Assalamu Alaikum
Pakistan Hum Sab Ye Jantey Hain Pakistan 14 August 1947 Ko Maar-Zy-Wajud Main
Aya Lekin Abi Tak Ye Samjh Nahi Sakey Shayd K Aisi Kia Zaroorat Mahsoos Hoi ,Kyun
Alag Watan Hasil Karnay K Liye Itni Qurbaininy Dine. Jub Tak Hum Qyam E Pakistan
Ki Asal Waja Nahi Samjhty Tb Tk Hum Iski Wo Qadar Nahi Kar Paye Gy Jo Hamray
Bazurg Kartay Hain. Unhe Ise Watan Ki Ahmiyet Pata Thi Q K Unho Nay Apna Sab
Kach Qurban Kar Kay Ise Paayray Watan Pakistan Ko Hasil Kiya Hai.
Ye Ek Musalama Haqeeqat Ha K Jo Cheeze B Bina Kis Mehnat Kay Mil Jaye Us Ko Wo
Qadro Manzilat Nai Milti Jiki Wo Haqdar Hoti Ha. Yahi Waja Hai Kay Ham Apny
Pakistan Ki Wo Qadar Nahi Krty Jo Is Ka Huq Ha.
Pakistan Islam Kay Name Per Bna Ha Jis Ma Tmaam Pakistani Mukamal Azadi Kay Sath
Apnay Mazhabi Asolono Kay Mutabiq Zindagi Guzar Sakine , Jahan Eman , Ithiad Or
Tanzeem Ka Bol Bala Ho.
Lekin Afsoos Kay Yahan Roz Ba Roz Islami Qawaneen Tu Kahin Pechay Hi Rehty Ja
Rhy Hain , Her Jaga Lotmar, Fasadaat, Corruption Our Mahngayi Ise Kay Alwa Humne
Kya Kiya Hai Pakistan Kay Liye , Yahi Waja Hai Kay Pakistano Ko Kise B Dosri
Countries Main Achi Nazar Say Nahi Dekha Jata.
Abi B Zayda Waqat Nahi Guzra Hamain Apnay Watan Pakistan Kay Liye Wo Sab Karna
Chahay Jis Kay Liye Pakistan Wajud Main Aya Takay Pakistan Sahi Mayono Main Ek
‘’Islami Jamhoria’’ Ban Sake.
Allah Pak Nay Pakistan Ko Her Nimat Say Nawaza Hai , Ab In Nimtono Ka Sahi
Istimal Karna Hamari Zimdari Hai.
Agriculture: Pakistan Ek Zarri Mulk Ha Aur Hmari 70% Awam Bilwasta Ya Bila-Wasta
Zaraat Se Munsilik Ha. Allah Pak K Fazal Se Pakistani Zarri Zameen Dunya Bhar Ma
Apni Missal Ap Ha. Pakistanio Ko Zaraat Ki Tarf Zayda Ea Zayda Tawaju Daini
Chahay. Farmers Ko Agricultural Training Or Latest Machinery Farahm Karni Chahay
Ta K Hamari Agriculture Dunia Bhar Main Pakistan Ki Pehchan Bn Sky.
Education: Pakistan Main Education Sab Kay Liye Equal Honi Chahay .Government
Schools Ka Mayare Bahter Ban’nay Ki Zaroorat Hai. Taleem Sb Ki Phnch Ma Ho Aur
Hmara Education Ka Nizam Itna Behtir Ho Kay Har Bacha Asani Say Education Hasil
Kar K Apnay Pakistan Ka Name Dunia Main Roshan Kar Sake.
Electricity: Pakistan Main Abi Sab Say Bara Issue Electricity Ka Hai Hamain
Zayda Sa Zayda Daims Bana’nay Ki Zarooorat Hai Or Isay Projects Banan’ny Chahay
Jis Say Electricity Ka Maslaa Hal Ho Sakay.
Corruption: Ya Aik Esi Bemari Hai Jo Pakistan Ki Jerono Ko Khokla Kar Rahi Hai
Jub Tak Corruption Khatam Nahi Ho Gi Hamra Watan Taraqi Nahi Kar Sakta.
Unemployment : Kise B Mulak Ki Taraqi Main Sab Say Bari Rakawat Unemployment
Hai.Ise Liye Is Par Qabo Pana Bhout Zaroori Hai.
Tourism: Pakistan Bhout Khubsurat Mulak Hai . Ise Ki Khubsurti Ko Ujagar Karnay
Kay Liye Isay Iqdamat Karnay Chahay Jis Say Tourism Ko Farokgh Mil Sakay .
Historical Places Ki Care Ki Jay Takay Zayda Say Zayda Tourist Pakistan Main
Ayine Or Pakistan Ki Natural Beauty Ko Serhaine.
Minerals: Allah Pak Nay Pakistan Ko Minerals Say Berpur Nawaza Hai . Hume In
Minerals Ka Bharpoor Istimal Krny Ki Zarurat Ha.In Minerals Say Fayda Utha Kar
Pakistan Taraqi Kar Sakey.
Politics: Pakistan Ko Sahi Mayno Main Kamyab Karnay Kay Liye Honest And Good
Decision Maker Leader Ki Zaroorat Hai. Jis K Liye Pakistani Awam Ko Chahay K
Apna Vote Soch Samjh Kar Isay Leader Ko Daine Jin Ka Maqsed Sirf Pakistan Ko
Great Ban’nay Ka Ho
.
Ya Tajaweez Hain Jin Per Amal Kar K Hum Wo Pakistan Bann’a Saktey Hain Jis Ka
Khawab Har Pakistani Nay Dekha Hai.
Pakistan Zindabad
Pakistan Paindabad