Pyaray Shuhada Aps,
Ae Mairy Watan Ke Phoolon Jo Bina Khilay Murjha Gae Ho. Ae Woh Haseen Ankhon Jin
Main Basay Khuwab Abhi Khuwab Tak Na Banay Thy. Ae Sada Dilon Jinky Jazbon Main
Farishton Si Sachai Thi. Ae Mairy Masoom Shaheedo Aj Ka Din Tumhari Yaad Ka Din
Hai. Pichly 2 Saal Se Zamana Hum Pr Batain Bana Raha Hai. Kahty Hain Ke Hamain
Tumharay Khonay Ka Dukh Nahi. Hum Ne Tumhari Lashon Ka Sauda Kia Hai. Kahty Hain
Ke Hum Aik Murda Quom Hain Jo Apni Bachay Kho Kar Bhi Baidar Nahi Hoti. Kahty
Hain Ke Hum Apni Behisi Per Sharminda Tak Nahi. Hum Unko Jawabdeh Nahi Hain
Magar Aj Ke Din Hum Tumhain Batana Chahty Hain Ke Koi Bhi Hamaray Ghum Ko Nahi
Samajh Skta. Akhir Ko Tum Hamaray Bazoo Thy Humara Mustaqbil Thy. Anay Waly Dino
Ki Umeed Thy. Koi Kia Janay Ke Hamara Kitna Nuqsan Hoa Hai. Aur Duniya Ki Soch
Daikho Ke Nuqsan Bhi Hamara ,Ghum Bhi Hum Hi Ko Aur Ye Chahaty Hain Ke Sharminda
Bhi Hum Hi Hu. Tum Hi Batao Kia Koi Apny Ghum Per Apny Nuqsan Per Sharminda Hota
Hai. Daikho Hum Tumhain Bilkul Nahi Bholay. Aj Ki Har Tahreer Har Taqreer Har
Mahfil Main Tum Hi Ho. Ye Jo Shamain Roshan Ki Gae Hain Kis Ke Liye Tumharay
Liye Hi Na. Tum Ne Jannat Main Baith Ker In Roshan Shamon Ko Daikha Hoga Na.
Akhir Hum Sharminda Kiyun Hu. Hum Tumhain Bholay Thori Hain. Maana Ke Hum
Tumharay Gunagahru Ko Saza Nahi Dilwa Sakay. Magar Hum Unky Bachon Ko Parhanay
Ka Azam To Rakhty Hain Na. To Kia Hoa Ke Tum Na Parh Saky Wo To Parh Jaen Ge Na.
Kia Tumhay Iss Soch Per Fakhar Nahi. Ab Iss Tameeri Soch Per Bhi Kahty K Sharam
Karo Mahaz Ganay Bana Kar Dushmono Ko Dara Rahay. Chalo Ye Nahi Samjhty Magar
Tum To Samjhty Hi Ho. Jab Jannat Main Baith Ker Tum Apni Maon Ko Daikhty Ho To
Kia Sochty Nahi Ke Kis Tarha Pori Quom Ne Unka Ghum Banta Hai Kia Ye Murda Quom
Ke Tareeqay Hain. Sunno Tum Inki Baton Main Mat Ana. Tumhari Qabarain Pehly Se
Hi Buhat Roshan Hain Iss Liye Tumhay Pata Nahi Chala Hoga Hum Ne Aj Tumhari
Qabron Per Chiragah Kia Hai Phool Charaye Hain Aur Daikho Pori Quom Ne Tumhari
Maghfirat Ki Dua Bhi Ki Halanky Farishton Ko Dua-E-Maghfirat Ki Kia Zaroorat Per
Hum To Sada Loh Log Hai Tum To Janty Hi Ho. Ab Tum Hi Batao Iss Ke Baad Bhi Hum
Sharminda Hu. Kahty Hain Hum Ne Laparwahi Ki. Theek Hai Laparwahi Ho Gae Per Tum
To Janty Ho Ke Hum Insaan Hain Aur Insaan Se Laparwahi Aur Ghalti Ho Hi Jati Bus
Hum Unko Rok Nahi Pae Laikin Iss Ki Saza Main Kiya Hum Ne Apny Jigar Goshay Nahi
Kho Diye. Aik To Zulam Hum Per Upar Se Sawal Bhi Hum Per. Ab Tum Janat Main
Baithy Ho Tum Kiya Jano Duniya Ki Sazishain. Daikho Tum Kabhi Ye Mat Sochna Ke
Hum Tumko Bhool Jae Ge. Kabhi Bhi Nahi. Har Saal Ye Din Hum Tumhari Yaad Main
Manae Ge. Mombatiyan Jala Ker, Tumhari Qabron Per Phool Chara Ker, Ansoo Baha
Kar Hamaisha Tumhain Yaad Rakhain Ge. Bus Yahi Na Ke Hum Un Zalimo Ko Saza Nahi
De Pae. Bus Yahi Na Dushman Mulak Se Karobaar Ki Khatir Hum Koi Qadam Nahi Utha
Sakty. Magar Mairy Bacho! Tum To Samjhdar Ho Ab Marnay Walon Ke Sath Kon Marta
Hai Jo Zinda Hain Unky Pait Bhi To Bharny Hain. Aur Phir Tum To Allah Ke Pass Ho
Aur Wo Behter Badla Lainy Wala Hai. Tum Bilkul Mayoos Mat Hona Allah Tumhara
Badla Hum Se Bather Lai Ga. Akhir Hum Muslman Hain Aur Hum Ne Sab Allah Per Chor
Rakha Hai. Ab Batao Akhir Hum Kiyun Sharminda Hu?
Buhat Pyar Aur Duaon Ke Sath
Pakistani Quom By: Hubba S. Feroz