MERAY DOSTU

(hukhan, karachi)

MY SPEECH FOR FUTURE CHAMPIONS

MERAY Doston Mein Har Kisam Kay Dost Paye Jatay Hein Un Mein Bhut See Khubiaan Maa Baap Nay Ya Fer Kici Ki Bv Nay Kooot Koot Kay Bhuree Hein Ubh Humein Sewaye Chand Kay Zayda Kay Mutaliq Nahi Pata Kay Un Ki Kootaiee Kis Chese Se Ki Gai Hay Kher Humein Iss Se Kia Hum Bhut Positive Hein Iss Liye Hum Un Ki Khubion Kaa Zayda Parchaar Kertein Hein Or Jis Tra Wo Humein Zayada Tar Mashwaray Detein Hein Jasay Ek Dafa Hum Nay Pocha Kay Hum Konsay Profession Mein Jaein ,,Humaray Dost Nay Humein Ghor Se Dekha Fer Khudkalami Ki Sar Hilaya Jasay Maraqbay Mein Gaye Hun Fer Un Ki Wapsi Hui Bolay Aap Ki Khubion Par Nazar Douraee Jaye Tu Ap Had Sey Zayda Kaam Chore Beaqal Indisciplined Hu Aap Ko Sarkaar Ka Numainda Huna Chaiye Qun Kay Kici Or Jagah Ap Ko Koi Ek Lamha Bee Bardasht Na Karay Ga Hum Nay Un Ki Bhut See Baton Se Ekhtelaaf Kay Bawajood Bee Sar Taslim E Kham Kia Or Sarkaar Par Bojh Ban Gaye Baad Mein Pata Chala Kay Hum Awaami Bojh Hein Kher Its Too Personal Hum Ubh Doston Ko Aqsar Advise De Hee Detay Hein Jabh Kay Wo Baar Baar Mana Bee Kertein Hein Hath Jor Kay Mafi Bee Manghtay Hein Magar Hum Iss Naiki Se Mehroom Rehna Nahi Chatay Ubh Jasay Humaray Ek Dost Jhoot Bhut Ala Nasal Ka Boltay Hein Hum Aqsar Kehtay Hein Kay Tum Mein Ek Kamiyabh Politician Or Husband Chupa Hua Hay Politician Tu Wo Ban Nahi Sakay Magar Husband Ban Hi Gaye Ek Adad Mohtarma Kay Roz Pitay Jatay Hein Maar Khatay Hein Un Dost Sahib Nay Hum Say Bhut Hee Shikway Kiye Kay Humaree Baat Sach Nahi Sabit Hui Hum Bolay Ap Na Shukray Hu Bv Ki Maar Yaad Rehty Hay Ghusa Yad Rehta Hay Uss Kay Hath Kay Garam Garam Parathay Yaad Nahhi Rehtay,,,Wo Bola Kabi Parathun Ka Ata Gondhna Fer Pata Chal Jaye Ga,,,,Hum Apnay Tajharbaat Aqsar Noujawano Ko Transfer Kaartay Rehtay Hein Jin Ki Video Koi Na Koi Mail Kar Hi Deta Hay Ajh Bee Logh Humaree Speech Kay Ekhtamaam Par Zyda Talian Bajhtay Hein Janay Qun Asa Hay Anay Par Koi Nahi Bajata Janay Par Itni Khushi Qun.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197749 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.