Humaisha Sai Aik Baat Sunti Aae
Hou Kai Waqt Kai Sath Chalna Chahiae ,Her Kaam Waqt Par Karo Waqt Per Hi
Parho,Waqt Per Hi Sou,Her Kaam Sirf Is Kai Waqt Per Hi Karo Laikin Dunya Ki Taiz
Raftari Ko Daikh Kar Mai Yeh Baat Kahnay Per Majboor Hou Kai Waqt Kai Sath Nahi
Balkay Waqt Sai Aik Qadam Agay Chalna Hi Kamiyaabi Hai.
Waqt Darharqiqat Aik Buhat Taiz Raftaar Hawa Ki Tarha Hai Aisi Hawa Jo Kabhi Na
Tou Apna Rukh Morti Hai Sirf Aik Hi Simt Mai Taiz Taftari Kai Sath Chalti Hai
,Na Woh Kisi Per Raham Karti Karti Kai,Na Who Kisi Zaeef Ki Kamzoori Ko Daikhte
Hai Aur Na Hi Woh Kisi Bachay Ki Pukaar Sai Ghabrati Hai .Sirf Apni Simt Mai
Chalti Hai,Aur Sirf Chalti Hai. Aur Insaan Ki Zindagi Mai Sirf Laikin, Agar,
Magar, Laikun,Qismat Hi Kharaab Hai Yeh Jumlay Us Ka Mukadar Ban Jatay Hai…..Haza
Waqat Ko Zaaya Nahi Karna Chahiae Kue Kai Jo Loug Is Dunya Mai Waqat Zaya Kartay
Hai Waqt Us Ko Zaya Karta Hai.Aur Jab Waqt Insaan Ko Zayaa Karta Hai Tou Insaan
Is Dunya O Aakhirat Mai Bardaat Hojata Hai..
Waqat Sai Aik Kadam Aagae Is Liae Chalna Is Wajah Sai Chahiae Kai Agar Waqat Kai
Sath Chalnay Ka Irada Kiya Aur Us Kai Sath Chalay Aur Najamay Kisi Rukawat Kai
Baees Rastay Mai Gir Gae Tou Waqt Aagae Nikal Gae Ga Aur Insaan Jo Is Ki
Barabari Karnay Chala Tha Woh Buhat Peechay Rah Jata Hai…
Is Baat Mai Koi Shak Nahi Kai Waqt Insaan Ko Buhat Majboor Kar Daita Hai.Mai Yeh
Samjhti Hou Kai Waqt Insaan Ko Majboor Banae Ls Sai Phalay Hi Waqt Kai Waar Ko
Samjhtay Hue Insaan Us Sai Aik Qadam Agae Khara Hojae Kai Agar Waqt Ka Waar Bhi
Chal Gaya Tou Insaan Ko Zaida Nuksaan Uthana Na Parhay…
Agar Arfa Karim Waqt Kai Sath Chalti Tou Arfa Karim Kabhi 1 St Microsoft
Certified Na Hoti.Itizaal Ahsan Ki Bhi Mujhad Ban Kar Dushman Sai Larnay Ki Umar
Nahi Thi. Malala Yousafzai Bhi Agar Baray Ho Kar Waqt Per Larkioun Ki Taleem Kai
Liae Awaz Uthate Tou Malala Bhi Kabhi Noble Prize Hasil Nahi Kar Skt Thi.Agar
Yeh Sub Bhi Waqt Kai Sath Chaltay Tou Kabhi Aala Mukaam Hasil Nahi Kar Sktay
Thai.Yeh Tamam Loug Waqt Sai Kae Zada Agae Thai .Aur Yehi Loug Hai Jinho Nai
Waqt Ko Buhat Peechay Chor Dia.Aur Waqt Sai Buhat Aagae Nikal Gae……..
Waqt Kai Sath Chalna Buhat Achi Baat Hai Laikin Tareekh Per Nazar Daalay Tou
Jitnay Bhi Kamiab Loug Hai Hai In Ki Uraan Waqt Sai Kaafi Taiz Thi…..Chand Aur
Suraj Apni Mukarar Hudood Mai Raawa Dawa Tou Hai Per Who Bhi Waqt Kai Paband
Nahi Hotay.Apni Marzi Sai Nikaltay Hai Aur Apni Hi Marzi Kai Waqt Per Hi Poshida
Hojatay Hai.
Syedna Ibne Abbas R.A Sai Riwayat Hai Kai Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi
Wasallam Ka Irshaad Hai Kai 5 Cheezao Ko 5 Cheezou Sai Ghanimat Samjho Apni
Jawani Ko Apnay Burhapay Per,Apni Sehat Ko Ko Apni Beemari Sai Phalay,Apni
Maldaari Ko Apni Faqiri Sai Phalay,Apni Faraghat Ko Mashgool Sai Phalay Aur Apni
Zindagi Ko Apni Mout Sai Phalay…..Yaani In Chezou Kai Aanay Sai Phalay Hi Insaan
Ko Tayarri Karni Hogi….