(Chiraghdeen, Karachi.)
Ek Sahookar Ki Biwi Bohot Hi Nazuk Mizaaj Thi, Jab Bhi Usey Koi Kaam Kaha Jata Wo Hazaar Nakhrey Kerti Aur Kaam Na Kerti, Ek Din Sahookar Ney Apni Biwi Sey Kaha Keh Yeh Saamney Rakha Huwa Sil Ka Batta Tau Mujhey Utha Ker Dedo Tau Biwi Ney Kaha Keh Meri Kalaiyaan Bohot Kamzor Hein Iss Battey Ko Uthana Merey Bas Ki Baat Nahi. Sahookar; Biwi Ki Baat Sun Ker Bara Pareshaan Huwa Aur Sochney Laga Keh Mera Iskey Saath Guzara Kis Tarah Hoga? Aakhir Kaar Usey Ek Tarkeeb Soojh Hi Gai Aur Us Ney Bazaar Sey Ek Naya Sil Ka Batta Jo Keh Patther Ka Hota Hey Khareeda Aur Usey Ek Sunaar Key Paas Legaya Aur Sunaar Sey Uskey Ooper Soney Ka Pani Charrhwalia Aur Ghar Laker Biwi Sey Kaha Keh Begum Aaj Mein Tumharey Liye Soney Ka Behtreen Qism Ka Zaiwer Banwa Ker Laya Hoon; Biwi Ne Khushi Ka Izhaar Kertey Huwey Foran Dekhney Ki Fermaish Ki, Shoher Ney Kaha Agar Tum Usey Pehenney Ki Hami Bharo Tau Mein Tumhein Dikhata Hoon; Biwi Ney Kaha Haan Mein Zuroor Pehnoogi Aap Mujhey Dikhaein. Chunacha Shoher Ney Wo Sil Ka Batta Jis Per Wo Soney Ka Pani Charrhwaker Laya Tha Aur Usmein Ek Zanjeer Bhi Bandhwali Thi Takeh Usko Pehenney Mein Aasani Ho; Wo Biwi Ko Dikhaya, Bewi Ney Aaoo Dekha Na Tao, Na Hi Us Ka Wazan Kia Balkeh Foran Hi Usko Galey Mein Latkalia Aur Sara Din Na Sirf Yeh Keh Usey Galey Mein Latkaey Latkaey Phirti Rahi Balkeh Ghar Key Kuchh Kaam Kaaj Bhi Kerti Rahi. Shoher Ney Poochha Keh Yeh Zaiwer Kaisa Hey…Aur Yeh Keh Ziadah Bhari Tau Nahi? Tau Biwi Ney Jawab Dia Keh Nahi Bhari Nahi Hey Theek Hey, Yeh Tau Bilkul Munasib Wazan Ka Hey. Biwi Ka Jawab Sun Ker Shoher Ney Biwi Sey Kaha, Ari Naik Bakht Yeh Usi Sil Key Battey Key Wazan Ka Doosra Batta Hey Jo Kal Tumhein Wazni Lag Raha Tha Aur Tum Ney Usey Uthane Sey Mazoori Zahir Kerdi Thi Keh Meri Kalaiyaan Kamzor Hein? Aur Aaj Jabkeh Isper Soney Ka Pani Charrhwadia Hey Tau Iss Wazan Ko Uthaey Uthaey Phir Rahi Ho Aur Tumhein Ismein Koi Wazan Mehsoos Nahi Horaha, Mehez Issliye Keh Iss Patther Ka Naam Ab Sona Hogaya Hey? FAEDA: Ey Logo Soney, Chandi Aur Dunyawi Zindagi Key Rang Roop Mein Itney Mat Khojao Keh Burai Burai Na Lagey Balkeh Isko Itna Hi Istemaal Karo Keh Jitni Iski Zuroorat Hey, Ey Meri Behno Soney Aur Chandi Key Yeh Zewraat Bohot Jald Chin Janey Waley Hein? Naik Logon Ko Jannat Mein Soney Aur Chandi Key Mehellat Milney Waley Hein Tau Phir Dunya Key Inn Chhotey Chhotey Tukron Per Jaan Deney Ki Kia Zuroorat Hey? Allah Pak Ham Sab Ko Samajh Ata'a Fermaey, Aameen.