Zindagi ki Talash mein Hum....!

(Syed zeeshan Ali shah, Karachi)

Yehe hai Zindagi......

Zinadgi Asal Main Khuda Ki Tarf Sy Ata Kiya Geya Aysa Sabab Hey Jis K Zriye Insan , Hiwaan , Chrind Prind , Nibataat Etc Iss Imtehaan Gah (Duniya , Kaynaat) Sy Guzar Rehy Hain ...Jis Trah Buss , Trains , Hawaee Jahaz , Ships Waghaira Aik Jaga Sy Dosri Jaga Jany Ka Aik Zriya Wa Sabab Hoty Hain... Issi Trah Yeh Zindgi Aik Zariya Hey Iss Jahan Sy Uss Jahan Tak Jany Ka...Iss Zindgi Par Sawaar Hokar Hum Sab Aur Tamam Makhlokaat Apny Apny Safar Par Rawan Dawan Hain

Example

Aik Samandar (Sea , Ocean) Main Aik Ghota Zan Utar Kar Daikhta Hey K Iss Main Khaar Daar Jarri Botiyaan Hain Jo Abi Hayat K Liye Khatra Hain, Khatarnaak Samndari Janwar Hain Jo Dosry Janwaron Ko Apna Luqma Banaty Hain , Pur Peech Aur Dushwaar Guzar Bhol Bhaliyaa Numa Rasty Hain Jo Kaheen Sy Gehry Aur Kaheen Sy Kam Gehry Hoty Hain , Narm-O-Nazak Rait K Jaisy Bany Howey Teely Hoty Hain Jo Aram Ki Khatar Sakoon Aur Rahat Ka Bays Ban Sakty Hain Laiken Koi Samandar Main Aram Karny Ki Gharz Sy Nahi Jata

Uss Ghota Zan Ko Inn Tammam Mushkilat Sy Guzar Kar Apny Matloba Maqasid Ko Hasil Karna Hota Hey Aur Bad Main Apni Manzal-E-Maqsood Par Puhanchna Hota Hey

Bilkul Isi Trah Zindgi Ka Wajood Hey Iss Ki Rah Main Khaar Daar Jarri Botiyoon Ki Trah K Khathan Marahal Hain Jo Qadam Qadam Par Zindgi Ko Nuqsan Puhnchany Ka Sabab Banti Hain Maslan Bemaari , Hadisaat Waghaira...Aur Issi Zindgi Ki Rah Main Khatarnaak Drinda Sift Janwaron Ki Trah K Zindagi Ka Libada Aorry Insan , Hewaan B Majood Hain Jo Qadam Qadam Par Insan Ko Nigal Rehy Hain Dehshat Gardi K Zariye , Kusht-O-Khoon K Zariye , Qatal Gari K Zriye Yeh Zindgi K Libady Main Chupy Insan , Hewaan Zindgi Ko Nigal Rehy Hain .....Issi Trah Bhool Bhaliyaan Numa Rasty Zindgi Main Any Waly Challenges Jo K Job , Rahaiysh , Shadi Etc Ki Shakal Main Zindgi Ko Darpaish Hain

Laken Iss Sab K Bawajood Zindgi Main Naram-O-Nazuk Arram Gah Ki Trah Zindgi Ko Saholiyaat B Muyassar Hain Jais K Jaa-O-Hasham , Khukmarani (Har Sateha Ki) Aysho-O-Ishrat Waghaira ..Laiken Aik Zindgi Inn Sab Arayshoon Main Mashghol Hony Ka Aur Isnn Sab Main Gharq Hony Ka Khukam Nahi Hey Bas Inn Rahton Sy Guzarty Howy Zindgi Ko Apni Manzal Tak Pouhnchna Hey .....

Syed zeeshan Ali shah
About the Author: Syed zeeshan Ali shah Read More Articles by Syed zeeshan Ali shah: 25 Articles with 53890 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.