Bada ehsan ham farma rahe hain
Ki un ke ḳhat unhen lauta rahe hain
Nahin tark-e-mohabbat par vo raazi
Qayamat hai ki ham samjha rahe hain
Yaqin ka rasta tai karne vaale
Bahut tezi se vapas aa rahe hain
Ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko
Bichhadne ke liye milva rahe hain
Ta ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
Abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
Tumhen chahenge jab chhin jaogi tum
Abhi ham tum ko arzan pa rahe hain
Kisi surat unhen nafrat ho ham se
Ham apne aib ḳhud ginva rahe hain
Vo pagal mast hai apni vafa men
Miri ankhon men aansu aa rahe hain
Dalilon se use qaail kiya tha
Dalilen de ke ab pachhta rahe hain
Tiri banhon se hijrat karne vaale
Nae mahaul men ghabra rahe hain
Ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham
Tire aansu mujhe rulva rahe hain
Ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
Ham apna jaan kar Thukra rahe hain
Vafa ki yadgaren tak na hongi
Miri jaan bas koi din ja rahe hain