Mera Pakistan Kaisa Ho
(Muhammad Tahir, karachi)
Mera Pakistan Aisa Ho K Koi Na
Uskey Jaisa Ho.Hamare Aabao Ajdaad Ne Pakistan Is Liye Hasil Kiya Ta K Yahan Wo
Apne Judagaana Deeni O Maashrati Taskhees Ko Qaim Rakhe Hue Apni Zindagi Bata
Sake.Pakistan Madine K Baad Wo Wahid Riyasat Hai Jo Islam Ki Bunyad Par Wajood
Me Aya.Quaid E Azam Ne Aik Jaga Farmaya Tha K Pakistan Hasil Karne Ka Maqsad Aik
Aisi Tajrubagah Hasil Karna Hai Jahan Hum Apni Zindagian Islam K Usooloun Par
Guzar Saken.Pakistan K Manshoor Me Ye Darj Hai K Palistan Aik Falahi Or Islami
Riyasat Ho Or Isi Naare Par Lakhoun Logoun Ne Apni Janoun Ka Nazraana De Diya.
Mera Pakistan Kaisa Ho Ye Sawal Buhat Ameek Or Zakheem Hai Or Apne Ander Aik
Behr E Beqaran Liye Hue Hai Waja Iski Ye Hai K Is Waqt Watne Aziz Jin Buhranoun
Se Guzar Raha Hai Un Me Yehi Lagta Hai K Hamen Aik Or Quaid E Azam Or Aik Or
Tehreek E Azadi Ki Zaroorat Hai Jo Hamen In Buhranoun Se Nikal Sake.Is Waqt
Hamare Mulk K Chand Paychida Masail Ye Hain
1.Leadership Ka Fuqdaan
Sab Se Pehle Hamare Yahan Leadership Ka Fuqdaan Or Buhran Hai Aj Kal Ka Hukumran
Tabka Apni Jagirdaroun Ki Baakiyat Hai Jo Angrez Sarkaar Hamare Liye Chor Kar
Gai The Angrezoun Ne Hamen Bazahir Azaadi De Di Thi Lekin Sathb Hi Sath Wo Aise
Luteroun Ko Hum Par Musallat Kar Gai Jin K Asraat Aj Bhi Baki Hain Or Iqtedaar
Ki Aiwanoun Par Qabiz Hain.Pakistan Ki Badqismati Ye Thi Kay Wo Apne Qayam K
Kuch Arsay Bad Hi Mukhlis Qayadat Se Mehroom Hogai.Allam Iqbal Jinhon Ne
Pakistan Ka Khawb Dekha Tha Unka Subha Azaadi Dekhna Naseeb Na Hui.Quaid Hamen
Aik Saal Bad Hi Yateem Kar Kay Chale Gai.Uskay Bad Liaquat Ali Khan Ko Purasraar
Tour Par Shaheed Kar Diya Gaya Or Yun Pakistani Qoum Aik Aik Kar Kay Apne
Mehboob Rehnumoun Se Mehroom Hoti Chali Gai Us K Bad Jo Kuch Siyasatdanoun Or
Fouj Ne Is Mulk K Sath Kia Wo Tareekh Ka Hissa Hai.Humne Ba Hasiat Aik Qoum
Jahan Buhat Kuch Khoya Hai Wahan Paya Bhi Hai Wo Mulk Jis K Bare Mein
Mukhalifeen Harza Sarai Karte The Kay Ye Chand Saal Bhi Nahi Chal Sakta Aj Wo
Aik Atomi Taqat Hai Hamari Fouj Dunya Ki Behtreen Foujoun Me Shumar Hoti Hai Or
Is Tarha Ki Buhat Si Dosri Kamyabiyoun K Bawajood Abhi Buaht Kuch Karna
Baki.Main Apne Pakistan Ko Jis Tarha Dekhna Chahta Hun Us Mein
2.Qanoon Ki Baldasti
Gareeb Or Ameer K Liye Yaksa Qanoon Ho Adal O Insaf Ka Dor Dora Ho.Jahan
Hukumran Awam K Rakhwale Houn.Jahan Aik Ghareeb K Bache Ko Bhi Intekhabaat Mein
Hissa Lene Ki Azaadi Ho
3.Ikhtiyaraat Ki Nichli Sataah Tak Muntaqili
Ta K Wam Apne Masail Apne Hi Numaindo K Zarye Hal Kara Saken.Aj Jo Hamare Mulk
Ka Bura Haal Hai Safai Suthrai Sarkoun Ki Nagufta Beh Suratehaal Macharoun Or
Awara Kutoun Ki Bouhtaat In Sab Ki Waja Yehi Hai K Hamare Shehroun Main Awami
Numainde Nahi Hai
4.Bijli Ki Taroun Ko Zameen Douz Karna
Kiun K Ye Buhat Si Mushkilaat Ka Bais Hai Or Sheharoun Ki Khubsurti Bhi Maand
Par Jati Hai Barishoun Mein Hathsaat Ka Bais Banti Hain
5.Sarkein Pani Or Nakaasiye Aaab
Fi Zamana Ye Bunyadi Masail Hai Iski Waja Bhi Ikhtyaraat Ki Nichli Sataa Par
Muntakili Na Karna Hai
6.Police Ko Siyasat Se Pak Karna
Ma'ashray Ki Islah K Liye Police Ko Siyasat Se Pak Karna Buhat Zaroori Hai Kiun
K Isi Se Ma'ashray Me Bigaar Paida Hota Hai Jaraim Main Izafa Hota Hai.Siyasi
Bhartiyan Jaraim Ko To Kam Nahi Karti Albatta Ma'ashray Main Ahsaas E
Mehroomi,Rishwat Khori Or Jaraim Ko Barhava Deti Hain
7.Merit
Is Se Muraad Ye Hai K Qabil Logoun Ko Unki Qabiliat K Mutabiq Ohdoun Opar Faiz
Karna Agar Hum Is Mein Kamyab Hojate Hain To Sirf Isi Amal Se Ma'asray Ki Buhat
Si Burayan Khatm Ho Sakti Hain Kiun K Jis Sakhsh Ko Qabiliyat Ki Bunyaad Par
Bharti Kiya Jaiga Usko Apne Kam Ka Achi Tarha Idraak Hoga Or Wo Apni Zimedarian
Bakhubi Anjaam De Pai Ga
Algharz Ye Kay Mera Pakistan Aisa Ho Kay Jahan Islam Ka Nifaaz Ho Aksariat Or
Aqaliat Dono Ko Behasiyat E Pakistani Aain E Pakistan Kay Tehat Wo Tamam Hukooq
Hasil Houn Jo Aain Mein Darj Hai.Jahan Aman O Amaan Ho, Adal O Insaf Ho Safai
Suthrai Ho,Berozgaari Na Ho,Jahalat Na Ho,Jahan Har Aik Ko Saaf Pani Mayassir
Ho,Jahan Hum Elqai,Lasaani,Mazhabi O Maslaqi Ikhtilafaat Ko Bhula Kar Sitaroun
Par Qamandh Dalne Wali Qoum Bane.Aik Aisa Jis K Bashindoun Ko Bahir Mulkoun Me
Rozgaar Ki Talaash Mein Khawar O Zaar Na Hona Parhe Balke Bahir K Log Talaash E
Ma'ash Mein Pakistan Aien Or Ye Koi Na Mumkin Amar Nahi Balke Ain Mumkin Hai
Shart Ye Hai K Awam Ko Baidaar Hona Parhe Ga Kiun K Awam Agar Shaheen Sifat Ho
To Is Par Kargas Hukumat Nahi Kar Sakte Akhir Mein Aik Dua'aya Nazam Ahmed
Nadeem Qasmi Ki Shamil Karta Hun Jo Mujh Samet Tamam Muhib E Watan Pakistaniun
Ki Umangoun Ki Tarjumani Karti Hai.
Khuda Karay Kay Meri Arz-E-Pak Pay Utray
Woh Fasl-E-Gul Jissay Andesha-E-Zawwal Na Ho
Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho
...
Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho
Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-E-Wiqar-E-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-E-Mah O Saal Na Ho
Har Aik Fard Ho Tahzeeb-O-Fun Ka Aouj-E-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho
Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho...!!