Kaash Aisa Hojaey - 3

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Ek Dafa Raat K Waqt Ek Muhelley Sey Guzar Rahe They Tau Ek Ghar Se Ek Bachchey Ke Roney Ki Awaaz Aayi Chunacha Us Ghar Ke Darwaze Per Dastak Di Aur Puchha Keh Kia Maajra Hey…Ghar Ke Ander Sey Ek Aurat Ki Awaz Aayi Keh Kia Baat Hey, Jawab Mein Hazrat Umar (R.A.) Ne Jawab Dia Keh Apke Ghar Sey Bchchey Ke Roney Ki Awaaz Aarahi Hey…Un Khatoon Ne Jawab Dia Ham Janey Hamara Bachcha Jeney Aapko Kia Pareshani Hey? Jawab Mein Hazrat Umar (R.A.) Ne Farmaya…Theek Hey Bachcha Aap Ka Hey Mager Mein Ney Socha Keh Ho Sakta Hey Keh Mein Aapki Koi Madad Karsakoon Iss Liye Poochh Liya? Tau Un Khatoon Ney Phir Thora Aaram Sey Jawab Dia Keh Mein Iss Bachchey Ka Doodh Churrva Rahi Hoon Jabkeh Isski Umar Abhi 2 Saal Se Kam Hey Issliye Yeh Bachcha Ro Raha Hey. Hazrat Umar Farooq (R.A.) Ne Kaha Keh Jab Abhi Bachchey Ke Doodh Piney Ki Umar Hey Tau Aap Iska Doodh Kion Churwarahi Hein…Tau Un Khatoon Ne Jawab Dia Keh Amirul Momeneen Ne Yeh Hukm Jari Kia Hey Keh Jab Sey Bachchey Ka Doodh Chhootey Ga Tab Sey Bachchey Ka Wazeefa Baitul Maal Se Jari Kerdia Jaeyga, Mein Iska Doodh Isliye Chhurvarahi Hoon Takeh 2 Saal Purey Hone Se Pehley Hi Wazeefa Hasil Kersakoon.

Yeh Jawab Sun Ker Aapko Bohot Sadmah Pohncha Aur Aap Ne Socha Keh Yeh Ek Waqea Merey Saamne Aaga Hey Maloom Nahi Aur Kitney Bachchon Ki Ab Tak Haqtalfi Hochuki Hogi Jab Bachchey Ka Haq 2 Sey 2.1/2 Saal Maan Ka Doodh Peney Ka Hey Tau Unhein Itney Arsey Tak Doodh Milna Chaheye Chunacha Agley Roz Hazrat Umar (R.A.) Ne Iss Silsiley Mein Doosra Ordinance Jari Kerdia Keh; "Ab Jis Din Bachcha Paida Hoga Tau Usi Din Sey Bachchey Ka Wazeefa Jari Kerdia Jaeyga Taukeh Kisi Bachchey Ka Haq Zaye Na Ho Aur Woh Puri Muddat Tak Apni Maan Ka Doodh Piye.

Pichhley Dinon Ek Sahib Ek Jama'at Ke Saath Tableeghi Daurey Per Norway Aur Denmark Gaey…Wahan Local Persons Sey Bhi Mulaqatein Huwein, Bohot Sey Umoor Zair-E-Ghor Aaye. Wahein Unhein Bataya Gaya Keh Hamarey Mulk Mein Jis Din Koi Bachcha Paida Hota Hey Tau Usi Roz Sey Hukoomat Ki Taraf Sey Uska Wazeefa Muqarrar Hojata Hey Aur Jis Qanoon Ke Zerye Yeh Hota Hey Us Qanoon Ka Naam Hey "UMAR LAW" Chunacha Musalman Honey Ke Naatey Aur Lafz Umar Sunkar Kaan Kharey Huwe Aur Mazeed Tafseel Maloom Kii Tau Un Logon Ne Jokeh Musalman Nahi They; Bataya Keh Musalmano Ke Koi Badshah Guzrey Hein Jinka Naam Umar Tha, Unhon Ney Apni Saltanat Mein Yeh Qanoon Nafiz Kia Tha…Hamarey Baroon Ney Jab Yeh Qanoon Dekha Tau Unhein Pasand Aagaya Aur Unhoon Ney Iss Mulk Mein Bhi Yeh Qanoon Nafiz Kerdia Aur Choonkeh Yeh Sab Sey Pehley King Umar Ne Yeh Silsila Shuroo Kia Tha Iss Liye Ham Ney Unhein Khiraaj-E-Tehseen Paish Kerney Ke Liye Iss Qanoon Ka Naam Unhi Ke Naam Per UMAR LAW Rakhdia.

 SubhanALLAH Ghair Muslim Hamarey Akabereen Ke Ussolon Ko Apna Rahey Hein Aur Kamiabian Hasil Ker Rahey Hein Aur Ham Keh Jin Key Paas Har Cheez Mojood Hey Phir Bhi Maghrib Ki Taraf Dekh Rahey Hein…Kaash Hamein Samajh Aajaey.

Ma'aashi Aur Ma'asharti Usool Jo Hamein Islam Ney Diye Hein Aur Jin Sey Ham Sarfe Nazar Kiye Huwe Hein; Wohh Tamam Achchaiyan Un Logon Ne Apnai Huwi Hein Sirf Kalmah Parhney Kii Dair Hey Uske Baad Woh Ham Sey Achhey Musalman Sabit Honge.

Ek Aur Baat; Jab Denmark Mein Rasool-E-Pak, SallALLAHu Alaihe Wasallam, Ki Shan Mein Khakon Ke Zerye Gustakhi Ki Gaey Aur Puri Dunya Ke Musalman Isske Khilaaf Uth Kharey Huwe Tau Denmark Ke Logon Ne Socha Keh Woh Konn Aisi Hasti Hein Keh Jin Ke Khaakey Banney Sey Puri Dunya Ke Musalman Mushtail Hogaey…Jabkeh Dunya Ke Her Badshah Aur Her Hukumran Ke Barey Mein Khake Bante Hein Hatta Keh Doosrey Mazhabi Rehnumaon Ke Barey Mein Bhi Khakeh Bante Hein Magar Koi Gham O Ghussey Ka Izhaar Nahi Kerta…Lekin Yah Konsi Aisi Hasti Hein Keh Jinke Barey Mein Musalman Koi Mamooli Sii Bhii Baat Sunney Ko Tayyar Nahi……..Chunacha Unhon Ney Islam Kii Study Shuroo Kerdii Aur Jab Yeh Waqea Huwa Tha Uske Baad Keyi Saal Tak Pure Denmark Ke Her Press Mein Sirf Islam Aur Rasool-E-Pak (S.A.W.) Aur Aap (S.A.W.) Ke Uswa-E-Hasna Ke Barey Mein English Aur Unki Zaban Mein Books Print Hoti Rahein Aur Pura Mulk Sirf Islami Kutub Ka He Mutalea Kerta Raha. Aur Kitney Hi Log Musalman Bhi Ho Gaey. Aur Yeh Silsila Abhi Ruka Nahi Hey…Hosakta Hey Keh Yeh Khakoon Ka Print Hona Hi Unke Musalman Banney Ka Sabab Ban Jaey.

Waqe'aat Tau Tareekh Ki Kitabon Mein Bharey Pare Hein Sirf Unko Dhondney Ki Zuroorat Hey Aur Unke Mutabiq Apni Zindagi Ko Behter Kerney Ki Bhi. Non-Muslims Getting Benefits From Our Golden Principles And We Are Looking To The Way Of Devil (Sheytaan).

Abb Bhi Kuchh Nahi Bigra…Hamarey Paas Sab Kuchh Mojood Hey…Sirf Amal Kerney Ki Zuroorat Hey…Masjidon Ko Abaad Kerney Ki Zuroorat Hey, Apney Aslaaf Ke Tor Tariqon Ko Apnaney Ki Zuroorat Hey, Amrica Se Derney Ke Bajaey ALLAH Se Derney Ki Zuroorat Hey? Hamarey Masail ALLAH Hal Kerta Hey; Yeh Yaqeen Dil Mein Bithaney Ki Zuroorat Hey, Agar ALLAH Na Chehey Tau Dunya Ki Koi Taqat Hamein Faeda Nahi Poncha Sakti Aur ALLAH Hamein Faeda Pohnchana Chahey Tau Dunya Ki Koi Taqat Hamein Nuqsaan Nahi Pohncha Sakti Yeh Baat Sirf Mun Se Nahi Kehna Balkeh Dil Sey Bhi Tasleem Kerna Hey…ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Sahih Kehney, Sunney, Samajhney Aura Mal Kerney Ki Taufeeq Ataa Fermaey.

Note: Waqt Ki Ehem Tareen Zuroorat Hamrey Mulk Mein Bhi Khilaafat Ka Nizaam Hey? Kaash Hamarey Hukumran Bhi Apne Aap Ko Riaya Ka Khadim Samjhein Na Keh Hakim?

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 191238 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.