World Womens day

(hukhan, karachi)

Suna Hay 8 March Ko World Womens Day Manaya Jaye Ga ,,,Pehlay Kia Iss Makhlooq Kay Din Kam Thay,,,,Pehlay Iss Kay Diye Huay Gham Kia Kaam Thay,,,,Pehlay Iss Ki Geraaee Hui Bijlian Kia Kam Thein,,,,Sorry Ap Ko Bura Laga ,,,,,Mein Mafi Chahta Hun Magar Ek Baat Zehan Mein Aa Gai ,,,,,Kay Insano Kay Liye Zar Zan Or Zameen Fitna Hay Bas Iss Se Agay Huum Kuch Nahi Kehtay Baqi Ap Logh Apni Soch Kay Ghoray Doura Lijiye Hum Zara Apni Insurance Karwa Lein Pehlay.Samajh Nahi Ata Goraa Har Chese Ka Din Q Manata Hay Gham Ka Din Piar Ka Din Udhaar Ka Din Jutay Kahanay Ka Din Bv Sey Pitnay Ka Din Har Kaam Bas Ek Din Itna Zayda Discipline Humein Samjh Nahi Ata Pata Nahi Yahan Tu Kici Bee Chese Kaa Koi Time Muqrar Nahi Pani Kab Aye Ga Bijli Kab Jaye Gee Saas Kab Nazil Hu Jaye Bv Ki Naak Pr Ghusa Kab Kursee Lay Kar Baith Jaye Malik Makaan Na Janay Kab Bv Ka Ghusa Aap Par Utaar De Gharz Kici Bee Chese Ka Time Mukarer Nahi.Had Tu Ye Hay Chai Ap Ny Subah 6 Bajay Peeni Hu Gee Dodhwala 7 Bjay Aye Ga Pochu Bahi Itnee Late Hum Tu Ovun Mein Kab Se Cahi Bana Rahay Thay ,,,Wo Bolay Ga Bahia Kia Kerein Behans Ka Mood Nhi Hu Raha Tha Doodh Denay Ka ,,Chitiyaan Kaliaian Song Par 3 Dafa Thumkay Us Kay Samnay Maray Tu Jaat Kar Uss Nay 5 Ltr Doodh Dia.Ubh Batlaiye Behans Kay Doodh Denay Kaa Bee Time Mukarer Nahi Magar Ap Jabh Bee Uss Kay Pass Se Guzrein Gay Ain Usi Time Us Nay 45kg Gobar Ker Dena.Kher Baat Hu Rahee Thee Womens Day Ki Islam Nay Orat Ko Bhut Buland Muqaam Dia Hay Kha Wo Behan Bety Ya Bv Ki Sorat Mein Hu Humaree Koi Khushi Koi Gham Koi Jasahn Inn Kay Bina Adhurra Hay Magar Maa Kay Roop Mein Ju Izat Humaray Mashray Nay Orat Ko Dee Hay Wo Shaied Kici Or Mashray Mein Nahi Hay.Magar Iss Baat Mein Bee Koi 2 Raye Nahi Kay Humara Har Din Huamaree Khawateen Kay Naam Hay.Uss Kay Sar Par Hamesha Dupata Rahay ,,,Chahay Mein Rhun Ya Na Rahun..Us Ki Pakezghee Hamesha Rahay Chahay Zamana Koi Saa Bee Rahay,,Usss Ki Haya Hamesha Uss Ki Zaat Ka Hisa Bani Rahay,,,,Chahay Koi Bee Reshta Uss Say Rahay Na Rahay.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1207372 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.