Mein Aaj Buhaut Khush Hoon Kay
Meyrey Aabao Ajdad Nein Jis Mulk Kay Khuwab Kee Tabeer Kay Liey Apna Ghar,
Jaidadain, Behain, Bhaee, Maal-O-Zar Subh Kuch Choordia Wo Khuwab Aaj
Sarminda-E-Tabeer Hogaya Hey.
Aaj Subha Jab Mein Utha Hoon Tu Aik Naee Dunya Mayray Saamenin Hay, Meyra Sar
Fakhar Say Buland Aur Tana Howa Hay Kay Mein Is Mulk-E-Pakistan Ka Sehri Aur
Basi Hoon, Jahaan Mujhey Aur Meyrey Bachoon Ko Koe Khauf Naheen, Jahan Meyri
Izzat Mehfooz Hay, Jahan Koi Meyra Haq Naheen Marta, Jahan Koi Mujh Per Bandooq
Naheen Taanta, Jahan Police Aehelkar Aur Sipahi Mujhey Sir Keh Kar Mukhatib
Kartey Hain Kay Mein Aik Ba Izzat, Parha Likha Aur Hakoomat Ko Tax Ada Karnain
Wala Pakistani Aur Musalman Hoon.
Aaj Hakoomat Nein Taleem Ko Her Aam-O-Khas Kay Liaey Yaksaan Aur Free Kardia Hay
Takey Taleem Ka Mayar Buland Sey Buland Ho Aur Qaum K Mehmaaar Khoob Parhain,
Science Aur Technology Mein Apni Missal Aap Hoon Aur Dunya Ko Fatah Karain,
Logoon Kay Cehroon Per Itminan Hay Aur Wo Ahistigi Aur Mohabbat Say Baat Kartey
Hain, Koi Kisi Ko Gali Naheen Dayta, Koi Kisi Say Ziadti Naheen Karta Kay Wo Ab
Us Pak Sarzameen Per Pohaunch Gaey Hain Ju Bari Qurbanioon Kay Baad Hasil Hoee
Hay, Kyoon Kay Wo Sub Aik Qaum Aur Aik Mazhab Sey Talluq Rakhtey Hain. Safai Ka
Ye Aalam Hay K Gandigi Dhoondhey Naheen Milti Kay Hum Musalman Hain Aur Safai
Hamara Nisf Aiman Hay. Ab Mujhey Koi Fikar Naheen, Ab Mein Aaram Aur Sukoon Say
Mar Sakoon Ga, Kyoon Kay Mujhey Yaqeen Hay Kay Meyrey Baad Mera Mulk Merey
Bachoon Ko Sambhal Ley Ga, Unhain Izzat Day Ga, Kay Wo Un Logoon Ki Auladain
Hain Jinhoon Nein Apni Aankhoon K Saamnain Apni Izzatoon Ko Luttey Deakha Hey,
Apni Aankhoon Kay Saamnain Apnain Bachoon Ko Qatal Hotey Deakha Hey, Apnain
Gharoon Ko Jaltey Deakha Sirf Pakistan Kay Liaey. Mujhey Yaqeen Hay Kay Hum Ju
Musalman Aur Pakistani Hain Apnain Un Logoon Kay Aehsanoon Ko Bhoolain Gay
Naheen Aur Zindigi Bher Unhain Khiraj-E-Tehseen Pesh Kartey Rahain Gay Kay Yahee
Achi Aur Mohazzib Qaumoon Ka Turra-E-Imtiaz Hey.
Ye Subh Kuch Kitna Haseen-O-Dilkush Tha…………..Per Acanak Aik Behangum (Teni Papa)
Qisam Kay Horn Say Meri Aankh Khul Gaeee, Deakha Tu Office Say Dare Hogaee Hay,
Meyrey Dimag Mein Apnein Pakistani Aur Musalman Boss Kee Galiaan Goonjnein
Lageen Aur Aanain Wali Beizzati Kay Ahsaas Say Aankhain Bheeg Gaeen, Mein Nein
Jaldi Say Geeley Kaprey Say Moo Saaf Kia Aur Kal Jo Kaprey Pehnein They Unhain
Phir Pehain Lia Kay Raat Say Na To BIJLI (Light) Hay Kay Kaprey Press Hoon Aur
Na PANI Hay Kay Naha Sakoon, Lapak Kar Apni Purani Motorcycle Per Beath Kar Dara,
Sehma Usheee Dhool, Mitti, Dhooeeen, Aur Preasure Horns Kee Dunya Mein Kood Gaya
Jahan Na Janain Kab Koi Mujhey TT Dikha Kar Meri Sari Mehnat Ki Kamaee Cheen
Lay? Na Janein Kab Koi Sipaheee Mujhey Be Izzat Kar Dey, Na Janain Kab Police
Mujhey Dehsatgard Banadey, Na Janein Kab Koi Mujh Say Lar Parey Kay Her Sakhs
Paraysaan Hay Kyoon Kay Usey Bachoon Kee Bhari Fees Ada Karni Hain, Bimar Howa
Tu Bhari Fees Day Kar Shifayab Hona Hay Aur Agar Kaheen Galti Sey Police Kay
Haat Lug Gaya Tu Apni Sharafat Ka Yaqeen Dilanein K Liaey Bhee Bhari Raqam Ada
Karni Hey, Bhari Bhari Fees Daykar Parhnain Waley Bachey Mulk Say Baher Ja Rahey
Hain Kay Parhaee Per Bhari Raqoom Kee Adaegi Kay Baad Ab Kamaee Ka Waqht Hay, ……Unki
Aehliat Aur Ilm Say Doosrey Mulk Faida Utha Rahey Hain …….
Sooncha Hey Kay Ab Jab Walid Sahib Ki Qabar Per Jaoonga Tu Zaroor Poochoon Ga,,,,,
Kay Maynain Aur Mayrey Bachoon Nein Kya Jurm Kya Tha, Ju Aaj Isterha Apne Hi
Sarzameen Per Zaleel Ho Rahey Hain, Kya Yahee Wo Pakistan Hey Jis Kay Liaey Aap
Nein Apni Jaidadain, Apni Izzat, Apnay Behen, Bhaee Subh Kuch Qurban Kardia???
Kiya Yahee Wo Khuwab Tha? Agar Yahee Wo Khuwab Tha Tu Gustakhi Moaf, Walid Sahib
Aap Galti Per Theeey......Khuda Aap Ko Jannat Naseeb Karey ( Ameen), Aaap Allah
Sey Dua Zaroor Keejiey Ga Kay Aap Ki Zindigi Mein Tu Kuch Na Howa Aapki Naslain
He Wo Tabeer Deakh Paeeen Ju Khuwab Aap Logoon Nein Deakha Tha.
Mein Soonchta Hoon, Kay Kash Meyrey Aas Pass Ye Log Na Hotey Jo Apnein Ko
Pakistani Aur Musalman Kehtey Hain, Kash Ye Sub Log Gair Mazhab Kay Hotey, Tu
Kam Az Kam Mein Apnain Maan Baap, Unki Izzatoon Aur Un Ki Qurbanioon Ka Hisaab
Tu Ley Leyta, Per Sitam Balaey Sitam Kay Ye Sub Log Meyrey Hum Watan Hain,
Meyrey Hum Mazhab Hain Aur Khuda Mujhey Is Ki Ijazat Naheen Deyta Kay Mein In Ka
Grebaan Pakroon.
Soooo Her Namaz Mein Khuda Sey Dua Karta Hoon Kay Ya KHUDA Pakistan Ki Hifazat
Karna, Kay Is Ko Hasil Karnain Kay Liey Meyrey Maan Baap Aur Un Jeysey Lakhoon
Logoon Nein Apni Izzatoon, Apna Ghar Baar, Apnain Behen, Bhaee Ki Qurbaniaan Di
Hain...........Is Sarzameen Ko Cooroon, Lotayroon, Zalmoon Aur Un Logoon Sey
Mahfooz Farma Ju Isey Din Raat Gidooon Ki Terha Nooch Rahey Hain.............................
Jo Bhees Badal Badal Kar Hamara Sikar Kartey Hain……………Jo NABI PAK MUHAMMAD (SAW)
Ki Umat Per Budnuma Dag Hain……….(Aameen)
Faqat Dua Go…..
Aik Aam Pakistani.