Mohabbat

(Rizwana Khan, Karachi)

Mohabbat Darasal Woh Jazba Hai Jo Insan Ko Ek Behtreen Insan Banata Hai. Sikhata Hai K Kisi Doosre K Liay Sacrifice Kesay Kia Jata Hai. Mohabbat Mein Khamian Bhi Khoobian Nazar Aati Hain. Mehboob Ki Har Khata Qabil-E-Maafi Mehsoos Hoti Hai Aur Agar Return Mein Mohabbat Mile To Dil Chahta Hai Apni Har Pasandeeda Cheez Nisar Karden Otherwise Khamosh Mohabbat Dil K Ek Goshe Mein Hamesha Basera Kiay Rakhti Hai. Pakeeza Aur Begharz Mohabbat ALLAH Ka Behtreen Atya Hai Aur Yeh Naseeb Wale Logon Ko Milta Hai Aur Azeem Logon K Dil Mein Basta Hai. Baqol Amjad Islam Amjad'mohabbat Aesa Darya Hai... Ke Barish Rooth Bhi Jaey...Tou Pani Kam Nahi Hota'...Goya Sachchi Mohabbat Mil Jaey Tou Zindgi Ka Mushkil Safar Aasani Se Kat Sakta Hai.

Rizwana Khan
About the Author: Rizwana Khan Read More Articles by Rizwana Khan: 48 Articles with 82348 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.