ek hi muzhda subh lati hai
dhup aangan mein phail jati hai
rang-e-mausam hai aur baad-e-saba
shahr kuchon mein khak udati hai
farsh par kaghaz udte phirte hain
mez par gard jamti jati hai
sochta hun ki us ki yaad aakhir
ab kise raat bhar jagati hai
main bhi izn-e-nawa-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai
so gae ped jag uthi khushbu
zindagi khwab kyun dikhati hai
us sarapa wafa ki furqat mein
khwahish-e-ghair kyun satati hai
aap apne se ham-sukhan rahna
ham-nashin sans phul jati hai
kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz tut jati hai