tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai
tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai
shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka
mujh ko dekhte hi jab us ki angdai sharmai hai
us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas
jab us ke malbus ki KHushbu ghar pahunchane aai hai
husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai
hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai
hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein
soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind udai hai
hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhaTkenge
pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai
ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chadhe
kyari mein pani Thahra hai diwaron par kai hai
husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam
ishq ka pesha husn-parasti ishq bada harjai hai
aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha
jun hi darwaza khola hai us ki khushbu aai hai
ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha hun
virani ne jhadu de ke ghar mein dhul udai hai