Jo Kuch Main Likhne Ja Raha Hon
Main Nahi Janta K Ye Sb Likhna Chaye Ya Nahi Lekin Mera Dil Kehta Hai K Is Sb Ko
Likh K Apne Dil Ka Ghubar Kuch Kam Kr Lon Shayad Is Tarha Se Zehni Sakun Naseeb
Ho Sakey Aur Mohabbat Se Farar Mumkin Ho.
Ye 1994 Ki Bat Hai Jab Hum 4th Class K Student Thy Tab Ye Tou Pta Nhi Tha K Pyar
Mohabbat Aur Ishq Waghera Kia Cheezen Hoti Hain Per Dilon Main Aik Dusry K Lye
Khas Feelings Zrur Thi Jis K Natijey Main Aksar Us Ki Favor Kia Krta Us Ka
Ghalat Swal Bhi Theek Kr Deta Aur Yun Wo Khush Ho Jati, Phir Wo Kuch Time K Lye
Uk Chali Gai Aur Main Karachi.
Is K Baad Hmari Mulaqat 2001 Main Hui Tab Pyar Mohabbat K Barey Thora Boht Pta
Tha, Mobile Phone B Tab Boht Kam Thay Aur Khas Kr Village Main Tou Boht Hi Kam
Thay Han Albatta Land Line Phone Har Ghar Main Tha Us Per Se Kbi Kbhar Bat Ho
Jati Lekin Pyas Km Hone Ki Bjaey Bharti Hi Rhi Phir Hum Ne Love Letter Likhne
Start Kiye Meri Aik Cozen Us K Sath School Main Pharti Thi Jis Ne Hmary Darmyan
Bridge Ka Kam Kiya.
Ye Silsila Ziada Der Na Chala Tha K Aik Letter Pkra Gya Aur Yun Purey Gaon Main
Khabar Phel Gai Jis Ka Khamyaza Aj B Bhugat Raha Hn, Itne Mein Main College
Chala Gya Aur Zindgi Ko Kafi Qarib Se Dekhne Ka Moqha Mila Is Doran Hmari Bat
Hoti Rehti.
Aksar Shadi K Zikr Pe Wo Kehti K Meri Family Main Koi B Esa Larka Nhi Hai Jis Se
Meri Shadi Ho Mujhe Lagta Hai K Hamari Shadi Ho Jaey Gi Lekin Qudrat Ko Kuch Aur
Hi Manzoor Tha, Hathon Ki Lakiren Kuch Aur Hi Keh Rahi Thi Lekin Mustaqbil Se
Benayaz Hum Aik Dusrey Main Mehv Thay.
Mere 2nd Year K Paper K Doran Us Ki Family K Kuch Log Uk Se Pakistan Aey Kuch
Din Baad Pata Chala K Mere Aik Cozen Se Us Ki Shadi Teh Kr Di Gai Hai Jo Umar
Main Us Se Kafi Bara Tha, Ye Khabr Mere Lye Kisi Saniha Se Km Na Thi Is Ka Asar
Meri Puri Zindgi Per Para Bilkul Esy Hi Jese Aik Tufan Kuch Der K Lye Aa K Chla
Jata Hai Lekin Bikhry Pattay Aur Tutey Darakht Boht Der Tak Us Ki Gawahi Dete
Rehte Hain. Isi Tarha Main Bhi Sai Tarha Se Paper Nah De Ska Aur Yun Kam Numbers
Se Pass Ho Kr Aaj Tak Pachta Raha Hn Lekin Mohabbat K Chin Janey Ka Afsos Is Se
Kahen Ziada Tha Aur Aaj Bhi Hai.
Akhri Bar Jab Main Ne Us Se Pucha K Ab Kia Irada Hai Tum Kia Kehti Ho Hamein Kia
Krna Chaye Tou Us Ka Jwab Tha Parents Ki Izzat Bachani Chaye ,Un K Faislay Pe
Apna Sar Jhukana Chaye Ye Us Larki Ka Jwab Tha Jo Sari Umar Uk Main Rahi Wohen
Pali Barhi Peda Hui Sara Jewan Us Ka Wahan Guzra Yahan Tou Wo Sirf Mujhe Pyar Se
Roshnas Kranay Ai Thi, Shayad Wo Apne Mashrqi Hone Ka Yaqin Dila Rhi Thi Ya Apne
Muslim Aur Pakistani Hone Ka Jo B Tha Aj Sochta Hn Tou Wo Jazba Wo Jawab Haseen
Lagta Hai Utna Hi Haseen Jitni K Wo Khud Thi.
Us Ki Shadi Se Kuch Din Pehle Main Lahore Aa Gya Aur Tab Se Yahan Ki Khak Chan
Raha Hn Aur Haqiqat Main Tou Us Jesi Larki Ki Talash Main Hn Aj B Us K Lye Dua
Go Hn, Lekin Baqol Kisi Shahir K;
“Meri Dua Tou Kahen Arsh Pe Hi Kho Gai
Aur Phir Taqdeer Bhi Andhera Orh K So Gai
Aur Phir Zabt Ka Daman Hum Se Chut Gaya
Aik Toota Huwa Dil Aur B Toot Gaya”
Ab Wo Shadi Shuda Hai Us Ki Aik Pyari Si Beti Hai Lekin Phir B Us K Wapis Aney
Ki Umeed, Khush Fehmi Ya Galat Fehmi Ap Koi B Naam De Lein Wo Mujhe Hai. Ya Esa
Hai K Haqiqat Se Boht Nazdeek Hone Ki Wajha Se Ya Purani Cheezon K Lagao Ki
Wajha Se Main Aaj B Us Ko Dhoond Raha Hn Ya Phir Us Jesi Kisi Mashrqi Larki Ko
Hi Dhoondh Raha Hon Meri Talash Ka Safr Aaj B Jari Hai.
Ye Mere Aik Boht Hi Achey Dost Ki Kahani Hai Jis Ko Main Apni Zubani Ap K Lye
Likh Raha Hn…..