Hum Aur Hamare Siasatdan

(Alam, Karachi)

Assalam O Alekum

Kaha Jata Hy K Siasat Dan Hamare Hi Jayse Hote Hain Like Us "Common Man" Per Mujhe Ek Baat Samaj Nahi Ati K Ek Hum Log Hain Jin K Pass Ajj Khane Ko Bhi Nahi Hy Dosri Taraf Hamare Siasat Dan Hain Jin K Pass Mujhe Tu Koi Kami Nazar Nahi Ati Jab Se Ye Nayi Govenment Ai Hy Inhone Hum Per Pata Nahi Kon Kon Se Tax Laga Diye Aur Ham Kaahil Awam Chup Chap Ye Tax Bhar Rahe Hain Aur Apni Govenment Se Ye Bhi Nahi Pooch Rahe K Hum Akhir Kon Kon Se Tax Aur Q Bhar Rahe Hain Zara Govenment Se Ye Tu Poocho K Hum Ye Tax Q Bhar Rahe Hain Is Ki Waja Ye Hy K App Ne Dekha Ho Ga K Government Ne Tu Hamein Apni Jhooti Majboriyan Dikha Kar Tax Laga Diye Per Ap Mein Se Koi Bhi Mujhe Ye Baatado K Kon Sa Hamara Wazir Ya Mushir Hy Jis Ne Apne Kharche Kam Kiye Hon. Ramzan K Ander Har Roz Kisi Na Kisi Wazir K Han Aftar Parti Hoti Thi Jis Mein Har Kuch Hota Tha Aur Bohat Ziyada Miqdar Mein Ha Tha Jo Zaiyan Hota Tha App Mujhe Baatao K In Waziron K Pass Itna Paisa Kahan Se Aya. Ye Wo Paisa Hy Jo Ye Log Hum Se Tax Ki Surat Mein Latee Hain Zara Ghor Farmaiye Ek Taraf Ek Amm Admi Puri Tarhan Se Aftari Nahi Kar Sakta Tha Aur Doosri Taraf Ye Hamare Wazir Hamara Paisa Kese Kharach Kr Rahe The. Aysi Bohat Si Batain Hain Jo App Bhi Janta Hain Aur Mein Bhi Per Zaroorat Ek Sath Mil Kar Kharde Haone Ki Hy Aur Pooch Ne Ki Hy K Sirf Hum Se Hi Tax Q Liya Jata Hy Government Apne Kharche Kam Q Nahi Kar Rahi. Ajj Bhi App Dekh Lain K Hamare Rupees Ko Kis Tarhan Bedarekh Kharache Kia Ja Raha Hy Aur Hum Khamosh Tamashaiye Bane Hue Hain.

Alam
About the Author: Alam Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.