Ek Maa Sb Kuch Seh Leti Hai Sb
Kuch Bardsht Kar Leti Hai. Hr Dard Hr Takleef Khushi Khushi Seh Leti Hai Akhir Q
Woh Bhi Tw Ek Aurat Hai Ek Jeti Jagti Insan Hai Kia Uski Koi Feelings Nai Uski
Koi Wishes Nai…Hoti Hai Mehsos Kar K Tw Dekho Zindagi Khubsurat Banjaegi ….Jannat
Hai Us K Qadmo K Neeche Ehsan Maan Kar Tw Dekho Khuda Bhi Tohfa Dega Phir
Tumhein …Zindagi Ki Naimat Hai Maa Hr Bache Ki Jaan Hai Maa Or Hr Maa Phechan
Hai Apne Us Bache Ki Jisko Who Palti Hai Uski Care Karti Hai Khud Se Bhi Ziada
Kia Maa K Siwa Hai Koi Or Jo Puri Karega Tumhari Haar Wish Ko Tumhari Hr Takleef
Ko Samjhne Wala Hai Koi Is Duniya Me? Nai Hai …Maa Ka Tw Koi Substitute Ho Hi
Nai Sakta Woh Koi Cheez Nai Jisko Badal Diya Jae Jisko Takleef Di Jae ….Are Woh
Tw Khud Kitni Takleef Uthati Hai Hum Tw Andaza Bhi Nai Laga Sakte …Zindagi K Har
Qadam Pr Sath Hoti Hai Pyar Bhi Barh Kar Karti Hai …Dant Bhi De Tw Maan Bhi Jati
Hai Ziada Dair Naraz Nai Rehti Woh Or Yh Sb Sirf Ek Hi Karsakti Hai Or Who Hai
Maa….Yh Mere Alfaz Hai Mere Dil Ki Feelings Hai Jo Kuch Lafzo Me Bayan Ki Hai
Maa Tw Ek Asehi Hasti Hai Jis Ki Jitni Tareef Karo Kaam Hai ……Take Care Of Your
Mothers And Donot Send Them To Old Houses Because Mothers Only Want That Their
Children Will Be Happy In Their Life…