Add Poetry

Shishe Ke Aaine Main

Poet: Akash By: Akash, karachi

Shishe K Aaine Main Dekhti Hai Woh Khamosh Naazre
Ghunghat Main Chehra Chupaai Hue
Aankhon Main Kajal Sajaye Hue
Chorr K Apna Ghar Aangan
Chali Ayee Dulhan Ek Naye Duniya Bassane
Hogaye Parai Jahan Beeta Apna Bachpan
Aur Jawani Ki Hassen Raahein
Aapna Na Hai Who Sansaar
Jis Main Bana Ni Hai Naahi Kahaani
Mathe Ki Bindiya Kuch Kehti Hai Us Se
Haatho Ki Kangan Khankati Hai
Jaise Kehte Hai Ruk Ja Ree Saakhi
Na Chor Woh Raahein
Jis Me Khela Tera Bachpan
Chorr Ke Apna Ghar Aangan
Chali Ayye Dulhan Ek Naye Duniya Bassane
Laal Jodhe Main Saji Hai Aise Aankhon Main Ek Sapna Leke
Dil Main Jagi Hai Aisi Umang
Khushiyo Se Bhara Hai Woh Naya Jevaan
Jahan Lage Woh Paraye Bhi Apne
Jahan Saathi Ho Pyaara Aur Khushiyo Ka Alam Ho
Phir Bhi Udaas Si Lagti Hai
Us Ki Nazar Keh Jati Hai
Us Ne Ankahi Si Baate
Yaad Dilati Hai Woh Bethe Dil
Woh Khamosh Galiyo Ki Raahein
Phir Bhi Nibhana Hai Woh Reet Purani
Chor K Apna Ghar Aangan
Chali Aai Dulhan Ik Naye Duniya Basane

Rate it:
Views: 563
20 Apr, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets