Maa Ki Qadar

(Sajeel Liaqat, Multan)

Hi My Name Is Sajeel Liaqat I M Doing Modeling. And Job In Kaizen World Software House..

Main On Logo Ko Maa Ki Qadar Batana Chahta Hon Jinky Pass Maa To Hay Mager Wo Onsay Piyaar Nahi Karty Or Be Dehani Main Wo Sab Kuch Kahdaity Hain Jis Say Shayad Onko Bohat Takleef Hoti Ho..

Main 8th Class Ka Student Tha Or Main Os Time Apni School Ki Sports Team Main Hota Tha. Os Waqat Hum Aik School Match Jeety And Hamara Aik School Level Ka Just Magazine Aya Jisko Loog Nahi Janty Thy.Na He Os Magazine K Bary Main Pata Tha.

Mager Jab Wo Magazine Main Ghar Laya To Meri Maa Ny Os Magazine Ko Daikh Kar Bohaat Piyaar Kea Our Os Magazine Ko Wo Har Bandy Ko Dikhatin Thin Or Bohat Kushi Hoti Thii Onko. Or Wo Kushi Aj Taq Nahi Daikh Paya Main.. Sad

Meri Maa Ki Death Hogay 2004 Or Main Os Time 9th Ka Student Tha .. Or Aj Main Modeling Kar Raha Hon Mery Itny Magazine Itny Shows Itny Pics Tv Per Atii Hain Magazine Etc Sab Hay Mager Wo Shaks Nahi Hay Jiski Dua Say Main Yaha Taq Pohncha Ajj Mery Pass Wo Nahi Jo Mughy Seeny Say Laga Kar Kush Ho Sad..

Poetry For You My Mom..!

Seeny Say Laga Kar Kaha Karti Thi Maa Mujh Ko..
Tu Lal Hay Mera Na Sataa Mujh Ko..

Pachtayega Aik Din Jab Main Chali Jaungi.
Na Chahty Hoye B Dunia Main Akela Chor Jaungi.

Zamana Dikhayega Garmi Ki Shidat Tujh Ko.
Phir Yaad Kar K Phir Royega Mujh Ko.

Such Sajeel Mudaatoon Say Meri Maa Ny Seeny Say Nahi Lagaya..
Ab Soo Gai Khak Main Jab Kuch Kahny Ka Waqat Aya . Sad

Pleaese Apni Maa Ko Kabhi Aysa Na Karna K Wo Tumsy Naraz Ho..

Sajeel Liaqat
About the Author: Sajeel Liaqat Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.