Mojudah Surat E Hal

(shahan japan, tokyo)

Mulk Ki Mojuda Surat E Hal Har Pakistani Ke Liye Tashwish Ka Bais He . Nawaz Sharif Se Mujhe Na Koi Zati Adawat He Na Imran Se Koi Zati Lagawat . Agar Nawaz Sharif Hakumat Main Ane Se Pehle Kiye Gae Wado Pe Kuch Pura Utarte Aur Logo Ki Khush Hali Ke Liye Kuch Karte To Aj Ye Nahi Ho Raha Hota .
Mulk Ki Luti Hui Dolat Wapis Lane Ka Keh Kar Aur Jinho Ne Mulk Ko Luta Un Ko Pakarne Ka Keh Kar Hakumat Main Ane Ke Bad Is Bat Ka Koi Zikar Hi Nahi . Ye Doghla Pan Mian Sahib Jaise Sharif Admi Ke Liye Munasib Nahi Tha . Phir Am Ghatya Siasatdano Main Aur In Main Farq Hi Kia Bacha .

Ye Awam Ko Badguman Karne Ke Siwa Kuch Nahi Ke Imran Aur Qadri Beruni Taqat Ke Liye Kam Kar Rahe Hain . Log Boht Tang A Chuke Hain Is Bat Ko Realize Karna Chaiye . Kis Terah Tuti Phuti Gandi Sarkain . Aur Ghurbat Se Logo Ka Bura Hal . In Logo Ki Halat Daikh Kar Sangdil Se Sangdil Admi Ko Bhi Reham A Jae .

Mehngai Aisi Ke Tokyo Jesi Shehar Aisa Ke Is Se Badtar Dunya Main Kahin Nahi .Hukmrano Ne Sara Europe Aur Malesya Indonesiya Singapore Sab Daikha Hua He Yahan Tokyo Bhi Hukmran A Chuke Hain Main Sochta Hon Ke Kia Inhain Sharmindagi Aur Ndamat Mehsus Nahi Hoti . Dusre Mulko Ke Wazir Safir Shandar Saf Suthre Shahro Ke Malik In Ko Apne Hammansabo Ke Sath Khare Hote Kia Subki Nahi Hoti . Agar Nahi Hoti To Siwae Begherati Ke Aur Kuch Nahi Kaha Ja Sakta . Agar Hoti To Apne Mulk Ki Halat Behtar Karte .

Ab Dunya Global Village Ban Gai He . Agar Kisi Gaon Ya Mohle Main Maira Ghar Ho As Pas Ke Ghar Ache Khubsurat Aur Shandar Hon To Main Bari Khifat Mehsus Karon Ga Aur In Sab Logo Main Milte Hue Apne Ap Ko Kamtar Samjhon Ga Aur Jald Se Jald Apni Halat Ko Apne Ghar Ko Acha Karne Ki Koshish Karon Ga . Humare Mulk Pe Jo Hakim Bane Kia Who Bilkul Hi Be Zamir The . Mulk Ki Khasta Aur Ujar Shakal To Is Hi Bat Ki Ghamaz Lagti He Ke In Ke Ehsas Main Ye Bat Dakhil Hi Nahi Ho Saki Ke Hum Ko Kis Ghatya Nazar Se Dusre Log Daikh Rahe Hain. Kisi Ba Zamir Aur Ghairatmand Admi Ka Primeminister Banna Boht Zaruri He .A
 

shahan japan
About the Author: shahan japan Read More Articles by shahan japan: 14 Articles with 24726 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.