Bahaar Ki Amad,,,Or,,,,Zendeghi Kay Dhangh

(hukhan, karachi)

Sochta Hun Wo Asa Manzar Kaha Say Laon ,,,Bahaar See Muskarahat Kaha Say Laon,,,,Janay Wo Chahra Uss Ki Udaasi Kasay Bhulaown,,,,,Uss Kay Labun Ki Muskarahat Kasay Lotaown,,,Uss Kay Haseen Palon Ka Qarz Mein Kasay Lotaown,,,,,Uss Ki Shabh Roz Duaon Ko Kasay Bhulaown,,,,,Uss Kay Motee Jasay Ansoo Ankhon Ki Amanat Kasay Lotaown,,,,,Mein Ye Sochtay Huay Heeraan Tha Kay Zendeghee Lamhon Mein Agay Bar Jaty Hay Insaan Uss Tezee Sey Agay Nahi Bar Pata Isi Liye Insaan Zendeghi Sey Pechay Reh Jata Hay.Kal Ki Hee Baat Hay Maa Ki Godh Ki Garmee Chand Ki Chandni Sey Bee Thandee Laghty Thee Jasay Hee Uss Garmee Ko Maan Mein Basaya Tu Godh Choty Par Gai,,,Bahaar Ayee Phool Hee Phool Fer Sawan Fer Andhee Khizaan Baar Baar Ye Manzar Insan Kay Samnay Dhuraye Janay Lagay Asa Laghnay Laga Jasay Ubh Ye Sab Manzar Hamesha Sey Zaat Ka Hisa Hu Gaye Fer Pata Chala Manzorn Ki Tra Kay Maa Bee Bewafa Huty Hay ,,Usay Jitna Kahau Kay Maa Mein Ubh Bee Andharay Say Darta Hun,,Maa Wada Karo Ap Baba Ki Tra Chore Kay Asmano Par Nahi Jao Gee Baba Kitna Bee Bulaein Magar Wo Shohar Ki Chokhat Par Qurbaan Hunay Ayee Thee Bhula Meri Kia Sunty Baba Kay Pas Chali Gai Asmano Par,,,,Ubh Tum Taqatwar Hu Baba Bohray Hein Un Ko Meri Zayda Zarorat,,,Mein Bilakta Raha Kehta Raha Cheekhta Raha Mein Tu Khud Un Kay Kandhay Ka Sawaar Hun Un Ki Unghli Nay Raasta Manzil Thokar Se Bachna Sab Sekha Wo Kasay Kamzoor Hu Saktay Magar Maa Bewafa Nikli Bahaar Kay Pholon Ki Tra Chand Ki Chandni Ki Tra Raat Ki Raani Ki Khushbu Ki Tra Or Safed Sey Lebaas Ko Ye Keh Kar Pehan Lia Kay Baba Nay Bee Ye Hee Rangh Akhir Mein Pasand Kia Meri Bee Pasand Ubh Yee Hee Hay,,,,Pher Wo Bahaar Ki Tra Tiki Hee Nahi,,,,,,,,,Or Chal Dee Fer Bahaar Tu A Gai Magar Wo Nahi Ayee.Bahaar Jabh Bee Aty Hay Sath Bhut See Yadon Ko Lay Atay Hay. Ye Bee Haqiqat Hay Kay Har Yad Kay Sath Juree Ek Kahani Har Kahani Kay Bhut Sey Kirdaar .Zindeghi Asay Hee Agay Barty Hay Iss Kay Qadam Se Qadam Mila Kar Chalo Tu Kamiyaab,,,,Magar Bhut Say Logh Jin Ki Raftaar Kam Hu Magar Ju Ap Kay Apnay Hun Wo Pechay Reh Jatay Hein Unn Kay Raftaar Ahista Ki Jaaa Sakty Magar Tham Jana Asa Hee Hay Jasay Saans Ruk Jaye,,,Ruk Janay Walon Ka Wajood Sab Par Bojh Ban Jata Iss Liye,,,,,, Mein Ban Kar Tera Khiyaal Tray Wajood Say Bandh Jana Chahata Hun Hun Tujh Say Alagah Magar Tray Sangh Rehna Chahta Hun,,,,Yaad Mein Tum Rehtay Hee Hu Magar Mein Teray Gumaan Mein Bee Rehna Chahta Hun,,,,,Kitnee Ajnabee See Khahish Hay Magar Iss Khaish Sey Bandhay Rehna Chahta Hun,,,,Ubh Rukhsatee Bahaarr Kay Baad Bee Muskarana Chahta Hun.Agar Zendeghi Ko Sahee Sey Jeena Hay Or Muskara Kay Anay Walay Waqt Ko Khushamdeed Kehna Hay Tu Zendeghi Ko Us Kay Har Lamhay Mein Geo Sahe Waqt Par Sahi Fasalay Ap Kay Sfar Ko Asaan Kar Detay Or Thakaan Ko Bee Kam Kar Detay Sab Sey Behtar Kamal Ya Kay Zendeghi Kay Har Rangh Ko Har Sitam Har Rangh Har Gham Ko Geena Sekhu Zendeghi Kabi Subah Ki Tra Naram Kabi Raat Ki Chnadni Ki Tra Pur Sakoon Kabi Sardee Ki Zard Shamon Ki Tra Ranjeeda Or Kabi Sehra Ki Dhoop Ki Tara Jhulsaa Dety Hay Magar Ye Safar Malik A Kainaat Kay Hukam Kay Begher Rukna Nahi Chiaye.Zendegi Mein Chotay Chotay Goal Bana Liye Fer Kamiyabi Samatnay Kay Baad Iss Ka Chota Sa Jasahan Bee Zaror Manaiye.Har Pal Ko Jeena Chahta Hun Har Lamha Khud Ko Khujhna Chahta Hun,,,,Apnay Andar Leader Ship Ki Khasiat Paida Kijiye Agar Asa Mushkil Lagay Tu Acha Sa Leader Chunay Mein Hee Maher Hu Jaiye Iss Tra Time Or Kamiyabee Dono Mil Saktay Hein.Chotee Chotee Preshanian Asee Hee Hein Jasay Sarak Par Speed Breakers Bas Apni Raftaar Mein Tabdeli Paida Kijiye Jhtkaa Naa Khaiye Or Matwazaan Safar Jaree Rakhiye.Tanqeed Sa Na Gyhabraie Ghaltee Bee Kijye Qun Kay App Insaan Hu Farishta Nahi Magar Ghaltee Na Dhuraaiye Qun Kay Ap Insaan Hein Shaitaan Nahi,Apnay Buzarghun Bachon Doston Ko Hamesha Sath Rakhiye Qun Kay Yaad Rakhiye Kay Safar Mein Uktahat Kamzori Ki Neshani Hay Humsafron Kay Sath Safar Hamesha Asasan Or Dilchasb Rehta Hay Iss Liye Allah Nay Bee Juray Paida Kiye Qun Kay Wo Janta Hay Safar Mein Humsafar Huna Be Had Zarori Hay.Kamzoor Loghun Ko Dekh Kar Bhaghiye Nahi Taqatwar Ko Dekh Kar Dariye Nahi....Asa Na Hu Kay Ap Ko Dekh Kar Koi Ye Sheir Paray,,Pehalwaan Ko Dekh Kar Dour Jata Hun Kamzoor Ko Dekh Kar Akar Jata Hun,,Meri Tarbiat Dekhiye Ye Mein Kia Chahta Hun.Yaad Rakhiye Zendegi Guzarnay Kay Liye Ap Ko Daily Kuch Khuraak Chand Kapray Or Chotee See Sawaree Darkaar Hay Apnay Ajh Ko Kal Kay Liye Itna Qurbaan Na Kijiye Ga Kay Freezer Gosh Sey Bhura Hu Magar Aap Na Hun Kahanay Kay Liye,,,Ajh Darya Ko Kozzay Mein Band Kiye Deta Hun,,,,Kozza Na Bahaiye Ga Werna Abee Sey Sailaab Ki Khabar Deta Hun.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196839 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.