Akhir Jurm To Batayo
(Nadeem Abbas Jafri, karachi)
Asalam Alaikum Pakistan!
Aap is qabal agar mera to koi column is website per pehle bhi parh chuke hain to
main aapka shukria adda karta hoon ke meri tehreer apke mutaley(reading) ke laiq
ban saki.Aaj ki tarikh main ashiya roz marrah(utility items) per 45% se 85%
izafa hua hai.Main arbab-e-ikhtiar,siyasatdano ulmah-e-din,social welfere
socities aur aise businessmans se aur unse ke jinke karobar se deegar afraad ka
rozgar wabista hai yeh poochna chahta hoon ke kya kisi bhi services job karne
walon ki tankha(sallery) main malikan ki taraf se 5% izaafa kia gaya? Kya kam se
kam mazdoori ki raqam 6OOO Rs main kisi akailey fard ka guzara mumkin hai? Aur
agar uska khandan(family) bhi hai to sirf 15 din guzar sakta hai uske baad ke 15
din guzarne ke liye woh kisi se qarz(udhar) le ga jo izat-e-nafs ki majroohi bhi
hai aur wipsi ki fikar bhi ya kisi ki minat samajat se not refundable amount mil
jayegi lekin agley maheeney(next month) woh phir yehi karega aur agar is mushkil
ka koi aasan hal samjh nahi aaya to woh kisi manfi(nagitive) soch ki taraf
maayel hoga aur kisi naye jurm (ikhlaqi,,samaji,,mazhabi) ka khaliq banega.
Ahal-e-iqtadaar ko yeh baat soch samjh kar nafiz karni chahiye. Aur nafiz karne
se qabal tamaam malikan se, mazdoor ki ujrat barhaney ka hukam jari karna
chahiye. Main mojuda bohraan(present crisis) ke asal muamlat ki mukhtasir
fehrist(list) batana chahoon ga,,,(1) Patrolium (2Wheat (3) Transport (4)
Utility items (5) Utility bills (Electric,Gas,Taxition) (6) Eduction.Duniya ke
bohat se baa asar mumalik yeh aitraf karte hain ke pakistan khitey(asia) ka ahem
mulk hai aur pakistan ke sath uske muamlaat sahi aur musbat honey chahiyen uske
bar aks woh hamare sath apne muamlat nibha raha hai yeh aik tarah se hamare
khilaf sazish hain yani ke woh hamare aman-o-amaan,rozgar,mazhabi jazbat,aur
salmiyat ke sath khelta hai aur doosron ko bhi is main shareek karta hai jin
main woh mumalik bhi shamil hain jinho ne hamare wajood ko mushkil se tasleem
kar rakha hai jabke hum 62 saal ki zindagi guzaar chuke. Agar hamare mulk se
kisi mulzim(wanted) ki talash hai to usey international laws ke mutabiq karwayi
karke hirasat main le aur uske liye hamare sath co oprate kare na ke Chor samjh
kar Police ki tarah tehkmana tariqa ikhtiar kare agar hamare, Mulki wasayel main
se kisi cheez ki zaroorat hai to usey aalmi asoolon ke teht humse khareed kare
na ke Qabza Maafia ki tarah Aslaha(weapon) ke bal per dera jama lenay ki koshish
kare mazhabi nuqta-e-nazar se dil aazarian band kare aur apne asar-o-rasookh se
deegar mumalik se bhi ISLAM ka ehtram karwaye aur kisi kisam ki dil azaari ki
ijazat na de agar aisa nahi kar sakta to phir jo zulm dhana chaho dha lo lekin
mera sawal sirf itna hai ke AKHIR JURM TO BATAYO?
Aur un bairoon mumalik taqaton se jurm pooch lene ke baad main Pakistani Qaum se
ek baat kehna chahoon ga aur woh yeh hai ke hamare haan sirf
sadarti(presidentioal) nizam-e-hakumat ka nifaz hi mojudah surat-e-haal(present
crisis) ka wahid hal hai. Aur iske liye awam fehmi ki jad-o-jehd hi is fatah war
tehreek ka nuqta-e-aghaz hogi Pakistan ka Mustaqbil Roshan aur Mustehkam
Hai(INSHALLAH) Aur ALLAH Ki Madad Aur Fatah Qareeb Hai,,,Wasalam Pakistan
Paindabaad