Aankhain Band Karnay Kay Amal Say Reshtah Kayoon Khatam Karay. Is Nay
Bilaimteyaz (Mafi Aur Mosbat) Puri Diyanat Aur Ravadari Say Taalqaat Ko Wosaat
Daina Hai. Yahaan Higal Kay Zidain Kay Falsafay Ko Batoor Masaal Liya Ja Sakta
Hai. “Nihain Hai”, “Hai” Ki Shanakhat (Identity) Hai. Is Zimman Main Dr Faheem
Azmi Ka Kehna Hai:
“Kissi Cheez Ko Jannay Ka Matlab Yah Howa Kah Hum Issay
Lisani Nazam Kay Tehhat Eak Naam Daitay Hain Ya Pehlay
Say Di’ay Howay Naam Say Aisa Monsilik Kartay Hain. Aisa Kartay
Waqt Hamaray Tasawar Main Siraf Is Cheez Ki Shakal Nahain
Hoti Balkah Wo Tamam Cheezain Hoti Hain Jis Say Yah Cheez
Mokhtalif Hoti Hai.”
Is Nazreay Kay Tanazur Main Hai, Nahain Hai, Donoon Motwazi Rawaan Dawaan Hain.
Donoon Kay Jaloo Main La’taadad Mafaheem Chal Rahay Hain. Yah Bhi Kah In Kay
Andar Abhi La’tadad Mafaheem Ka Somundar Tathain Maar Raha Hai. Band, Khulli Aur
Bili To Mehz Discovered Korray Hain.
Mosannaf Ba’yak’waqt Mosannaf, Qari, Shareh, Maher-E-Lisanyaat Aur Najanay Kiya
Kuch Hota Hai. Likhtay Waqt Woh Funni Taqazay Puray Kar Raha Hota Hai. Sath Main
Mojood Ko Rad Karkay Kuch Naya Day Raha Hota Hai. Yah Amal Agli Aur Naee Qirat
Kay Baghar Momkin Nahain Hota. Is Hawala Say Hi Wo Mokhtalif Shanakhati Hawaloon
Ka Hamil Hota Hai. Wo Lafaz Ki Manivi Aur Tashree Tarikh Say Aagahi Kay Sabab
Mukhtalif Namoon Say Pokara Jata Hai. Ta’ham Is Zimman Main Is Haqiqat Ko
Pas-E-Pusht Nahain Dala Ja Sakta Kah Agar Wo Mukhsous Say Monsalik Rahay Ga To
Kisi Markazay Ki Pabandi Karay Ga To Pehlay Ko Rad Karkay Kuch Naya Paish Nahain
Kar Sakay Ga. Likhtay Ya Tashreh Kartay Waqt Is Ka Soch Mukhtalif
Lisani-O-Tehzeebi Korroon Main Motaharik Ho Ga. Lafaz Issi Tanazur Main Roop
Ikhtayar Kartay Hain. Kisi Nishan Kay Janam Main Bhi Yahhi Amal Kar’farma Hota
Hai. Kisi Tashreh, Tozee, Tafheem Aur Moaqaf Ko Raad Karnay Kay Zimman Main Dr
Faheem Azmi Ka Yah Biyan Khasusi Tovajjo Chahata Hai:
“Jab Koee Shakhas Kalaam Karnay Kay Baad Apnay Moakaf
Say Motmin Ho Jata Hai To Woh Siraf Gomrah Nahain Balkah
Galti Par Hota Hai. Her Wo Baat Jo Kehnay Walay Ko Ghair
Manous Nahain Hoti Ya Jis Main Tabdili Lanay Ki Khahesh Paida
Nahain Hoti, “Ghalat” Hai. Issi Sachaee Jis Main Zoban Kay
Tazadaat Kay Imkanaat Ko Khatam Karna Maqsood Hota Hai,
Foran Jhut Ban Jati Hai”.
Viko Nay 1725 Main
Shai’ri Zahanat/Danish (Poetic Wisdom) Ka Tasawar Paish Kiya Tha. Sakhatyaat Ka
Sara Falsifa Issi Istalah Par Inhasar Karta Hai. Mosannaf Qari Ya In Say Mansoob
Reshtoon Kay Inkar Kay Bagher Reed-E-Sakht (Deconstruction) Ka Amal La'yani Aur
Bai’maani Teharta Hi. Is Maqaam Par Lisani-O-Samaji, Un'gint Reshtay Motahark
Hotay Hain. Shae’ri Zahanat/Danish (Poetic Wisdom) Ko Janab Ameer Aalaisalam Kay
Kahay Say Paiwast Karain, ‘Kahi Ko Daikhain Kehnay Walay Ko Mat Daikhain’ Yah
Mosannaf Ki Moot Ka Khulla Elan Hai Aur Kahi Ki Tafheem Kay Liay “Kahi Ka” Andar
Kay Saqafti System Ki Taraf Tovajo Dainay Ki Zororat Ko Aaham Qarar Diya Giya
Hai.