Azaad ya Ghulam?
(Nadeem Abbas Jafri, karachi)
Asalam O Alaikum Pakistan ! 23
March 1940 Ki Resolution K Mutabiq All India Muslim League Ka Mutaliba Ek Azaad
Riyasat Ka Qayaam Tha Jis Main Muslim Apne Liye Ek Khud Mukhtar Riyasat Ka
Hasool Chahtey They Jis Main Woh Apne Mazhab K Mutabiq Zindagi Guzaar Saken 14
August 1947 Ko Allah K Ehsan-E-Azeem Se Yeh Khuwab Sharminda-E-Tabeer Hua. Aaj
2008 Main Wohi Pakistan Waqt K Mir Jafar Aur Mir Sadiq Jese Ghadaron Ki Badaulat
Haath Se Nikalta Nazar Aaraha Hai (Khuda Na Khuwasta) Kuch Siyasi Parties Ek
Naara Lagati Hain K CHEHREY NAHI NIZAM KO BADLO,,,Yeh Ek Talkh Haqiqat Hai K
Humen Sach Much Nizam Ko Badalna Hai Lekin Is Maqsad K Liye BILI K GALEY MAIN
GHANTI BANDHEY KAUN Koi Bhi Samne Aaney Ko Aamadah Nahi Hai Is Se Bara Saniha Is
Qaum K Sath Yeh Hai K Jo Log Bairoon Mumalik Ki Pakistan Main Mudakhilat K
Khilaf Hain Unki Apni Pocket Money Un Mumalik Se Bandhi Hui Hai Is Liye Unki
Mukhalifat Main Koi Asar Paida Nahi Hotta Yeh Kaam Woh Log Kar Sakte Hain Jo
Imaan Ka Sauda Nahi Karte Aur Unka Ittehad Honey Main Bohat Si Rukawaten Hain
Lekin In Baton K Bawajood Kisi Na Kisi Ko To Sarmad O Mansoor Ban Kar Zeher Ka
Yeh Piyala Peena Hoga Aur Un Bairooni Taqaton Se Barmila Kehna Hoga K Jab Hum
Azaad Hain To Hamari Policy Banane Waley Aap Kaun Hotey Hain Aap Koi
International Thanedaar Hain Jo Kisi Bhi Country K Muamlat Main Panchaiti Ban
Kar Kood Partey Hain Aur Aapko Yeh Authority Di Kisne Hai Aur Agar Hum Azaad
Hain To Phir Apni Azaadi K Liye Humen Ek Aur Jaliyan Wala Bagh Manzoor Hai Ek
Aur Qurbani Dene Se Humen Inkar Nahi Lekin Is Jehad Se Qabal Pakistani Awam Ko
Apne Andar Ke Mir Jafaron Ko Kaif-E-Kirdar Tak Pohchana Honga Warna Is
Jad-O-Jehd Ka Anjam Bhi Tipu Sultan Se Alag Nahi Hoga Khuda Un Ghareeb Awam Per
Reham Farmaye Jo Kisi Aur Ki Karni Khud Bhugat Rahe Hain Aur Bardasht Kiye Chale
Ja Rahe Hain, Allah Hamar Hami-O-Nasir Ho,Pakistan Zindabad