Masjid Keh Ehkaam And Ehmiat
(Afshan Rahman, chicago usa)
Hadees Mein Hay Hazrat Usman
Razeeallah Unha Se Riwayat Hay Keh Hazoor Akrum Sallala Ho Alehe Wasalm Ne
Fermaya Jo Shakhs Masjid Banaega Allah Ki Raza Ke Lia Allah Oos Ke Lia Jannat
Mein Gher Banaenge.Allah Talla Ko Masjid Bhut Mehboob Hay Or Markets Na Pasand
Hein. Srf Zarooree Chees Buy Kerne Ko Janna Chaye Bekar Fazool Market Ghhoomna
Durst Naee Hay.Masjid Aqsa Mein One Namaz Hazaar Namaz Ke Braber Hay. Khana
Kaaba Mein One Namaz Doosree Masjid Se Berh Ker One Laakh Ka Sawab Hay Or Masjid
Nabawee Mein One Namaz 1000 Se Berh Ker Sawab Hay.Jub Masjid Mein Namaz Ferz
Perho To Gher Per Bhi Nafil Perho Taake Berkat Ho.Masjid Mein Dakhil Hoker Bhi 2
Rakat Tehte Masjid Perho.Onion Or Garlic Eat Kerke Masjid Na Jao Kioonke Angels
Ko Smell Pasand Nahi Hay .Oon Ko Tekleef Hogee.Ager Mareez Hay Or Like Medicine
Use Kernee Zarooree Hay To Ijazet Hay.Masjid Clean Kerne Wale Ke Gunnah Maaf
Hote Hein. Hazret Abu H Horera R.A Se Riwayet Hay Keh Hazoore Akrem Sallal A Ho
Alehe Wasalam Ne Fermaya Seven Shaksh Jin Ko Roze Hasher Qeeyamat Keh Din Sayya
Naseeb Hoga Arsh Ke Saae Mein Honge Jub Kooee Sayya Na Hoga.1-Hakim Jis Ne
Ensaaf Kia Hoga Raya Keh Saath.2-Woh Young Man Jis Ne Jawani Mein Ebadet Mein
Time Guzara Hoga.3-Woh Insan Jis Ka Dil Her Waqt Masjid Mein Janna Chahe Pehli
Namaz Per Doobara Jane Ka Soche.4-Woh Insaan Jo Her Kaam Allah Ki Khushi Ke Lia
Kerta Hoga Kisee Se Milta Bhi Allah Ke Lia Or Bicherta Bhi Allah Ki Raza Ke Lia
5-Woh Shaks Jo Tenhai Mein Allah Ko Yaad Kerke Roota Hay Aansoo Oos Keh Chehre
Per Behte Hoon.6-Woh Insaan Jis Ko Khoobsooret Women Ne Moqa Deeya Or Woh Allah
Ke Der Se Zanna Na Kia Hoga.7- Woh Insaan Jis Ne Sadqa Ko Chupaker Srf Allah Ki
Raza Keh Lia Deeya Hoga.Kheraat Ki Hogee Gareeb Ki Help Ki Hogee.