Iza-dahi ki daad jo paata raha hun main,
Har naaz-aafreen ko satata raha hun main..
Ai khush-khiraam paanw ke chhaale to gin zara,
Uujh ko kahaan kahaan na phiraata raha hun main..
Ek husn-e-be-misaal ki tamseel ke liye,
Parchhaiyon pe rang giraata raha hun main..
Kya mil gaya zameer-e-hunar bech kar mujhe,
Itna ke sirf kaam chalata raha hun main..
Rooho'n ke parda-posh gunaaho'n se be-khabar,
Jismo'n ki nekiyaan hi ginata raha hun main..
Tujh ko khabar nahin ke tera karb dekh kar,
Aksar tera mazaaq udaata raha hun main..
Shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui,
Lekin yaqeen sab ko dilata raha hun main..
Ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam,
Paagal tujhi ko yaad bhi aata raha hun main..
Jis din se aitimaad mein aaya tera shabaab,
Us din se tujh pe zulm hi dhhaata raha hun main..
Apna misaliya mujhe ab tak na mil saka,
Zarro'n ko aaftab banata raha hun main..
Bedaar kar ke tere badan ki khud-aagahi,
Tere badan ki umr ghatata raha hun main..
Kal dopahar ajeeb si ek be-dili rahi,
Bas tiliyaan jala ke bujhata raha hun main.!!