Agricultural Tax.
(Atiq Laghari, Hyderabad)
Aj Kal Tax Ke Nifaz Ke Hawaley
Se Media Bhara Rehta Hay, Jo Siyasi Jamaeten Shehron Ke Voters Ki Numaindgi
Karti Hain Un Ko Aj Kal Ek Hi Field Aur Tabka Nazar Ata Hay Aur Kayee Bar
Assembly Ke Forum Pe Aur Media Pe Mutalba Kiya Hay Ke Agriculture Pe Tax Lagaya
Jaey. MQM Ne To Yahan Tak Keh Diya Hay Ke 32 Acer Se Ziyada Zameen Cheen Li Jaey.
Agar Tang Nazri Ko Chor Kar Ye Socha Jaey To Is Waqt Kiya Sach Agriculture
Sector Tax Nahi De Raha, To Yaqeenan Jawab Nafi Mein Hoga, Agriculture Sector
Bilwasta Ya Bila Wasta Tax Ki Zad Mein Hay. Agriculture Mein Sab Se Buniyadi
Cheez Hai Machinary, Aur Ek Abadgar / Zamidar Us Machinery Ki Khareed Per Tax
Deta Hay, Zameen Par Tractor Chalane Ke Liyey Jo Diesel Leta Hay Us Par Bhi Tax
Deta Hay, Phir Pani Ke Liyey Abiyana Tax, Aur Cultivation Ke Liyey Dhal Tax Bhi
Deta Hay, Fertilizers Bhi Tax Se Mustasna Nahi Ek Bar Phir Abadgar Tax Ki Zad
Mein Ata Hay Aur Zaraee Adwiyat Bhi Tax Ki Zad Mein Hain Aur Beej Bhi Tax Shuda
Hota Hay, Aur Jab Zamidar Apni Ajnas Market Mein Deta Hay To Wo Bhi Azad Nahi
Hoti Balkey Mandi Mein Commission Se Leker Market Tax, Sugar Sees Tax Etc Deta
Rehta Hay.
Ek Acor Wheet Kasht Ke Liyey Ikhrajat
Gobil Two Times 800x2= 1600
Border 500
Cultivator 1000
Levelor 1600
Diesel For Water 6 Times 1200x6= 7200
Seed 1500
Agro Medicine 800
Dhal Tax 1000
Abiyana 500
DAP Fertilizer 1 Bag 3500
Nitrophos Fertilizer 2300
Urea 3 Bags 1100x3=3300 3300
Crop Cutting Charges 2000
Threasure Charges 2000
Loading Unloading 1000
Total 29800/=
Ek Acor Zameen Abad Karney Ke Liyey 29800/ Kharcha Ata Hay Aur Pakistan Ki Per
Acor Production Average 35 Man (40 KG)Hay Aur Rate 1000 Per 40 Kg. Is Ka Matlab
35000/ Ke Liyey, Abadgar Ko 30000 Kharcha Karna Parta Hay Tab Ja Key Us Ko 5000
Rupya Bachta Hay, Agar Ye Bhi Wo Tax Mein De De To Bachon Ke Liyey Kiya Bachta
Hay.
MQM Ko Aqal Ke Nakhoon Lena Chahiyey, Duniya Bhar Mein Agriculture Ko Sab Se
Ziyada Sahooliyaty Di Jati Hain Ta Ke Khane Peene Ki Ashya Ki Kilat Na Ho Aur
Mulk In Cheezon Mein Khud Kafeel Ho Jaey, Lekin Hamarey Pass To Ulti Ganga Behti
Hay. Sochna Ap Ka Kaam Hay. Ek 100 Acor Ka Zamindar Jo 50 Acor Cultivate Karta
Hay To Us Ko 18 Lakh Ka Sarmaya Chahiyey Hota Hay Aur Tab Ja Ke Us Ko Salana
250000/ Khalis Munafa Milta Hay, Jis Mein Wo Apne Apne Bachon Ke Ikhrajat,
Dunyadari , Ghami Khushi, Eid Barat, Shadi O Biyah Sab Kam Karta Hay Agar Is Ki
Khalis Income Par Tax Lagaya Jaey To Is Ghareeb Ka Kiya Hoga.
Jo Traders 20 Lakh Ki Sarmaya Kari Karta Hay Wo Salana 20 Lakh Munafa Kamata Hay
Ab Bataen Tax Kis Par Lagana Chahiyey. Senator Maula Bux Chandio Ne Media Pe
Khoob Kaha Tha Meri 500 Acor Zameen Le Lo Sirf 10x15 Ki Ek Dukan Tarique Road Pe
De Do. Agar MQM Agriculture Sector Ko Sarmayadar Aur Jageerdar Samajhti Hay To
Pakistan Ka Har Kisan, Abadgar Aur Zamidar Aisa Karne Ko Razi Ho Jaey Ga, Q Ke
Soda Mehenga Nahi Hay.