Aj duniya mein har jaga women
ke rights ki baat ki ja rahi hai, ussey insaaf dilanay ki baatien ho rahi hain,
laws ban rahe hain. Magar kia aurat ko uska haq mil raha hai? Ussay insaaf diya
ja raha hai? Laws to bana diye gaye hain kia un pe ammal ho raha hai?
Aaj Pakistan mein sab se ziyada village ki aurat ke huqooq pamaal ho rahe hain
kyun ke na to woh khud educated hai jo apne huqooq k liye lar sakay aur na us
tak idaron ya tanzeemon ki pohanch hai. Woh roz phyically aur mentelly torture
ka nishana ban rahi hai, wattay sattay ki bheint charh rahi hai, jageerdaron ke
haathon apni izzat ganwa rahi hai, gharz har tarhan se muasharti na insaafi ka
shikaar hai. Kia koi uske huqooq ki ussay insaaf dilaaney ki, uskay huqooq ke
tahaffuz ke liay banai gay laws par ammal karwanay ki soch hai? Kyun ke aurat ke
huqooq ke tahaffuz ke liay banaya janey wala koi qanoon us waqt tak kisi kaam ka
nahi jab tak woh village ki aurat ko insaaf na dila sakay.