Deen our Dunya
(Afshan Rahman, chicago usa)
Aaj Hum Ne Deen Ko Or Dunya Ko
Alag Alag Kerdeeya Hay .Jub Keh Dunya Ko Ager Deen Keh Saath Mila Ker Guzaren To
Dunya Sukoon Ka Gehwara Bun Jaegee.Allah Wa Subhana Wa Talla Ne Dunya Banaee To
Dunya Guzarne Keh Tareeqe Bhi Kitabon Ke Zareya Nabeeyon Keh Zareya Batadeea
Hein.Al Quran Is A Miracle Kia Hum Ne Ye Janne Ki Koshish Ki Keh Ye Arabic Mein
Jo Quran Utara Gaya Hay Oos Mein Kia Massages Hein. Kia Laws Hein Srf Muslim
Kehlane Se Baat Pooree Naee Hotee Asel Ammal Kerne Ki Zarooret Hay Kia Hum Sahi
Muslim Hein.Al Quran Ko Perna Zarooree Hay Lekin Hum Apne Bachon Ko Srf Arabic
Mein Pera Dete Hein Or Ye Janne Ki Koshish Naee Kerte Keh Kiaa Hum Allah Keh
Deen Keh Mutabiq Life Guzar Rae Hein .Logon Ne Deen Or Mazhab Ko Ya To Khud Per
Taree Kerlia Hay Ya Srf Dunya Daree Mein Pergae Hein .Balance Zarooree
Hay.Hazoor Akram {M.P.B.U.H]Ne Fermaya Logo Apne Naik Ammal Ko Chotta Na Samjho
Salaam Mein Pehel Kero Raaste Se Pather Hatado Take Doosron Ko Tekleef Naho. Al
Quran Mein Her Baat Batadee Gaee Hay Surah Baqarah Jo Taweel Surah Hay Oos Mein
Sub Se Pehle Eemaan Kia Hay Or Deen Ki Defination Kia Hay . Or Surah Nisa Mein
Womens Ke Haqook Kia Hein Her Baat Ko Bataya Gaya Hay. Libaas Kese Pehno Maal
Kese Kamao Shadee Kese Kero Kis Baat Ko Dekho Or Insaaf Kese Kero Khana Kese
Khao Business Ke Tereeqe Bacho Ki Terbiat Qyammat Ka Ziker . Aaj Hum Science Or
Arts Keh Chakker Mein Hein Or Dunya Ki Degrees Keh Peeche Jarae Hein Lekin Ager
Hum Dunya Ki Degree Keh Saath Saath Al Quran Ko Bhi Jane Gen To Kamyabi Dunya Or
Akheret Dono Ki Mile Gee.Hum Ne Bager Janne Kuch Bhi Ebadet Ke Naam Per Perte
Hein Jis Ka Koee Faeda Na Hoga Or Namaz Jo Nahi Perte Oon Ke Naik Ammal Bhi
Qabool Naee Honge.Meree Guzarish Hay Keh Plz Al Quran Ko Meaning Or Tefseer Se
Paren Take Hum Sahi Ammal Kerkeh Sache Muslim Ban Jaen.Meree Dua Hay Keh Hum Ko
Allah Talla Al Quran Ko Perne Or Samjhne Ki Hidayat De Ameen