Jadu/Sihr/Black Magic and It's Reality

(Ali, Karachi)

Jadu/Sihr Aik Aisi Haqeeqat Hai Kai Jis Ko Jhutlaya Nahi Jasakta. Ghaliban Aaj Hamarai Muaashray Ki Aadhe Sai Ziada Masaail Is Beemari Ki Wajha Sai Hein.

Koi Agar Yeh Kahai Kai Jadoo Kuch Nahi Hota Tau Woh Intihai Bari Ghalti Par Hai. Jadoo Sai Kya Ho Sakta Hai Iss Ka Agar Osai Pata Chal Jai Tau Shayad Kabhi Aisi Baat Na Karai. Logoan Ka Kehna Hai Kai Aaj Kai Modern Daur Mein, Jadoo Kon Karta Hai. Oonhein Shayad Is Baat Ka Andaza Nahi Hai Kai Aaj Kai Modern Daur Mein Kisi Bhi Daur Sai Ziada Yeh Beemari Phail Chuki Hai.

Insaan Ki Fitrat Mein Hasad Aur Jalan Hai. Insaan Kyoon Kai Allah Ki Makhlooq Hai Tau Oos Sai Behtar Iss Baat Koi Nahi Jaanta Yehi Wajha Hai, Surah Falak Mein Allah Nai Hasidon Ki Hasad Sai Panah Mangnai Ko Kaha Hai.

Aik Jadoogar Ko Dhondna Aaj Jitna Aasan Hai Shayad Itna Pehlai Kabhi Na Thaa. Aik Click Par 100 Magicians Kai Advertisement Aur Websites Display Ho Jaati Hein. Unfortunately, Jadoo Karnai Walai Tau Bohat Hein Magar Ilaaj Karnai Walai Bohat Kam. Bohat Sai Loag Iss Baat Ka Dawa Tau Kartai Hein Kai Woh Ilaaj Kar Saktai Hein Magar Ilaaj Ho Nahi Pata.

Haqeeqat Yeh Hai Jadoogar Aik Aisa Zalim Shaks/Aurat Hota Hai Joh Apnai Shikar Ko Aasani Sai Nahi Chorta. Jitna Ghaleez Jadoogar Hota Hai Ootni Hi Oos Ki Shaitaani Taaqat Hoti Hai Aur Ootna Hi Taqatwar Shaitaan Oos Ki Madad Kar Raha Hota Hai.

Darasil Jadoogar Insaani Shakal Mein Aik Shaitaan Hota Hai, Ya In Other Words Woh Shaitaan Ka Bhai Hota Hai. Oos Ko Agar Kisi Ghar Ko Barbad Karnai Kai Liyai Paisai Diyai Jaatai Hein Tau Woh Wohi Karta Hai Joh Oos Ka Client Chahta Hai.

Agar Kabhi Aisa Ho Kai Jadoo Kai Shikar Koi Shaks Kahin Sai Madad Hasil Karta Hai Tau Jadoogar Apnai Hamlai Barha Daita Hai Aur Oos Shaks Par Bhi Hamla Karta Hai Joh Madad Kar Raha Hota Hai.

Hamrai Mazhab Jadoo Ko Bohat Tafseel Sai Discuss Nahi Kiya Gaya Hai. Kyoon Hamara Mazhab Jadoo Kai Sirf Ilaaj Kai Nahi Utara Gaya Balkai Aik Mukammil Musaashra Dainai Kai Liyai Otara Gaya Hai. Haan Yeh Aik Haqeeqat Hai Kai Quran Kai Samnai Na Koi Jadoo Aur Na Hi Koi Shaitaan Tik Sakta Hai Bashartai Kia Muaalij Ko Oos Sahi Ilaaj Aata Ho.

Yeh Aik Bohat Hi Taweel Mozoo Hai. Agar Quran Ka Waqiaat Ka Sahi Sai Mutalla Kiya Jai Tau Pata Chalta Hai Hazrat Suleman Kai Zamanai Mein Oonhon Nai Jinnat Sai Jadoo Ki Kitabein Zabt Kar Kai Apnai Takht Kai Neechai Dafan Kardi Theen. Jo Kai Oon Kai Wisaal Kai Baad Jinnat Nai Doobara Nikal Li Theen.

Iss Sai Do Batein Maaloom Chalti Hein Aik Kai Jadoo Aik Taweel Mozoo Hai Aur Oos Kai Aik Kitab Nahi Balkai Kitabein Thein Aur Yeh Kai Hazrat Suleman Kai Baad Jadoo Ki Kitabein Phir Jinnat Ko Mil Gai Thein. Aaj Ka Jadoogar Oon Hein Jinnat Sai Nai Nai Jadoo Seekhta Hai.

Allah Hum Sab Ko Apni Aman Mein Rakhai.
 

Ali
About the Author: AliCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.