Maal Ya Wabaal

(Chiraghdeen, Karachi)

DARS-E-QURAN: Surah Taubah Aayet 53, 54, 55, Tarjuma O Tafseer (Makhooz Az BANAT-E-AYESHA-APRIL-2010).

TARJUMA: Keh Do Key; "Tum Apna Maal Chahe Khushi Khushi Chande Mein Dau Ya Bad Dili Sey, Wo Tum Se Hargiz Qubool Na Kia Jaey Ga – Tum Aise Log Ho Jo Musalsal Nafarmani Kerte Rahe Ho" Aur Inke Chande Qubool Kiye Jane Mein Rukawat Ki Koi Aur Wajah Iske Siwa Nahi Hey Keh Unhon Ne ALLAH Aur Uske RASOOL (S.A.W.) K Saath Kufr Ka Ma'aamla Kia Hey, Aur Yeh Namaz Mein Aatey Hein Tau Kasmasatey Huwe Aatey Hein, Aur (Kisi Neki Mein) Kharch Kerte Hein Tau Bura Mante Huwe Kharch Kerte Hein – Tumhein Inke Maal Aur Olaad (Ki Kasrat) Se Ta'ajjub Nahi Hona Chahe Ey-ALLAH Tau Yeh Chahta Hey Keh Inhi Chizon Sey Inko Dunyawi Zindagi Mein Azaab Dey, Aur Inki Jaan Bhi Kufr Hi Ki Haalat Mein Nikley.
 
TAFSEER: Yeh Ayet Dunyawi Maalo Daulat K Bare Mein Ek Barri Azeem Haqeeqat Ki Taraf Ishara Ker Rahi Hey. Islaam Ki Taleem Ye Hey Keh Maal O Daulat Bazat-E-Khud Koi Aisi Cheez Nahi Hey Jisey Insaan Apni Zindigi Ka Maqsad Banaey – Insan Ka Asal Maqsade Zindagi ALLAH Ta'ala Ki Khushnudi Ka Husool Aur Akherat Ki Behtari Ka Samaan Kerna Hona Chaheye. Albatta Choonkeh Dunya Mein Zinda Rehne K Liye Maal Ki Zuroorat Hey, Iss Liye Jaiz Zarae Se Usko Hasil Kerna Perta Hey, Lekin Yahan Bhi Yeh Baat Nahi Bhoolni Chaheye Keh Dunya Ki Zuroorat Puri Kerne K Liye Bhi Maal Apni Zaat Mein Koi Faeda Brahe Rast Nahi Pohnchata, Balke Wo Rahat O Araam K Wasail Hasil Kerne Ka Zaria Banta Hey – Lekin Jab Insan Maal Ko Bazate Khud Maqsood-E-Zindagi Banaleta Hey, Aur Har Waqt Iss Fikr Mein Parra Rehta Hey Keh Maal Ki Ginti Mein Kis Tarah Izafa Ho Tau Wo Bechara Yeh Bhool Jata Hey Keh Usne Iss Fikr Mein Apni Rahat Aur Araam Tak Ko Qurban Ker Dala Hey. Bank Balance Mein Beshak Izafa Ho Raha Hey Lekin Na Din Ka Chain Mayassar Hey Na Raat Ka Araam, Na Bewi Bachchon Sey Baat Kerne Ki Fursat Hey. Na Aram K Wasail Se Maza Lene Ka Waqt – Phir Agar Kabhi Iss Maal Mein Nuqsaan Ho Jaey Tau Ranjo Gham K Pahaarr Sar Par Toot Perrtey Hein Kiyoonke Yeh Tasawwur Tau Hey Hi Nahi Keh Iss Nuqsaan Ka Badla Akherat Mein Mil Sake Ga, Iss Tarah Agar Ghor Se Dekho Tau Yeh Mal O Daulat Nemat Banne K Bajae Insaan K Liye Dunya Hi Mein Azaab Ban Jata Hey.

MY OPINION:
CAUTION: ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ne Jinn O Insaan Ko Apni Ibadat K Liye Paida Farmaya Hey, Iska Maqsad Hey Keh "Jinn O Insaan Ki Pedaish Ka Maqsad Sirf Aur Sirf ALLAH Tbarak W Ta'ala Ki Ibadat Hey" Maal Ka Husool Mehez Ek Zuroorat Hey…..Ham Ne Zuroorat Ko Maqsad Banalia Isiliye Ham Pareshan Hein Na Deen K Na Dunya K. Baqol Shakhse "Qatra Qatra Kerke Puri Zindagi Mein Jo Kuchh Kamaya Tha Dakoo Aye Aur Ek Lamhe Mein Sari Zindagi Ki Kamai Utha Ker Legaey Ab Ham Phir Usi Jagah Per Kharey Hein Jahan Aaj Se 20 Saal Pehley They-Faqeer K Faqeer, Ab Tau Jism Mein Itni Taqat Bhi Nahi Keh Dobara Sey Maal Kama Lein. Dhobi Ka Kutta Na Ghar Ka Na Ghaat Ka, Na Khuda Hi Mila Wisal-E-Sanam, Nama-E-Amaal Mein Haram O Halal Sey Kamai Hoi Daulat Tau Likhi Hey Magar Jis Maqsad K Liye Dunya Mein Bheje Gaey They Yani ALLAH Ki Ibad…Woh Khana Khali Hey…Ab Kis Mun Sey ALLAH K Saamney Jaein Ge…Ab Tau Pichhli Namazon Ki Qazaa Kerne Ki Bhi Jasm Mein Jaan Nahi Hey.

Abd Bhi Waqt Hey Har Shakhs Apne Girebaan Mein Mun Daal Ker Dekhey Keh Wo Kitney Paani Mein Hey…Aur ALLAH Ki Ibadat Mein Lag Jaey, Woh GHAFOOR-O-RAHEEM Hey Sachchey Dil Sey Taubah Karain Gey Tau Insha ALLAH Zuroor Ma'aaf Fermadega. Sirf Tahajjud Ki Namaz Mein Dau Aansoo Girado Phir Dekho Dunya Kaisey Badalti Hey.

ALLAH TABARAK WA TA'ALA Ham Sab Ko Amal Ki Taufeeq Ata Farmaey…Aameen

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190972 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.