Assalamoalikum Dosto!
Aj Ka Hamara Artical "Namaz" Se Mutalik Hai ... Namaz Insan Ko Her Tarhan Ki
Mushkilat Mein Sakoon Deti Hai .. Insan Ki Adhi Takleefein Or Pareshaniyan Namaz
Parhne Ki Wajah Se Kam Ho Jatin .. Kiu Ky Jab Insan Bilkul Thek Hota Tab Wo
Namaz Nai Parhata Na Hi Apny Khuda Ko Yad Karta Jabky Wo Kisi Pareshani Mein Ho
To Foran Namaz Ki Tarf Rajju Ho Jata .. Esa Nai Hona Cahhiye Insan Ko Her Haal
Mein Namaz Parhatey Rehna Chahiye Uski Bari Wjah Se Hai Ky "Namaz Insan Ko Khuda
Se Jorey Rakhti Hai"
"BESHAK NAMAZ JANNAT KI KUNJI HAI".
INSAN KO NAMAZ NAI CHORNI CHAHIYE NA HI Is Baat Ko Bhoolna Chahiye Ky Akharat
Mein Pehla Sawal Hi Namaz Ka Ho Ga ... Lehaza Namaz Se Mun Nai Morna Chahiye
...❤
"Ajeeb Hai Ye Namaz_E_Mohabbat Ka Silsila
Koi Qaza Kar Ky Roya
Koi Adaa Kar Ky Royaa"
Insan Kitna Hi Masroof Ku Na Ho Magar Jo Sakoon Usy Namaz Mein Mily Ga Wo Usy
Kahin Bhi Nai Mily Ga ..Ku Ky " NAMAZ APNE RAB SE MILNEY KA ZARIYA HAI" 😊
Insan Jab Namaz Ki Fikar Karna Shuru Kr Deta To Wo Duniya Ki Fazule Fikro Se
Azad Ho Jata .. Or Usky Dil Or Dimag Ko Sakoon Mil Jata ...Insan Duniya Ky Kamo
Mein Sakoon Dhundhta Jbky Sakoon Sirf Namaz Mein Hai ..😊
Namaz Parhne Se Chehro Py Noor A Jata Or Insan Ki Andruni Khubsurti Zahir Hoti
... Baki Khubsurtio Ka Koi Faida Ni Bus Namaz Ki Khubsurti Sbse Qeemti Hai..❤
"Ager Tmhy Namaz Se Sakoon Nai Milta
To Tum Sakoon Se Namaz Parha Karo"
Ehlaqi Sabak...
Namaz Parhtaty Rahoo Or Usy Dusaron Ko B Parhaney Ka Bolo Kiu Ky Jo Sakoon Namaz
Mein Hai Wo Duniya Mein Kahin Bhi Nai Milta ..😊😊